Friday, March 23, 2012

NANGE SAR NAMAZ: (OFFER SALAAH WITHOUT CAPS)





Bismillahirrahmanirraheem




NANGE SAR NAMAZ: (OFFER SALAAH WITHOUT CAPS)



SUNNAT KI TAREEF




Hanafi hazraat ne nange sar namaz ada karne ki mumaniat par daleel dene ke bajaaye sabse pahle sunnat ki tareef par guftugu ki hai..


Maalum nahi is bahes ke masle se sunnat ki taareef ka kya talluk hai, baherhaal farmaate hain

" jo kaam nabi e paak (as) ne hamesha kiya ho wah sunnat huwa karti hai, jo kaam karke chhod diya ho ya kabhi kiya ho, baad me na kiya ho, wah sunnat nahi"


(tohfa ahle hadith page 9)


JAWAB:


1- Isme koi shaq nahi ke hanafiyyah ka yahi mauqaf hai, ke sunnat wahi hai, jis par hameshgi saabit ho, aur us hameshgi me bhi unka ye mauqaf hai ke wah faael ba'taur ibadat ho,


chunanche zafar ahmad thanvi farmate hain

" hameshgi bhi kisi fael ke sunnat hone ki daleel nahi, jab tak us fael ko ala sabeelul ibaadat na kiya gaya ho, agar koi fael ba'taur aadat hamesha huzoor (as) ne kiya Ho toh wah mustahab to hai lekin sunnat nahi, jaisa ke hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne hamesha libaas pahna, hamesha daayen haath sd khaana khaaya aur wazu ko hamesha daayen taraf se shuru kiya, toh ye kaam mustahab to hain, lekin sunnat nahi hai"


(aala al sunnan jild 1 page 118 bab, astabab al tayaman fil wuzu, ye ibaarat sharah wiqaya jild 1 page 64 me maujood hai )


jisse saabit ho raha hai ke hanafiyon ke nazdeek jo kaam hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne hamesha kiya wah bhi SUNNAT nahi,

balke unke nazdeek kisi faael ke masnoon hone ke liye pahle fuqaha ke dastakhat (signature) hone zaroori hai, wah jise sunnat qaraar den wa sunnat aur wah jis ko sunnat se khaarij qaraar den wah khaarij.....INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAJIOON


2- Ham poochte hain ke iski aap ke paas kya daleel hai ke hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ka daayen haath se khaana khaana, Daayen taraf se wuzu ki ibteda karna, ba'taur aadat tha, ba'taur ibadat na tha,

ye sab jhoote bahaane aur sunnat ko qubool na karne ke dhang hain !!!


3- ulema e deoband ke nazdeek namaz ki sunnatein 24 hain

(namaz masnoon page 310)

ulema e barelwiyyah ke nazdeek 26 hai

lihaaza ab hanafiyon ke nazdeek jo mauqaf durust hai, uske har ek adad par ek sahih marfu muttasil hadith saabit kare ke allah ke rasool hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne unhen hamesha aakhiri namaz tak kiya hai, KABHI BHI TARK NAHI KIYA,

aur in faael ko ba'taur ibaadat karte they na ke ba'taur aadat,


agar hanafiyah in 24 namaz ki sunnaton par aisi hadith saabit kar den toh ham maan jaayenge ke sunnat wahi hoti hai, jaisa ke hanafiyah ne uski tareef ki hai, ke

"jise hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) hamesha karte they"

magar mere bhaiyyon, yaad rakhiye poori duniya ke muarrakeen jama hokar sar (head) tod Koshish karne ke ba'wajood iska saboot nahi de sakte...


4- jo faael jis haalat wa kaifiyat me hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) se saabit hai, khwaah wah zindagi me ek baar kiya ya zyaadah baar, wah faael sunnat hai, ba'sharte wah mansookh na ho,

ham aisi sunnaton ki nisaandehi karte hai jo hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne sirf ek hi baar kiya hai, magar poori ummat muslima ke nazdeek wah fael SUNNAT hai..

1- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne hijrat ek baar hi ki.

2-hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne apne haathon se masjid ki taameer sirf ek baar ki hai,

3- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne tableegh ke liye door ka safar ek baar taif ka kiya hai

4- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne kaaba ke andar sirf ek baar hi namaz padhi hai

5- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne sirf ek baar hi tableegh ke liye wafad bheja Hai, jiske nateeje me bere mauna ka waqeya pesh aaya tha

6- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne sirf ek baar hi meraj ki raat ambiya ko imamat karaayi hai, toh kya jab hz isa (as) ka nuzool hoga aur imam mahdi unki imaamat karwaayenge (muslim jild 1 page 87) toh kya mahdi ka ye fael ghair masnoon hoga ??

7- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne sirf ek baar khandaq khodi thi, toh kya ab jihaad me morche banaana ghair masnoon hai ??

8- ba'qaul maulana usmani, sooraj grahan (solar eclipes) ka waqeya shirf ek baar hi pesh aaya aur namaz kusuf e shams bhi ek baar ada ki gayi

(dars e tirmizi jild 2 page 351)

kya ab namaz e kusuf ghair masnoon hogi, sunnat nahi ??

9- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) apni waalidah ki qabr par sirf ek baar gaye hain, toh kya ab walidain ki qabr par jaana ghair mansnoon hai ??


10- hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne hajj sirf ek Baar hi kiya hai toh kya hajj ko isi tareeqe se ada karna ghair masnoon hai ??


Mere azeez bhaiyyon ! Agar hanafiyah ki baat tasleem kar liya jaaye toh nubuwwat se imaan uth jaayega,

har khud'gharz bidati allah ke rasool hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ke aqwaal wa faael ko ye kah kar radd kar dega ki

ye sirf ek-aadh baar ka waqeya hai, lihaaza sunnat aur qaabil amal nahi !!!!


Ab ham faaltu wa ghair zaroori baat na karte hue asal mauzu par aate hain



NANGE SAR NAMAZ ADA KARNE KA SUBOOT :



hz jaabir (ra) se marwi hai ke ek roz wah ek kapde ko jism par lapete namaz padh rahe the, jabke dusra kapda qareeb tha, jab namaz se faarig hue toh kisi ne kaha:-" aap ek hi kapde me namaz ada kar rahe hain, jabke dusra kapda aapke paas maujood hai"

unhone kaha:-" main chahta hun ke tumhare jaise jaahil wa ahmaq mujhe dekh len ke nabi akram hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ko maine Isi tarah namaz padhte dekha hai"

(bukhari hadith 370 )


hz umar bin salma (ra) bayan karte hain ke unhone hz muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ko dekha, wah hz umme salma (ra) ke ghar ek kapde me namaz ada farma rahe they aur kapde ke dono kinaaron ko aapne kandhon par daal rakha tha

(bukhari)


Hanafi hazraat miskaat ki ek gadi hui hadith pesh karte hain jo is tarah hai

" nabi akram hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne nange sar aadmi ke salaam ka jawab tak nahi dete they "

(miskaat)


JAWAB:


Miskaat me aisi koi hadith nahi hai, jo hanafiyyah zikr kar rahe hain


haan ! Mishkaat kitabul libas me tirmizi aur abu dawood ke hawaale se ek riwayat hai ke

" ek admi guzra aur uske ooper do surkh rang ke kapde they , usne nabi akram hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko salaam kiya toh aapne (as) ne uske salaam ka jawab na diya"

(mishkaat jild 2 page 1247 hadith 4353)



Dekhiye bhaiyyon is hadith me salam ka jawab na dene ki wajah surkh libas pahanne ki wajah bataya gaya hai,

lekin ahle hanafiya ko jhoot ki itni kasrat se aadat padh chuki hai ke usne is riwayat me bhi taqleedi aari chala kar matan riwayat me radd o badal kar diya hai,

algharz ye nabi akram hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taraf kazzab mansoob kiya gaya hai, allah taala inhe taufeeq de...


Miskaat ki hadith ko allama albani ne "tahqeeq miskaat jild 2 page 1247" me zaeff kaha hai, aur hafiz ibn hajar ne uski fath ul baari me thaneef ki hai ( kazaafi tanqeeh arwah jild 3 page 230)


aur is hadith ki zaeff hone ki wajah ye hai ke :-"sanad me abu yahya qataat raawi hai"

(abu dawood jild 2 page 207)


aur ye laenul hadith hai

(taqreeb page 432)


KYA NANGE SAR NAMAZ NAHI HOTI ??



fuqaha hanafiya ne nange sar namaz ko maqrooh bhi likha hai, magar uske sath sath ye bhi saraahat ki hai Ke agar koi shakhs aajizi se nange sar namaz ada karta hai toh uski namaz ho jaati hai,


allama zaili hanafi "sharah maniyah" me farmate hain ke

" agar aajizi aur khusu ki wajah se ho toh phir (ho jati hai) makrooh nahi"

(mustamli page 349, sharah wiqaya jild 1 page 95, masnoon namaz page 504)


yahi baat sahab durre mukhtar ne kahi hai aur uski sharah me ibne aabideen farmate hain

" yani ye baat khoob acchi hai"

(fatawa shami jild 1 page 641)


isi par kanzul daqaiq ke sharah allah ibne najeem hanafi ne aitemaad kiya hai


(bahrur raiq jild 2 page 25)



ULEMA E AHLE HADITH KI TAHQEEQ:



hamare hanafi bhai " fatawa ulema e ahle hadith jild 4 page 286-291" ki ibaarat ka hawaala dete hain...


Hamen aitraf hai ke maulana (rh) ki yahi tahqeeq thi ke :-" nange sar namaz ba'taur aadat ya faishion ada na karni chahiye"


magar unhone isi mufassal fatawa ki ibteda me hi aitraf kiya hai ke:-" sar chunke Bila'ittefaq aaza e satar me nahi, isliye agar kisi waqt nange sar namaz padhi jaaye to namaz bila ittefaq jaayez hogi"

(fatawa ulema e hadith jild 4 page 286)


kya hamare hanafi bhaiyyon ko unki is tahqeeq se intefaq hai ??

Agar nahi, yaqinan nahi kyonki hanafiyah isko MAKROOH kahte hain

jiski ijazat sirf mazboori ki wajah se di ja sakti hai,

jaisa ke khud hanafi aalim jhangwi apni kitab " tohfa ahle hadith" me likha hai ke


"aap ke sawal ki shaq awwal ka jawab dete hain ke namaz ho jaati hai ya nahi, arz ye hai ke agar koi aadmi ba'amr majboori nange sar namaz padhta hai, yani uske paas kapda na ho ya sar me koi taqleef ho to namaz ho jaayegi"

(page 14)


JAWAB:


Ab dekhiye maulana salafi marhoom (rh) toh jayez ka fatawa dete hain, kisi majboori ki qaid nahi lagaate .

Jab ke hanafiya majboori ki qaid lagaate hain,


halaanke majboori ki wajah se toh baith kar namaz bhi jayez hai, balke leit Kar padhne ki bhi ijaazat hai, bila'wuzu tayammum karke insaan namaz ada kar sakta hai,

al'gharz aam halaat aur majboori ke fatawa me zameen o aasmaan ka farq hai, lekin hamare maulana ismail salafi marhoom (rh) ka fatawa apni taeed me hanafiya pesh kar rahe hain,


afsos 15wi sadi me aise faazil bhi musannaf ban baithe hain jo muttlaq aur muqeed ke farq ko nahin jaante,



EK SAWAL AHLE TAQLEED SE :



Fuqaha ahnaf ne nange sar namaz ko makrooh likha hai, jaisa ke tafseel se bayan ho chuka hai,

usul fiqah me marqoom hai ke:- "MAQROOH wah cheez hoti hai jo daleel zani se saabit ho, yani hadith sahih, marfu, mutassil se uska saboot ho, magar kitabullah me uski mumaniyat na ho "


is usool ki roshni me hi nateeja akhaz ho jaata hai ke :-" nange sar namaz ada karne ki mumaniat par koi ayat qur'ani to maujood nahi, albatta hadith maujood hai"


ab sawaal ye hai ke wah hadith kis sahabi se marwi hai aur Hadith ki kis kitab me uska wajood hai ke nabi akram hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne nange sar namaz ada karne se mana farmaya hai ??


Yaqeen jaaniye ke poori duniya ke deobandi ulema mil kar sar tod koshish karne ke ba'wajood hamen koi aisi sahih marfu mutassil hadith nahi dikha sakte ,

agar ye dikha den toh ham allah ko gawah bana kar kahte hain ke be'ghair kisi heel o hujjat se ham usko apna amal banaayenge aur nange sar namaz ada karne se mana karenge...... Inshaallah



AAKHIR KHAMOSHI KYON HAI ??


kitni seedhi si baat hai ke nange sar namaz ada karne ko hanafiya hazraat makrooh kahte hain aur majboori ki soorat ke elawa uske jawaz ke qael hi nahi,

jaisa ke tohfa ahle hadith ke musannaf jhangwi bhi is par koi sahih marfu hadith pesh nahi kar saka, toh sawaal paida hota hai ki aakhir aap hazraat wah hadith kyon pesh nahi karte,

iska saaf matlab ye howa ke aapke paas koi daleel Maujood hi nahi,


haan lekin tohfa ahle hadith ke musannaf jhangwi ne ye kaarnaama kar dikhaaya aur apni taraf se ek hadith bana kar nabi akram hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taraf mansoob kar di... (read above)


hanafiya ka ye bad'tareen fael hi is baat ki daleel hai ke aap is par koi daleel nahi rakhte, warna aap ko hadith gadhne ki zaroorat pesh na aati...



MUSANNAF TOHFA E AHLE HADITH JHANGWI KI QURAAN KE MAANA ME TAHREEF :



Farmate hain ke :-" agar susti se sar nanga rakhta hai toh usme yahudion se mushabahat hai"

quraan me aata hai yahudion ke baare me ke:-" jab namaz ke liye khade hue susti ke saath khade hue"

(tohfa ahle hadith page 14)



JAWAB:



1- Baat ko aage le jaane se pahle aayen alfaz e quraan aur unka tarjuma mulaheza karen

maulana mahmood ul hasan deobandi is ayat ke baare me farmate hain

" albatta munafiq daghabazi karte hain, allah se aur wahi unho dagha Dega, aur jab khade hon namaz ko to khade hon haare jee se, logon ko dikhaane ko, aur yaad na karen allah ko magar thoda sa"

(surah nisa ayat 142, tarjuma mahmud ul hasan deobandi)


Bhaiyyon aap is tarjuma se hi ba'khoobi jaan gaye honge ke yahan par munafiqeen ka zikr ho raha hai, magar hamare jhangwi sahab qur'aani uloom se is qadr jaahil hain ke wah use yahud ki baare me baa'war kara rahe hain,

goya lafz munafiqeen ke lafz ko yahud se badalna, unka allah taala par aftara aur quraan ki maano ki tahreef hai ??


KYA NANGE SAR IBAADAT KARNA ISAAIYYON KA TAREEQA HAI ??



Jhangwi farmate hai :-" isaaiyon se mushabahat laazim aati hai, isaaiyon ko ibaadat karte hue aapne dekha hoga saare nange se ibaadat karte hain "


(tohfa ahle hadith page 13)



JAWAB:



1-hamari to isaaiyat ke saath koi yaari nahi, yaari waalon ko malum hoga ke wah ibaadat kis tarah karte hain,

hamare shaher me girja ghar hai Magar kabhi unki ibaadat dekhne ka intefaaq nahi huwa,

haan kabhi bade din (christmas) par wah ibaadat karte hain to aawaz se pata chalta hai ke wah toh moseeqi ke saath karte hain,

jaise baaz ba'qalam khud musalman raqs wa sarod ki mahfil ke saath ibaadat karte hain,

jo log barre sagheer me mauseeqi ke saath ibadat karte hain (qawwali wagerah), unka rishta hanafiyat ke saath hai, balke wah apne ko pakke hanafi kahte hain, aur aap hazraat ko hanafiyat ke khilaaf shaajish se taabeer karte hai,

al'gharz apni aankh ka shahteer to nazar nahi aa raha, magar ghair ki aankh me tinka aap ko dikhta hai,


2- hanafiya par laazim hai ke wah dalail wa baraheen se saabit kare ke nange sar ibaadat karna kuffar ka sha'aar hai,


3- is baat ki wazahat bhi kar dijiye ke jin fuqaha ne nange sar namaz ko jayez kaha hai wah kuffar ke zamar me aate hain ya nahi ??



ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE AUR SUNNE KI TAUFEEQ DE...