Wednesday, March 28, 2012

TAFSEER SURAH BAQARAH 119- 123

Bismillahirrahmanirraheem



TAFSEER SURAH BAQARAH 119- 123:



" Beshak hamne aapko sacchaai ke saath bashaarat dene aur daraane ke liye bheja hai, aur aap se jahannamion ke baare me sawaal nahi kiya jaayega ; aur aap se yahud aur isaayi raazi nahi honge jab tak unki millat ki pairwi nahi karenge, aap kah den beshaq hidaayat toh allah hi ki hidaayat hai aur aap apne paas ilm aajaane ke baad unki khwaahishon ki pairwi karenge toh aapka koi allah se dost wa madadgaar na hoga ; jinko ham ne kitab di hai jo use jaise padhna chahiye padhte hain wahi us par imaan rakhte hain aur jo uske saath kufr karte hain wahi zaya kaar hain ; aiy bani israel apne uper meri nemat ko yaad karo jo maine tumhe diya aur tumhe ahle ilm par fazilat di ; aur us din se daro jis din koi kisi ke kuch kaam nahi aayega aur na usse fidya liya jaayega aur na use shafa'at fayeda de gi aur na unki madad ki jaayegi"


TAFSEER:- Is ayat se Pahle kaafiron ne ye sawaal uthaaya tha ke allah unse kalaam kyon nahi karta, jiska maqsad aap sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki risaalat par tanqeed karna tha, aur is aayat me aap sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki nubuwwat ka asbaat karte hue ke ham ne aapko rasool banaya hai, aapke mansab risaalat ka zikr kiya gaya hai

aur farmaya gaya hai ke:- "aap farz sirf paigham pahuncha dena hai kisi ko raah e raast par laana nahi, "


isliye jo aapke maqaam ka inkaar karke jahannami ho jaaye to aapse uske baare me pooch nahi hogi,


ayat no (120) me ye shakht waeed hai ke:-" yahud wa nasaari ko raazi karne ke liye agar aap unki millat ki pairwi karenge jo unhone apne khwaahishon ko ko shaamil karke bana liya hai jise allah ki hidayat nahi qaraar diya ja sakta hai, toh aapka koi dost aur madadgaar nahi hoga "

ye hidayat toh nabi akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ko sunaayi ja rahi hai, lekin isme Poori ummat e muslima ke liye tanbiyah hai ke wah mazhab e baatila ki pairwi na karen

ayat no (121) me farmaya gaya hai ke :-" agar ahle kitab (yahud aur ishaayi) apni kitab ( taurat wa injeel) ko jaise padhna chahiye waise padhen toh zaroor aap sallallaho alaihi wasallam (pbuh) aur qur'an par imaan laayenge,"

kyonke unme aap sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki nubuwwat ki bashaarat aur aap par imaan laane ka ahad liya gaya hai, jaise hz abdullah bin salaam (ra) aur shah e habsa (ra) wagerah imaan laaye aur jo aapke saath kufr karenge wah zayan kaar honge..

Isme musalmano ko bhi hidayat hai ke wah bhi apni kitab qur'an ko tadbeer ke saath padhen aur uske ahkaam par amal karen

chunanche hz ziyad bin lubaid (ra) se riwayat hai ke nabi akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne kuch cheez ka zikr kiya aur farmaya ke:- " ye ilm mit jaane ke waqt hogi, toh maine kaha:-" allah ke rasool ! Ilm kaise mit Jaayega, jabke ham qur'aan padhte hain aur apne beton ko padhaate hain aur hamare bete apne beton ko qayamat tak padhaayenge ?" aap sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:- " ziyaad ! Main tumhe ahle madeena me bada hoshiyaar samjh raha tha, kya ye yahud wa nasaara tauraat wa injeel nahi padhte aur un dono me jo kuch hai uspar koi amal nahi karte ? "

(musnad ahmad, ibn majah, tirmizi, daarimi ne hz abu umama ra se riwayat kiya hai)


Yani padhne ka maqsad amal karna hota hai, aur jab amal hi na ho to padhne ka koi faayeda nahi

ayat no (122-123) me bani israel ko phir hidayat ki ja rahi hai ke:-" tumne apni khwaahishon ki wajah se apni deeni peshwaaon ka mansab jo tumhen apne zamaane ke ahle ilm par haasil tha, use tumne kho diya hai aur ab mansab imamat ummat e muslimah ko diya ja raha hai, jo deen e ibraaheemi ki ja'nasheen hogi, isliye apne sharaf wa fazal ko bar'qaraar rakhne ke liye ummat e Muslima me shaamil ho jaao aur us din se daro jab koi kisi ke kaam nahi aayega aur na koi badla qubool kiya jaayega aur na koi shafaat sood mand hogi,

is duniya me ek insaan kisi buraayi ki saza se bachne ke liye teen cheezon se kaam leta hai

apne saathiyon, apne doston aur rishte daaron se, ya taawun de kar ya kisi bade aur ba'asar shakhs ki shifaarish se,


lekin us din imaan wa amal ke siwa ye teeno wasaail kaam nahi aayenge....


(maulana azeez ul haq umri

sheikh ul hadith, jamia daarul hadith mau)

DUA KI DARKHWAAST: