Tuesday, July 10, 2012

SHAH ABDUL AZIZ (RH) KA KHWAAB

Bismillahirrahmanirraheem



SHAH ABDUL AZIZ (RH) KA KHWAAB:



Ek baar shah abdul aziz muhaddith dehlawi (rh) ne ameer ul momineen hz ali (ra) ko khwaab me dekha aur daryaaft kiya ke:-" mazahab e arba me kaun mazhab aapke mazhab ke mutabik hain ?

Farmaya:- koi nahi,

phir salasa arba ko daryaaft kiya, uske baabat bhi wahi irshaad huwa ke:- koi nahi,

jab is khwaab ki khabar mirza mazhar jaan jaana ko hui toh aapne shah shahab se pooch bheja ke:- ye khwaab az'aas ahlaam to nahi hai?
Uske kya hain ke salasal arba mazhab mese koi ek mazhab bhi janab ameer ul momineen ke mawafiq na ho,

shah sahab ne likha ke :-" ye khwaab roya e saalha hai "


(hakayat awliya, hakayat number 33, taba karachi)


hz maulana ali miya (rh) ne taareekh dawat wa azeemat me shah abdul azeez rh ke baabat likha hai ke:-" aapko sahih taabeer ka tajurbah allah taala ne ata kiya tha "

(jild 6 page 352)


zaahir hai ke hz ali (ra) Ke zamaana me na mazhab arba they na salaasal arba, ye sab baad ki paidawaar hain