Friday, July 6, 2012

Shabe Baraath ki Ahadees ka mukam'mal jaa'ezaa.

bismillahirrahmanirraheem



Assalamu aalikum warahmatul lahi wabarakathu !!!





Shabe baraath ki fazilaath aur qususi ibaadatoun ki aahadees jo aksar pesh ki jaati hain .. un ka tafseeli jaiza….!!







1) jab nifs shabaan ki sheb(raath) ho toh tum namaazon ka ahtemaam karo aur is roz roza rakho,

kyunki Allah tala is shab gurub-e-aftaab k saath dunyavi asmaan par nazil hote hain aur famante hain khabardaar!

Koi maghfirath ka talab gaar hai jis ko mai baaqhs dun,?

Koi rozi ka talabgaar hai jise mai naawaaz dun?

Koi beemaar hain jise mai aafiath dun,?

Wagera wagera .. yai maajera tulu fajr tak jaari rehta hai..

Yeh hadees ko imam ibn majah (rh) ne sunan me Ali(RA) ne se riwayath kia hai,,

Is hadees ki sanad me “Abu-bakr bin Abdullah bin Muhammad bin abi-seraatul al-quraishi al-aameri al-madani “ nami ravi hai .. jis par yai ilzaam hai k wo rasul-Allah(sallaohu alaihi wassalm) par JHOTI ahadees banaya karta tha

(see: taqreeb-al-tahzeeb la bin hajr)



aur is ravi ko imam bukhari (rh) etc etc ne zaaif(weak) kharaar diya hain(see: mezaan-al-adaal-al-zahbi) , imam ahmed(rh) ne farmaya k is ka mashgela(kaam) nabi (saw) par Jhoti hadeesen banakar pesh karna thaa.(see: al-silsalatul zaaeefiyaath wa al mauzuaath)





*********************************************************************



2) Ayesha(ra) ne farmaya k

“ek raath ap(saw) mujhe nazar nahi aaye, nikal kar dekhi toh baqi mai payi, is par Ap(saw) ne farmaya k Allah aur is ka rasul tum par zulm nahi karege,



toh Ayesha (ra) ne famaya k mai samjhi k Ap kisi aur biwi k paas tashreef farma hain,



phir ap(saw) Allah tala nifs shaaban ki sheb dunyavi asmaan par nazil hote hain , aur qabel-e-kalb ki bakriyoon k baalon(hairs) ki taadaaad se zyada maghfirath fermate hain –



Is hadees ko Imaam termizi(rh) ne riwayaath kiya hai, aur riwayaath karne k fauran baad hausheeyar(warn) kardeya k is Hadees ki SANAD me “Hajjaj-bin-artaat “ nami ravi ko imam Bukhari (rh) ne zaaif(weak) khaaraar diya hain,



and also , is hadees ko sanad do jagah mantaqa(distributed) hai, kyun ki na toh HAJJAJ ne yahya se hadees suna hai aur na hi yahya ne Aurooth se,, lehaza(therefore) ye hadees gair sabit hain(not proven)….





**********************************************************************





3) Panch(five) aisi raaten(nights) hain jin mai dua rad nahi ki jati, rajab ki pehli raath, nifs shabaan ki raath, jumah ki raath, aur eed ki do raaten..





Yeh riwayath tareekh dimasq mai Abu Imama (RA) se mawi hai,



jis ki sanad me “bendaar al-royani Aur Ibrahim bin abi yahya” naami kazzaab rowaath hain..

(see: -silsalatul zaaeefiyaath wa al mauzuaath)..



aur imam ibn hajr(RH) ne kaha k is ki sanad me morwaan-bin-salem naami raawi inteha’e daa’ef (extremely weak) hai…(see: al-talqees al-habeer)



************************************************************************





4)Rajab Allah ka mahina hai, shabaan mera mahina hai, aur ramazan meri ummath ka mahina hai..





Imaam’ mufasir’ muhaddis’ moareeq alaamth al iraaq ibn al-jawzi (rh) (dob 508 hijri and dod 597 hijri) ne “al-mauzuaath” naami kitaab likhi aaur rasulalla(sallaho alaihi wassalm) par mangadaath waa’ze kardi jhooti aur baatil aahadees ko is kitaab me jaama kiya’ , taakey sahih ahadees ki hifaazath ki jaa’e,, lehaza is kitaab me ibn-al- jawzi(rh) ne is hadees k mutaleq farmaya k ye hadees “Anas(RA)” se marwi moudhu(fabricated) hai….





***********************************************************************



5) jab mahe rajab shuru hua toh dua fermaya k aye Allah tu hamare liye rajab wa shabaan me barkaath de, aur hame ramadhaan naseeb frma..





Imaam muhamaad tahir bin ali al-hindi al-mufti (rh) (dod 986 hijri) ne bhi imam ibn jawzi (rh) ki kitaab k tarha “taskeratul mauzuaath” naami kitaab likhi aur farmaya k is hadees ki sanad zaaef(weak) hai.. jo Anas(RA) se marwi sunan bayhaqi aur tareek dimasq me maujood hai…





**********************************************************************



6) nifs shabaan ki sheb Allah tala “Malikul Maauth” (maauth k farishte) ko batlate hain k is saal kis ki maauth waaqif hogi…



Ye hadees kitaab “ al-majaalisaath ul ladinor’ri “ me Rashid bin saad se marwi mursal aur zaaef hai..





**********************************************************************



7) mahe shaaban ki fazilath dusre maheno k ba-muqabil isi tarha hai jis tarha dusre anbiya me mera muqaaam hai..





Is hadees ko imam Muhammad al-hindi ne “taskeraathul mauzuaath” me Anas(RA) se marwi maoudhu(fabricated/forged) riwayath qarar diya hai..





*********************************************************************





8) shaaban me roza rakna mahe ramzaan k baad sab se afzaal hai’ aur ramzaan me sadqa wa khairaath karna sab se afzal hai..





Is hadees ko Imaam termizi(rh) riwaayath kiya aur fermaya k is hadees ki sanad me sadqa-bin-musi naami rawi ka haafiza(memory) qawi nahi hai(not reliable)…



balke isi ibne ma’een (rh) aur nasai’(rh) ne Zaeef qarar diya hai..

(see: mizaan al-aetedaal al-zaihbi wa tahafath al-houzi shara jame al-termizi lil maabaar kafurii)







********************************************************************



9)jo shaks nifs shaabaan ki sheb 100 rakath namaaz ada karega, aur har rakath me sure-fateha aur sure-iklaas 10 daffa padhega toh allah tala is raath is ke har hajjath puri ferma denge………





( is hadees ko imam ibne al-jawzi (rh) ne apni kitaab “al-mauzuaath “ ne Ali(RA) se marwi manqat(broken) aur moudhu(fabricated) karar diya hai..)





********************************************************************



10) jo shaakhs nifs shaaban ki sheb, 100 rakath me 1000 martaba sure0iklaas padhega toh ise khawaab me 100 fareshtoun k zarye janaath ki bashaarath di jayee gi……..





(is hadees ko imam ibne al-jawzi(rh) ne apni kitaab al mauzuaath me ibne umar (RA) se marwi manqata(broken) aur maudhu(fabricated) qarar diya hai…)





*******************************************************************



11. jo shaakhs nifs shabaan ki sheb 1000 martaba suer-iklaas padhega toh ise zindagi me jannath ki basharaath di jayegi……..





( is hadees ko imam ibne al-jawzi(rh) ne apni kitab al-mauzuaath me abu-jaffer al-baqar razi se marwi mantaqa(broken) aur maudhu(fabricated) qarar diya hai…..)



*******************************************************************





12) jo shaakhs nifs shaabaan ki sheb 12 rakath namaaz ada karega, aur har rakaath me sure-iklaas 30 martaba padhega toh ise jannath ki basharath di jayegi….





( is hadees ko imam ibne al-jawzi(rh) ne apni kitaab al-mauzuaath me abu-hurairah(RA) se marwi maudhu(fabricated) qarar diya hai..)





******************************************************************



13) jo shaakhs nifs shabaan ki sheb 14 rakaath namaaz padhega,, phir sura-iklaas , surah falaq aur surah naaz 14 daffe padhega………toh ise aagley aur pechley 60 saal k roze rakhne ka sawaab milegaa…





(is hadees ko imam ibne al-jawzi (rh) ne apni kitaab al-mauzuaath me Ali(RA) se marwi maudhu(fabricated) qarar diya hai..)







******************************************************************





14) Allah tala Arfa ki sheb’ , eedein ki sheb, aur nifs shabaan ki sheb umre (age) aur roozi(food) likhte hain….





(is hadees ko imam daar qatani(rh) ne is ki sanad ko zaaeef(weak) qarar diya hai….

(see: mauzuaath aqwaal al-daar qatani)



******************************************************************





15) 12 rakathoun me har rakaath me sure-iklaas 39 daffe padhna …



(is hadees ko imam Muhammad al-hindi ne taskeraatul al-mauzuaath me maadhu(fabricated) qaraar diya hai..)





*****************************************************************





16) jibrael(alayi salaam) ne mujhe nifs shaabaan ki sheb namaazen(plural of namaaz) padhte rehna ka hukm diya hai…





( is hadees ko imaaam muhammad al-hindi ne tarkeraathul al-mauzuaath me Aubbi(RA) se marwi maudhu(fabricated) qaraar diya hain..)







****************************************************************







So… All the above 16 ahadeeths which are mentioned above are not proven from the last and final prophet Muhammad (peace be upon him)..



Balke, isme se aksar ahadees rasullah sallahu alhaihi wassalm par waza karda ghaadee( blame) aur jhooti hain… jin se bachna har ummati par FarZ hai……..



Jazakallahu khairan katheeran katheraaa….



May ALLAh save us from All kinds of shirk and biddaths.. ameeeeen!!



Please share…!!

credit : Shaik Hussain Madani ...