Monday, March 25, 2013

MUSALMAN AURAT KA PARDA AUR LIBAAS:








Bismillahirrahm anirraheem




MUSALMAN AURAT KA PARDA AUR LIBAAS:



Aurat ke liye Pardah Islami Shariat ka ek
waazeh Huqm hai, Aur iska maqsad bhi bilkul
Saaf hai,



Islam ne Insaani fitrat ke Ain mutaabik ye
faisla kiya hai ke Aurat aur Mard ke Taalluqaat
Paakeezgi, Safaayi aur Zimmedaari ki
buniyaadon par ist'waar hon,



Aur isme koi khalal (rukaawat) na aane paaye....



Isliye Islam ne Zina aur Uske asbaab Par
muqammal rok lagaayi hai, kyonki Ye Apni
Khwaahishaat ko poora karne ka Haiwaani
Zariya hai,

Jisme tahaarat (paaki) aur zimmedari ka adna
si bhi jhalak maujood nahin , 


balke ye
Jismaani aur roohani Aafat ka sar'chasma hai,



Islam ne zina ki is buraayi ko rokne ke liye 3
tadbeeren akhtiyaar ki hain


1- Rabbani irshaadat (Quranic ayah) wa
hidaayat, Nabwi waaz wa naseehat (hadith),


iska bayan Kitabullah ki aayat aur sunnat e
rasool sallalaho alaihi wasallam ke mukhtalif
(diffrent) Jagahon me be'hadh Mu'assir aur
be'legh Andaaz se maujood hai,


Kahin iffat wa Asmat (paak daam) par
bahtareen ajr wa sawaab ka zikr hai 


toh
kahin Fahash'kari (fornication) par shakht
Azaab ki Waeed (huqm),



2- Hudood (boundation) aur sazaayen jiske
tahat Ghair shadi'shuda (un married) Zaani ko
100 kode (lashes) maarne aur Shadi'shuda
zaani ko sangsaar karne ka Intehaayi
shadeed tareen huqm hai,



sangsaar kahte hain zaani ko aadha zameen
me gaadhkar pattaron se tab tak maarna jab
tak uski maut nahin ho jaati,



3- Ghair mahram mard aur Aurat ki ek dusre
se muqammal Doori, aur unke Baahiri
taalluqaat par do took paabandi,



isi paabandi ka hissa ye hai ke Agar aurat ko
Ghar se baahir nikalna aur Ajnabi mardon ke
Saamne se ghuzarna padhe toh wah pardah
kar le...



Chunke Chehra husn wa Qabeeh ka asal
meyaar hai, aur Is par ubharne waale
taasaraat (khyaalaat) dili jazbaat wa
ahsaasaat ki tarjumaani karte hain,



Aur Nigaah Paigham bhejne ka kaam anjaam
deti hai, balke khoofiya (secret) jazbaat wa
ahsaasaat ko ubhaarti hai,



isliye Parde ke huqm ka awwaleen Nishaana
ye hai ke Chehra ghair mahram ki Nigaahon
se ojhal rahe, 


Aur aankhen ajnabi ankhon se
takraane n a paaye...



Magar ye Ajeeb baat hai ke Ulema ne sab se
badh kar isi masle me akhtelaaf kiya hai, 


aur
bahut se pur'josh logon ne isko mansha e
Islam Qaraar diya hai,


aur iske liye Ajeeb o Ghraeeb dalail pesh kiye
hain,


Chunanche ek daleel ye pesh ki jaati hai ke



" Aurat ko haalat e namaz me chehre aur
haath khula rakhne ki ijaazat hai, unhe
dhaanpne ka huqm nahin diya, isliye Chehra
aur haath parde me shaamil nahin"



Halaanke agar ghaur kiya jaaye toh ye bilkul
be'tuki Daleel hai,


kyoki namaz ki satar'poshi ek alag cheez hai,


Aur insaano se parda alag cheez ,

kahin namaz me ek Cheez ke parde ka huqm
hai, magar insaano se uske parde ka huqm
nahin



maslan (For example) Mard ko kandhe
dhaanpne ka huqm hai, Magar insaano ke
saamne nahin....


Bas isi ki tarah ye bhi ho sakta hai ke Namaz
me ek Cheez ke parde ka huqm na ho aur
insaano ke saamne ho,


Dar'haqeeqat Namaz me Satar ka huqm kuch
aur maqsad rakhta hai aur Insaano ke parde
ka huqm kuch aur hi maqsad rakhta hai,


Lihaaza ek dusre par qiyaas nahin kar
sakte..........



TO BE CONTINUED...