Thursday, July 19, 2012

KYA TAHAJJUD AUR TARAAWEEH ME FARQ HAI ?

Bismillahirrahmanirraheem



KYA TAHAJJUD AUR TARAAWEEH ME FARQ HAI ?



Hanafi aalim jhangwi sahab farmate hai ke :-" ahle sunnat ke yahan tahajjud aur taraawih do alag alag namazen hain, jabke ghair muqallideen ahle hadith ke yahan tahajjud aur taraawih ek cheez hai "

(tohfa ahle hadith page 56)


JAWAB:


1- hz aisha (ra) tarawih aur qayam ul lail me farq ki qaayel na thin, jaisa ke unse hz abu salma (ra) ne sawaal kiya toh aap ne jawab diya ki :- rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ramzan aur ghair ramzan me 11 rakat se zyadah na padhte they"

(bukhari jild 1 page 269)


hz imam bukhari (rh) aur imam muhammad (rh) (moatta page 138) me is par qayam ramzaan aur taraawih ke abwaab baandhe hain,

maulana abdul hayy luchnawi hanafi (rh) ne likha hai ke:-" qayam ramzan aur taraawih ek hi cheez hai "

(tallikul mumajjid page 138)

imam baiheqi ne (sunan kubra jild 2 page 495) me baab maarowi fi Adad rakat al qayam fi shahr ramzaan ' me zikr kiya hai,


2- bahut se ahl ilm ne mazkoorah riwayat ko 20 rakat waali mangadant wa munkar riwayat ke muqaable me bataur mu'aa'riz pesh kiya hai

1- imam zaili hanafi ne (nasbur raya jild 2 page 153)

2- imam ibn hammam hanafi (fath ul qadir jild 1 page 407)

3- abdul haq muhaddis dehlawi hanafi ne ( fath sarul manaan page 692, qalmi ba'hawala khatma iktelaaf page 70)

4- allama aini hanafi (umdatul qari jild 11 page 128)

5- allama suyuti al haadi al fatawa jild 1 page 414)


hz umar (ra) aur salaf us saaliheer ke elawa deoband ke sheikh ul hadith maulana anwaar shah kashmiri bhi taraawih aur tahajjud ko ek hi samjhte they

(faizul bari jild 2 page 420)

tafseel ke liye (deen al haq jild 1 page 520) ka mutaala karen,

jhangwi auron ko jaane de anwar shah kashmiri sahab ke mutaallik wazaahat kare ke ye ahle sunnat me daakhil hain ya nahi?