Monday, March 25, 2013

AURAT KA JIHAD







Nabi e Akram Sallalaho alaihi wasallam Ki
Khidmat Me ek Sahabiyyah (ra) Haazir hui,
Aur Arz kiya ke


"Huzoor Main Tamam Aurton ki Taraf se
Qaasid Bana Kar Aapki Khidmat Me Bheji Gayi
Hoon,

Sab Ki Taraf Se Mera Aapse Ye Sawaal
Hai Ke Mardon Par toh Khuda Ne ye
meherbaani Ki Hai Ke Unke Liye Jihaad
Muqarrar Kiya Gaya Aur wah Jihad Me Ghaalib
aa jaayen Toh Ajr Wa Sawaab Mila Aur Deenwi
Maal E Ghanimat Bhi Haath Aaya


Aur Agar Haar Gaye, Aur Maare Gaye toh
ShahadaT Ka Azeem Darja Naseeb Hua, Rabb
Ke paas Zinda rahe Aur roziyan Khaate rahe,


Ham aurtein Toh Aakhir Unhi Ki Khidmat Me
rahti Hain,

Ham Is Darjah Jihaad Se Mahroom hain ???"


Toh Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne
Irshad farmaya


" Jaao ! Jo Aurat Bhi Tumse Mile Mera ye
paigham un tak pahuncha do Ke

Aurton Ka jihaad Yahi Hai ke Wah Apne
Shauharon Ki Farma'bardari Karen Aur Unke
Haq ka Iqraar Karen Allah taala unhe Jihaad Ka
Sawaab Inaayat Farmaayega Aur Aisa Karne Waali
Aurtein Tumme Bahut Kam hain "


(Rawaah Bukhari)



Hadith ki roshni Me Ye Saabit Hua Ke shauhar
Ki Itaat Wa Farma'bardari Me Aurat Ka Jihaad
Hai
aur Use Jihaad Me Jaane Ka baraabar Sawaab
Milega