Har Ibteda Se Pehle Har Inteha Ke Baad, "ZAAT-E-NABI Buland Hai "ZAAT-E-KHUDA" Ke Baad, Dunya Main Ehtraam Ke Qabil Hain Jitne Log, Main Sabko Manta Hun, Magar ,"MUHAMMAD-MUSTAFA{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} Ke Baad..
Saturday, July 7, 2012
RAAZ KO FAASH NA KARO
Bismillahirahmanirraheem
RAAZ KO FAASH NA KARO
" Qayamat ke din allah ke nazdeek bad'tareen shakhs wo hoga jo aurat se apni haajat poori kar leta hai aur baad me us raaz ko faash karta hai "
(muslim, abu dawood)
TASHREEH:
is hadith se us shakhs ko bad'tareen insaan saabit kiya gaya hai jo apni aurat se nafsiyaati khwaahisaat ko poori karne ke baad us amal ko dusron se bayaan karta hai ke maine aisa waisa kiya,
Hz abu hurairah (ra) farmate hain ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hamen namaz padhayi aur jab salaam phera toh hamari taraf rukh karke farmaya:-" baithe raho, aur suno ! Kya tum mese koi shakhs aisa bhi hai jo apni biwi ke paas jaaye toh darwaaza band kare aur pardah daal le aur baahir nikle toh bayaan karta fire ke maine apni biwi ke saath aisa waisa kiya ? Aap ke is sawaal ka jawab kisi ne nahi diya,
phir aapne aurton ki taraf mutawajjoh hokar farmaya ke:- kya tum Mese bhi kuch aurtein aisi hain ? Ek nau'jawan ladki jo apne ghutno ke bal allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko dekhne aur kalaam nubuwwat sunne ki koshish kar rahi thi BOLI,:- Qasm hai allah ki mard is tarah ki baatein karte hain aur aurtein bhi,
is par rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jaante ho jo shakhs aisi baatein karta hai us ki misaal kaisi hai ? Uski misaal us shaitaan aur shaitaaniyah jaisi hai jo apni biwi se shaahrah aam par milta hai aur apni zaroorat poori karta hai aur haalat ye hoti hai ke log ye khel dekh rahe hote hain "
(ahmad, abu dawood, wa bazzaar)
rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne misaal bayaan farma kar us amr qabeeh se nafrat dilaane par zor diya hai taake koi mard ya aurat ye ghalti na kare ke apne andar ki baatein baaher aam logon ke beech bayaan kare,
is hadith me is baat ko posheeda rakhne ki targheeb di gayi hai , isse miyan biwi ke raaz un ka aapas ka mel milaap, unka ek dusre se pyaar wa muhabbat, bos wa kinaar hona sharai aitbaar se sabse bahtar jagah unka ghar hai aur unke ye tamaam kaam pardah raaz me hone chahiye na ke uske sire se aam anjaam diya jaaye, aur usko dusron se bayaan kiya jaaye,
rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hadithon ko apne saamne rakh kar maujoodah daur par ek sarsari nazar daalein aur apni aankhon ko band karke chand minute sochen ke aaj kya kiya ho raha hai, iska anjaam kiya hoga, apne aapko mazhab aur taraqqi pasand musalmaan kahne waale logon ke gharon me kiya kya ho raha hai, usko bataane ki zaroorat nahi,
aaj taraqqi pasandi ke naam par muslim gharaano me jo kuch ho raha hai usse is baat kh ummeed rakhi hi nahi ja sakti ke unke ghar ke bacche islam ki taalimaat ko apne liye mash'al banaayenge,
allah taala ham tamaam musalmano ko sunnat rasool sallalaho alaihi Wasallam (pbuh) ko apni zindagi me nafez karne aur unpar amal paira hone ki taufeeq de aur tamaam shaitaani raaston se ham sab ko mahfooz rakhe........AMEEN
Labels:
AQEEDAH,
DARS-E-HADITH
SALFIYYA ISLAMIC RESEARCH CENTRE KANPUR