Monday, March 25, 2013

THE TEMPTATION (FITNA)








THE TEMPTATION (FITNA)



Ek Ameer Baap Ki Intehaayi Khoobsoorat Beti
Apni Chachi (Aunty) Ke Ghar Ja rahi Thi Jo
Uske Ghar se Kuch Hi doori Par Tha


Achaanak Shaher Me Fasaad (riot) Barpa ho
gaya


Us ladki ne Aadhi Raasta Muqammal Kar li Thi,


Use Apni Jaan Aur IzZat Par Khatra La'haq Hua


Usne Ird Gird Dekha,


Use Ek Masjid Dikhaayi Di, Wo masjid Me Gayi
Aur Aurton Ki Makhsoos Jagah Me Jaakar
Baith Gayi...


Fasaad (Riot) Der Raat Tak Jaari Raha,


Use
samJh me Nahin aa Raha tha Ke use Kya
Karna Hai..


Us masjid Ka Muta'walli Ek Intehaayi
Naujawaan Ladka Tha Jo taalba (student) Bhi
Tha,


Deir Raat Masjid Me taala (lock) Lagaane Se
Pahle Uski Nigaah Us ladki Par Padi


Woh Ek Nau'jawaan Aur Allah Se Darrne Waala
Ladka tha
Usne Bade Ehteraam Se Us ladki Se kaha Ki


" Agar Wo dono Yahan Paaye Gaye Toh Dono
Ko Be'izzat kiya jaayega Aur Baaher Fenk diya
jaayega"



Us ladki Ne Ilteja (request) Ki ke Aaj Ki Raat
Use Yahin Rahne Diya jaaye Kyonki Baaher
Jaan Aur Izzat ka Khatra Tha,


Is tarah Dono Me ittefaaq Ke saath Ladke Ne
Uski Ilteja Ko Qabool kar liya Aur Dono Masjid
Ke Opposite Hisse Me Padhne Ke Liye chale
Gaye...


Din Ke Waaqeye Ko dekhkar Ladki Ko Neend
NahIn Aa rahi thi


Toh Woh Ladki Us Ladke Ko Dekhne Lagi Jo
Masjid Ke aakhiri Hisse Me Mombatti (candle)
Ki Roshni Me padhaayi Kar raha Tha


Us Ladki Ko Uski Ek Baat Dekhkar Bada Tajjub
hua..


Kyonki Wo Ladka Kabhi Kabhi Apna Haath Us
mombatti Ki Lau Se lagaa Raha tha...


Aur Tab tak lagaaye Rahta Jabtak Uski Quwaat
Jawaab Nahin De jaati...


Phir Wah Padhne Lagta... Phir Kuch der Baad
Aisa hi Amal karta


Is dauraan Subah ka Waqt HO gaya Aur Us
Ladke Ne Azaan Di Aur us ladki Se kaha Ki


"Aap Namaz hone Se pahle Ja sakti ho, Baaher
Ke Haalaat Pahle se Bahtar Hain"


Wo Maan Gayi Aur Usne Us ladke se poocha


" Aap Raat Ko Apna Haath Mombatti Ki lau Se
Kyon laga rahe they ???"


Ladke Ne Kaha-


" Aapko Is baat Se Kya Matlab Ye Mera Kaam
hai"


Ladki Ne jaane Se Mana kar diya Jab Tak Wah
Use Is baat Ka Jawab Nahin de deta..


Ladke Ne Kaha


" Main Ek Naujawaan Hoon Aur Mere Andar
Khwaahishaat ki Quwwat (Sexual Desire) hai,
Ham Dono Akele They Aur Meri Khwaahishaat
Me Izaafa Ho Raha Tha,


Mujhe Darr Tha Ki kahin Shaitaan Ham Dono
Me fitna Na daal De
Lihaaza Jab bhi Main Koi Fitna Mahsoos Karta
Tab Tab Main Apna Haath Mombatti ki Sholon
Me Laga deta Aur Apni Ungaliyan Jalne Par
Main apne Aapse Kahta Ki Ye Aag Jahannum Ki
Aag Ke Muqaable Kuch Bhi Nahi Hai"


Ladki Masjid se baaher Nikli Aur Apne Ghar ki
Tarah Jaane Lagi
Usne Ghar Me Apne Waalidain Se Din Aur Raat
Ke Saare Waaqeyaat Bata diye


Aur Ye bhi
Bataya Wo Kaise Mahfooz rahi...


Usne Apni Maa Se Bataya Ki woh Us Masjid Ke
muta'walli Se shaadi Karna Chaahti Hai...


Usne Raat Ka Waaqeya Apne Waalidain Se
bataya aur Kaha


Sirf Is tarah Ka Aadmi Jiske Dil me Allah Ka
Haqeeqi khauff Ho Wahi aadmi Apni Biwi Ke
liye Durust Ho sakta hai


Sirf Is Tarah Ka Aadmi Jiske Dil Me Allah Ka
Haqeeqi Khauff Ho Wahi Apni Biwi Ke Huqooq
Poore Kar sakta Hai


Is tarah Us Ameer Ladki Ki Shaadi Us Ghareeb
Ladke Se Ho Gayi


Us ladke Ko ye Aijaz Uski shakl O Soorat Ko
dekh kar Nahin Balke Uski seerat Ko Dekh kar
mila


Har Cheez khaak Me Mil Sakti Hain lekin Seerat
(character) hamesha Mazboot rahta Hai


Rutba (honor) Kabhi bhi Acchi Soorat, Kapde
aur Gahne (jewellery) Se Nahin Milta


Balke Dil Paakeezagi ko dekh kar Se Milta hai