Monday, July 9, 2012

SUNEHRE KHWAAB







Bismillahirrahmanirraheem



SUNEHRE KHWAAB:



YAHUDION KI SHAZISH KA PARDA'FASH:



558 Hijri ka waqeya hai,

ek raat ameer shaam(syria) wa mishr(egypt) sultan nooruddeen zangi (rh) so rahe they, unhone khwaab me sarware qaunein rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki ziyaarat naseeb hui,

us waqt rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath do aadmi aur they, aapne nooruddin zangi ko mukhatib karke farmaya:-" nooruddeen ! Ye do aadmi mujhe sata rahe hain unke sar ka khatma kar do "

nooruddeen zangi uski waqt bedaar ho gaye, wuzu kiya, nafil padhi aur so gaye, dobara khwaab me wahi kuch dekha, phir uthe wuzu kiya aur nafil padhi, phir lete to teesri baar phir wahi khwaab dekha,

is dafa unhone dushman e rasool ko nihaayat ghaur se dekha aur unki tamam shanakhtein acchi tarah zahan me mahfooz karli,

ab unhen yaqeen ho gaya ke ho na ho madeena munawwara me koi ajeeb waqeya pesh huwa Hai, unhone apne vazeer ko talab kiya aur madeena taiyyaba ke liye rawangi ki taiyyari ka huqm diya,

chunanche ye tareekh shaaz sultan salahuddeen ayyoubhi ka peshro madeena ki taraf rawana hogaya, aur do hafta me wahan pahunch gaya, madeena pahunch kar usne wahan ke hukkaam ko huqm diya ke shaher ki kul aabaadi se wah har ek shakhs se mulaaqaat karna chahte hain aur koi bhi fard usse balatar na samjha jaaye ,

chunanche dawatein ki gayi, sultan se logon ki mulaaqatein hui, inaamaat ki baarish hui, magar sultan ko wah dono aadmi nazar na aaye,

aakhir ek din sultan ne hukkaam madeena se daryaaft kiya ?

Kya koi aisa shakhs rah gaya hai jisne hamse mulaaqaat na ki ho ?

Jawab mila aisa koi nahi rah gaya hai, albatta maghribi (western) jo nihaayat hi darwesh aur afeef hain apne hujre me hi rahte hain aur zikr ilaahi me masroof rahte hain aur logon ke mel jol rakhne se har tarah gurez karte hain,

sultan Ne unhe haajir karne ka taaqeedi huqm diya aur jaise hi wah sultan ke saamne laaye gaye, usne fauran hi pahchaan liya ke wah dono badmash to yahi hain,

magar raaye aamah ka asar tha ke ye darwesh hain,

sultan bila tauqaf unhe saath lekar unke hujre me pahunch gaya, unhe hujre ke baahar khada karke khud andar gaya,

kahte hain ke wahan sultan ko ek taaq par qur'an majeed ka ek nuskha mila, kuch kitabein mili, ek taraf maal ka dheir mila jise wah fuqara madeena par sarf kiya karte they, sultan to kamre me kuch talaash kar raha tha usne farsh par bichi hui chataaiyan uthaayin aur farsh ka chappa chappa ghaur se dekha, ek sil apni jagah se kuch ukhdi hui nazar aayi, ye sil uthaayi gayi to maalum huwa ke uske neeche ek surang (tunnel) hai, jo roza e rasool ke andar pahunch raha tha,

ek riwayat ke mutaabik naqab lagaane waale hz umar (ra) ke jasad mubarak tak pahunch gaye they, aur aap(sws) ka paaon (feet) nazar aa raha tha,

nooruddeen zangi ne allah ka shukr ada kiya ke unke zariye allah taala ne ye kaam liya aur un dono ko qatal kara diya,

wah dono yahudi they aur rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka jasad mubarak nikaal le jaane ka mansooba bana kar aaye they..

Din bhar ibaadat karte, raat bhar surang khodte aur mitti mashqeezon me bhar kar baahar phenk aate

(jazabul quloob, sheikh abdul haq muhaddis dehlawi page183-185)