Monday, August 29, 2011

ELM-E-GHAIB(UPDATED)



Bismillahirrahmanirraheem



" ek raat nabi akram(sws) apne bistar se uthkar baahar chale gaye, hz aisha (ra) bhi unke peeche baahar nikal aayin, aap (sws) ne baqiul gharqad(madine ka qabrastan) pahunchkar duwaye maghfirat ki aur waapas aa gaye, hz aisha ra unse pahle apne bistar par pahunchne me kaamyaab ho gayi lekin saans(breath) chadhi(fooli) hui thi, nabi akram sws ne wajah malum ki, hz aisha ra ne taalna chaaha, aapne farmaya-" aisha ! Bata do warna mera allah mujhe bata dega", is par hz aisha ne saari baat suna di"

(sahih muslim 974)

isse malum huwa ki ghar se nikalte waqt hz aisha ra ko malum na tha ki nabi akram (sws) kidhar aur kyon jaa rahe hain aur nabi(sws) ko bhi malum na huwa ki hz aisha bhi mere peeche thi??


" hz maswar bin yazid ra se riwayat hai ki ek baar nabi sws ne qir'at me qur'an ka kuch hissa chhod diya, ek aadmi ne kaha:- aapne falan ayat chhod di to aapne kaha:-" tune mujhe yaad kyon na dilaaya"


(abu dawood 907)


yani aap sws kabhi kabhi bhool bhi jaate they