Thursday, July 5, 2012

NAJD KA SAHIH MAFHOOM



NAJD KA SAHIH MAFHOOM



batil parast hamesha ahle haq ke baare me mukhtalif kism ke propaganda se kaam lete aaye hai lekin all'ah ke fazl se haq baland aur numaya ho kar raha aur mukhalifeen kuch na bigad sake .


arab ki sarzameen pe jab "sheikh-ul-islam muhammad-bin abdul wahab rahimull'ah" ne tauheed ka alam buland kiya aur shirk aur bid'at ka sir kuchla to kalima-goh mushriko ne nabi kareem "sallallahu-aleihi-wasallam" ki ahadees ka ma'ana-o-mafhoom badal kar unhe sheikhul islam muhammad bin abdul wahaab per chaspa karna shuru kar diya inhi ahadeeso me se eik hadees "najd" hai.jiski sahi talluk iraq ki sarzameen se hai.

hadees mulahiza farmaye..


abdull'ah bin umar (radiall'ahu anhu) se riwayat hai unhone kaha-"eik din rasoolull'ah "sallallahu-aleihi-wasallam" ne du'a ki-ae all'ah hamare liye sham me barqat nazil farmaa hamare liye yaman me barqat nazil farmaa logo ne kaha ae all'ah ke rasool hamare najd (iraq) ke liye bhi du'a kare ?aap"sallallahu-aleihi-wasallam" ne farmaya ae all'ah hamare liye sham me barqat nazil farmaa hamare liye yaman me barqat nazil farmaa.logo ne kaha ae all'ah ke rasool hamare najd ke liye bhi du'a kare ?aap "sallallahu-aleihi-wasallam" ne kaha waha zalzale aur fitne honge aur waha se shaitan ke seengh niklega.."

(bukhari)

muhammad -bin abdul wahaab rahimull'ah to Uyayna ke hai magar batil parasto ne muhammad "sallallahu-aleihi wasallam" ki hadees ka mafhum bigad kar awaam ko gumraah karne khoob magar naakamyab koshish ki hai..

muhammad bin abdul wahab "rahimullah ka talluk najde iraq se nahi najde yaman se hai jis ke liye all'ah ke rasool "sallallahu-aleihi-wasallam" ne barkat ki du'a ki hai..

salim bin abdull'ah ne farmaya ,

'ae iraqiyo !tum chote masle kis qadar poochte ho aur bade gunaho se shuruat karte ho.' maine apne baap abdull'ah bin umar (radiall'ahu anhu)se suna ,woh kahte thy maine rasoolull'ah "sallallahu-aleihi-wasallam" ko farmate suna hai .'bila shubha fitna yaha se aayega.' aur apna haath se mashriq ki taraf ishara kiya ki yaha se shaitan ke seengh niklenge.'

(sahih muslim)


aaiyye pahle najd ka matlab samajh le ki arabhi lughat me najd kis ko kahte hai fir dekhe arab me najd naam ke kitne ilaaqe hai.njd masdar hai jiska matlab bulandi aur rafat hai,goya har oonchi aur buland cheez ko najd kaaha jata hai.allama majduddin feroz likhte hai..


najd buland zameen ko kahte hai yani ooncha ayr saaf raasta jo ghoro-nasheeb yani tahama ke bar-aqs hai.woh tamam oonchi zameen wala ilaqa jo tahama aur yaman se shuru hota haiaur iraq se shaam (syria) talak phaila hua hai .kijaz ki shuruat zate araq ke maqam se hoti hai aur zate araq ,ahle iraq ki ki miqaat hai jaha se woh ahraam bandhte hai.

(AL KAMUSUL MUHEET)

allama ibne manzoor afriqi likhte hai najd zameen ka woh hissa jo mazboot aur oonchai par waqey hai.zameen ka woh hissa jo tahama se shuru ho kar iraq ki zameen ki taraf jaata hai woh najd hai.

(LISANUL ARAB)

ma'lum hua ki oonchi aur buland zameen ko najd kahte hai aur arab me kai najd hai.sheikh abu abdullah yaqub bin abdullah l hamvi ne yeh najd bataye hai,

1.najd-e alooz, 2.najd-e azaa, 3.najd-e baraq, 4.najd-e khaal, 5.najd-ul shara, 6.najd-ul asr, 7.najd-ul uqaab, 8.najd mari, 10.najdul yaman

(MUAJMUL BULDAN,LISANUL ARAB)

by: brother muhammad zaigham