Tuesday, July 3, 2012

RASOOM-E-SHAB-E-BARAT..(rooh ki haazri ka aqeeda)

BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM




Shabe barat mei tamam ahtemamat yani gharo ki safai wa araaish naye aur umda khane aur unke saath umdah qism ki khushbudar battiyo se gharo ko mu'attar karna dar-asl is nuqta-e-nazar se kiye jaate hai ke is din guzre hue logo ki ruhe tashreef lati hai ,aur raat bhat gharo mei rah kar subah sawere alam-e-arwah ki taraf rukhsat ho jati hai.chunanche inhi rooho ka istaqbaal karne ke liye gharo ko sanwarte roshniyo se sajate aur fatiha me unki pasandida ashiya pesh karte hai jo zindagi me unhe marghoob rahi ho.


ruho ke aane ka yeh tasawwur sarasar hinduana aur mushrikana hai hinduo ka aqeeda hai ke "pitar paksh" waghairah ke muke par purwajo ki atmae aati hai,aur unhe pind nazar kiya jata hai,jis se unhe shanti miljati hai aur wapas ho jati hai ,yeh pind unke naam se nadi me daal diye jaate hai.


islami nuqta-e-nazar se ruho ki waapsi ka aqeeda sarasar ghalat haiinsaan ke mar jaane ke baad dubaara laut kar uski rooh dunya me nahi aa sakti.


ahanaaf ke ulama ke nazdeek bhi yehi rai hai, hanfi alim "ashraf ali thanwi" ka qaul hai :


"baaz log yeh aqeeda rakhte hai ke shab-eebaraat waghairah mein murdo ki ruhe gharo mei aati hain aur dekhti hai ke kisi ne hamare liye kuch pakaya hai yaa nahi zahir hai aisa amr khafi kisi daleel se saabit nahi ho sakta hai.


(islah-ul-rasoom page 132).