Sunday, July 15, 2012

UMMAT-E-MUHAMMADIA KI PASTI AUR ZAWAAL (DECREMENT) KYON ???





Bismillahirrahmanirraheem



UMMAT-E-MUHAMMADIA KI PASTI AUR ZAWAAL (DECREMENT) KYON ???



Allah taala ka irshad hai:-" aiy nabi ! Kah do, agar tumhare baap aur bete aur bhai aur biwiyan aur khaandaan ke admi aur waah maal jo tum kamaate ho aur wah tijaarat jiski mand pad jaane ka tumhe khauff hai aur wah haweliyan jinko tum pasand karte ho, allah aur uske rasool se tumhe zyada azeez hain, toh phir tum intezaar karo, hatta ke allah apna faisla bheje, aur allah na'farmaano ko hidayat nahin deta"

( surah tauba 24)


aur farmaya:-" agar tum jihaad ke liye na nikloge toh rahmaan tumhe shakht saza dega aur tumhari jagah kisi aur qaum ko uthaayega aur tum allah ka kuch bigaad na sakoge, wah har cheez par qudrat rakhta hai "

(surah tauba 39)


hadith me hai


hz ibn umar (ra) bayaan karte hain ke maine nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se suna ke aapne farmaya:-" jab log dirham wa dinaar ke harees ho jaayen aur jins Bazaar me aane se pahle uski khareed wa farokht karne lagen, aur belon ki jaden pakad len (kheti baadi me lag jaayen) aur jihaad ko chhod den, toh allah unpar shakht aazmaish musallat karega aur wah us se us waqt tak na nikal sakenge jab tak apni deen ki taraf na laut aayen aur jihaad ko qayem na karenge "

(musnad ahmad, abu dawood)


aur farmaya


hz ubada bin saamit (ra) bayaan karte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" allah ke raaste me har qareeb aur door ke dushman se jihad karo, aur allah ke deen ke baare me kisi malaamat karne waali ki parwah na karo, aur allah ke hudood qayem karo, hazar aur safar dono haalaton me allah ki raah me jihaad karte raho, kyonki jihaad jannat ka ek azeem darwaaza hai, jihaad ke zariye allah insaano ko pareshaani aur ranj se nijaat dilaata hai "

(rawah ahmad)


ek aur hadith me hai


hz abu hurairah (ra) bayaan karte hai ki maine nabi E akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se suna ke aapne hz shobaan ra ( aapke(sws) ke azaad kardah ghulam) se farmaya:-" aiy shobaan ! Tumhari kya haalat hogi, agar tumpar dusri qaumein toot paden jis tarah tum khaane ke bartan par luqme lene ke liye toot padte ho,

hz shobaan ne arz kiya:- mere maa baap aap par qurbaan hon aiy allah ke rasool, kya hamari haalat qillat tadaad ki wajah se hogi ?

Aapne farmaya:-" ye baat nahi, balke tadaad me tum zyada hoge, lekin tumhare dil ke andar kamzori, buz'dili, pad jaayegi"

dusre sahaba ne daryaaft farmaya:- ya rasoollullah ! Kamzori se kya muraad hai ?

Sarkaar do aalam ne farmaya:-" tumhara duniya ki muhabbat me giraftaar ho jaana aur ladaayi se ji churaana ye asal kamzori hogi "

( rawah musnad ahmad, abu dawood)


aiy bhai gunaahon par asraar kyon ? Aayye ham allah ke huzoor dua karte hain ke shirk jaisi azeem gunaah aur dusre chote bade gunaahon se Apne daaman ko bachaayenge, namaz ki pabandi karenge, apni islah aur dusron ki islah ki bhar'poor koshish karenge........

allah humko is hukm par amal karney ki tawfeeq dey aur hamarey dilon ke andar ki buzdili ko khatam karney ki tawfeeq dey aur kuffar jo humko khatam karna chahrahey hain unkey andar main zalzaley sey kaifiat paida karney ki humko tawfeeq dey aameeen .......