Saturday, July 21, 2012

RAMZAN UL MUBAARAK-- TAQWA HAASIL KARNE KA MAHEENA







Bismillahirrahmanirraheem



RAMZAN UL MUBAARAK-- TAQWA HAASIL KARNE KA MAHEENA:


ramzan ka mahina Bahut se ahmiyaton wa fazilaton waala hai, pichhli ummaton ki tarah ummat e muhammadia par bhi roza farz kiya gaya hai jo subah saadiq se lekar ghuroob aaftaab tak raza e ilaahi ke husool ke liye khaane peene aur biwion se ham'bistar hone se ruke rahne ka naam hai,

roza ka maqsad khaalis husool TAQWA hai, insaab jab bhook wa pyaas ki haalat me allah ko yaad karta hai toh usse nafs ammaara ko maat dene aur taharat qalb wa tazkiyah nafs ka hasool aasaan ho jata hai,

yaqinan ramzan ke roze ummat e muhammadia ke liye ek training ki haisiyat rakti hai, taake saal bhar ki dunyawi bhool bhulaiyyon me mashgool rahne waala musalmaan apne dil wa dimagh me baithe hue mail (waste) ko saaf karle, jis tarah fauziyon ko waqtan fa'waqtan rehearsal karaayi jaati hai jo jismaani aur mukhtalif aslahon par munhasar hoti hai,,Usi tarah musalmaanon ko huqm diya gaya hai ke jismaani wa ruhaani sukoon haasil karne ke liye rozon ki pabandi karen aur allah ke diye hue ruhaani aslaha QURAAN kareem ki tilaawat me mashgool rahen, aur fauji commander ki tarah hamesha chaak chauband rahne ke liye TARAWEEH Wa qayam ul lail ka bhi ehtemam karen,

lagataar ek maah tak mashgool rahne ki wajah se zang aalood dil aur khwaab aalood dimagh nikhar kar zabaani ahkaamaat ke paband hone ke liye taiyyaar ho jaayen, aur amli zindagi ke liye akhlaaq wa kirdaar bhi sanwar jaayega, tabhi toh bhook wa pyaas ka ahsaas dilaane ke liye kaha gaya hai, taake ameer aur ghareeb faaqe kashi ke asraar ko samjh saken, jo ahsaas taqwa ke raastah par chalaane ka ek raastah hai,

chunke is maah mubarak ki shhab qadr me quraan kareem loh e mahfooz se aasmaan dunya par utaara gaya, phir insaano ki falaah ke liye hasab zaroorat 23 saalon me RAHMATUL LIL AALAMEEN MUHAMMAD SALLAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) par naazil hota raha, uski roshni me jab taj ham apne akhlaaq wa kirdaar, ibadaat, wa maamlaat ko nahi sanwaarege us waqt tak duniya wa aakhirat ki kaayaabi nahi mil paayegi...


Aksar dekhne me aata hai ke QUR'AAN paak ki tilawaton se masjiden goonj rahi hoti hai, kuch auqaat me zikr wa azkaar aur nawafil ada karne waalon se masjiden tang damaani ki shikaayat kar rahi hoti hai, lekin dil wa dimagh uski haalaaton se mustafeed nahi ho paate, wa'az wa nasihat ka asar bhi aaj ke musalmaano par nahi ho raha hai, is waqt ummat e islamiya ki haalat dekhkar rona aata hai,

har jagah unpar zulm wa sitam ke pahaad tode ja rahe hain, unko dunyawi sukoon tak mayassar nahi, aakhirat ki haalat toh allah hi bahtar jaanta hai, uski sabse badi wajah islaami taalimaat aur akhlaaq hasana se doori hai,

dusri ummaton ki tarah ye ummat bhi maadiyat ke hasool ke daur me sar'mast hai, Hasool daulat ke liye aam wa khaas me koi ziyadah farq mahsoos nahi hota hai, daulat aani chahiye chaahe wah kisi bhi raah se aaye,

aah wa baka se masjidon ke darwaaze wa diwaar kaanp rahe hain, lekin ham musalmaano ka dil wa dimagh masjid se baahir aate hi suroor aur duniyaawi chahaton ke hasool ke liye mashgool ho jaata hai,

ham jab tak allah taala ko haqeeqi paalanhaar aur uske ahkaam ki pabandi nahi karenge aur haraam khuraak se nahi bachenge us waqt tak hamare andar khusu wa khuzu nahi aa sakta hai, aur jab tak ye khubiyan nahi hongi us waqt tak hamari saari AAH wa BAQA aur CHEEKH wa PUKAAR aur gosha nasheeni me baith kar ki gayi duwaayen sab be bekaar hongi,

isliye hamko chahiye ke ramzan ul mubarak ka tahe dil se ahteraam karen, apne dilon ko paak wa saaf rakhen, muhaasba nafs karen, jo hasool taqwa ke liye ek aham nuqtah hai,

ham apni ibaadaton wa duwaaon ko tabhi kamyab bana sakte hain jab MAN QAAM RAMZAAN EMAA'NAN WA EHTASA'BAN GHAFAR'LAH MA'TAQADAM MIN ZANBAH

TRANS: yani jisne imaan ke saath ahtesaab ki ummeed (ajr wa sawaab) rakhte hue namaz taraweeh ko qayem kiya toh uske picchle gunaah mu'aaf kar diye jaayenge

(bukhari, muslim)

is ba'barkat maah ki har ghadi suhaani hai, aur har lamha qadr o manzilat waala hai, haalat roza me apne qaul wa nafs me mutabaqat aur akhlaaq wa kirdaar ko seerat rasool sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke uswah ke mutabiq dhaalna chahiye, kyonke roza ki ek alag ahmiyat wa fazilat hai, har ibadat ka ajar wa sawab mutayyan wa maktoob hai, magar ramzab ke rozon ka ajar wa sawaab jo khaalis tazkiyah nafs aur hasool taqwa ka zariya hai, isko allah ne apne liye khaas rakha hai, hadith qudsi me allah ne farmaya gaya hai ke

" roza mere liye hai, main hi iska badla dunga"


ummeed hai ki aaplog is qadr manzilat waale maheene ki qadr karenge, agar aapke saath koi Ghalat harkat karta hai aur baat cheet me cheekhta chillaata hai toh us se aap itna kah kar khaamosh ho jaayen

"main roze se hun"

har chhoti badi laghzishon se ijtenaab ki soorat me aapko dono khushiyan mayassar hongi, jo waqt aftaar aur rab se mulaaqaat ka din hoga, isliye maah e ramzaan ki ahmiyat ko dekhte hue, iski qadr karen. Taake " bab rayyan " me aapka shaandaar istaqbaal ho...