Wednesday, July 11, 2012

SABR--- KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME





Bismillahirrahmanirraheem



SABR--- KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME:



Duniya me jahan kabhi mukhtalif taqleefon, mashaqqaton se do'chaar hona padhta hai, kabhi khushiyan hoti hain to kabhi marsiya khwani bhi hoti hai


" jahan bajti hai shahnaayi, wahan matam bhi hote hain "


is waadi me phool bhi hain, aur kaante bhi,

jo is chand roza zindagi ke masaib ko sabr wa shukr ke saath bardaasht kar leta hai, wah allah ka muqarrab banda ban jaata hai,

use aakhirat me aisa maqaam wa martaba haasil hoga ise dekhkar duniya hairaan rah jaayegi


allah taala ka irshad hai :-" sabr karne waalon ko unki mazdoori be'hisaab milegi "

(surah zumar ayat 10)


matlab ye ke sabr karne waalon ko jo sawaab milega wo kisi paimaane se naap tol kar nahi, balke be'hisaab unhe ata kiya jaayega


ek dusri jagah irshad hai:-" aur unke sabr ke badle unhe jannat aur reshmi libaas diye jaayenge"

(surah daher 12)


yahan tak ke Wah log jinki dunyawi zindagi aafiyat me ghuzri, tamanna karenge ke : aiy kaash! Duniya me kainchiyon ke zariye kaate gaye hote toh hamen bhi sabr ka aisa hi sila milta,


kitab wa sunnat me sabr karne waalon ki badi taareef ki gayi hai, banda saabir allah ka baada pyara aur mahboob hota hai,

irshad hai :-" aur allah sabr karne waalon se muhabbat karta hai "

(surah aal e imram 146)


ek aur jagah irshad hai:-" allah taala sabr karne waalon ke saath hai "

(surah baqarah 153)




Saabiron ke liye nek anjam aur bahtareen theekaana hai, qayamat ke din unka shumar muttaqiyon me hoga,

allah taala ka farman hai:-" jo tang'dusti, dukh, dard aur ladaayi ke waqt sabr kare, yahi sacche log hain aur yahi parhezgaar hai "

(surah baqarah 177)


saabir apne sabr ke badle nihaayat azeem aur na khatm hone waale inaam aur be'inteha ajar se sharf'yaab ho kar daaimi mussarrat se ham'kanaar honge,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jise aankhon ne na dekhi, na hi kaano se suna aur na hi us tarah ka koi khyaal kisi bhi insaan ke dil me samaaya"


haqiqat toh ye hai ke sabr momin ki shaan hai, muslim shareef me ek hadith aati hai jo hz suhaib (ra) se marwi hai
hz suhaib (ra) kahte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" momin ka maamla bhi ajab hai, har haal me uske liye khair hi khair hai, ye shaan momin ke siwa kisi aur ko mayassar nahi , agar usko masarrat haasil hoti hai to bajaaye takbeer ke allah ka shukr ada karta hai aur agar museebat naazil hoti hai to na'ummeedi ke bajaaye sabr ka sahara leta hai, yani har haal me ye nafa hi me rahta hai, raahat me bhi, ranj me bhi, dono haalaton me khuda ko khush rakhta hai, aur uski raza ka taalab hota hai, nekiyan aur darjaat badhta rahta hai "

(muslim)


lafz sabr bada jaame hai, aur uske maana ke andar badi wasiat hai,

jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke sahab'zaade hz ibraaheem ka inteqaal ho gaya toh aap hz abdul rahmaan(ra) ke sahare tashreef laaye, aankhon se aansu jaari they, ye dekh kar ek sahabi ne kaha:- ya rasoollullah ! Aap toh sabr ki talqeen karte hain,

irshaad huwa:-" main aansu bahaane se nahi rokta kyunke ye bashariat ka taqaaza hai, albatta noha aur maatam karne se mana karta hun"

phir aap (sws) ne farmaya:-" aiy ibraaheem ! Ham teri judaayi se bahut Ghamgeen hain, hamari aankhen ashq'baar hain, aur dil rota hai, lekin hamari zabaan se wahi qalma nikalta hai jo hamare rabb ko mahboob hota hai "

(hadith)


jab banda momin sabr wa shukr se kaam leta hai toh jahan ek taraf se sukoon haasil hota hai, aur dusri taraf wah rab ke inaam ka mustahiq thaharta hai,


tirmizi ki ek hadith hai jis mein nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) farmate hain :-" jab kisi musalmaan ka koi baccha mar jaata hai toh uski rooh qabz karne waale farishton se allah taala sawaal karta hai ke :-tumne mere ek bande ke baccha ki rooh qabz kar li, bataao usne kya kaha ?

Farishte jawab dete hain:-" aiy allah ! Usne ' inna lillahi wa inna ilaihi raajiun ' kaha, aur unki zabaan teri taareefon me lagi rahi, "

is mauqe se allah taala farmata hai:-" dekho mere is bande ke liye jannat me ek mahal taiyyar karo, aur uska naam ' bait ul hamd ' rakho"


(tirmizi)


kya hi khus'kismAt hain wah log jo museebat ki ghadi mein sabr karte hain aur rabb se ajar haasil karte rahte hain


museebat me sabr karne waalon ko aakhirat ke elawa, basa awqaat duniya me bhi uska ajar mil jaata hai......


ALLAH TAALA HAM SABKO SABR KARNE KE TAUFEEQ DE....... Ameen