Monday, March 25, 2013

LIFE PARTNER KA INTEKHAAB






Ek Muslim Ladki Ek Muslim Ladke Ko Shadi Ke
Liye Propose Kar Sakti Hai



Agar Wo Jaanti Hai Ki Ladka Acche AkhlaaQ wa
Deeni Maalumaat Ka Haami Hai

Toh Wah Ek
Accha Husband Ho Sakta Hai


Wo Ek Islami Tareeqe Se Shaadi Ka Paighaam
Bhej Sakti Hai


Kuch Tahzeeb (cultures) Me Dekha Gaya hai Ki
Log Is maamle Me Ghalat Tareeqa Akhtiyaar
Karte Hain..


Lekin Wo Tareeqa Un Apna Banaaya Hua Hai..


Islamic Nahin hai !!!


Ham Us Society Me Rahte Hain Jahan Logon Ke
dimaagh Me Ye Rahta Hai ki Sirf Ladke Hi
Shaadi Ka Paigham bhej Sakte Hain


Ye Hamari Society Ka Rule hai Jisme ye Samjha
jaata hai Ki Sirf Ladka Hi Shadi Ke Liye Propose
Kar Sakta Hai Aur Agar koi Ladki Aisa Kare Toh
Badi Hi Sharm Ki Baat Samjhi Jati Hai.....


Bahut si Ladkiyan Aisi Hoti Hai Jo Intezaar
Karti Hai Ki Wo Ladka Shaadi Ka paigham
Bheje


Aur Kabhi Kabhi Toh Maheeno Aur Saalon
Ghuzar Jaate Hain....


Agar Wo Ladka Propose Na Kare toh Us Ladki
Ki Zindagi Me Question Mark Lag Jaata Hai


Kuch Cases Me Jab Beti Apne Liye Bahtar
Husband Ke Baare me Apne Parents Ko
Bataane Ki Himmat Bhi Karti Hai toh usKe Is
Amal Ko Jurm Samjha jaata Hai Aur Usko
Ghalat Nigaah se Dekha Jaata hai...


Aur Ye
Samjha JaatA Hai Ki Zaroor Uske Us Ladke Ke
Saath Ghalat Rishtey Honge


Ye Saare Mughaalte Islamic Taleem Ke Khilaaf
Hai


Quran aur Sunnat Me Aisa Kahin Nahin Hai Ki
Ladki ApnI Pasand Ke Ladke Ko Shaadi Ka
Paigham Nahin bhej Sakti


Hamare Liye Sabse Bahtar Role Model Hamre
Nabi Sallalahi alaiahi Wasallam hai


Aur Is masle Ke mutaallik Hamen Ek
Khoobsoorat Namoona Mil sakta hai


Jab Ummul momineen Hz khatija (ra) Ne Nabi
Sallalaho Alaihi wasallam Ko Shadi Ka paigham
Apni Saheli ' Nafisah ' Ke saath Bheja


Nafisah ne Shadi Ka Paigham Nabi Sallalaho
Alaihi wasallam Ko diya..


Aur Aap sallaho Alaihi wasaalam Ne Us
Paigham Ko Qubool Farmaya


Agar Ye Tareeqa Ghalat Aur Sharm'naak Hota
Toh Beshaq Allah Taala Is tarah Ke paigham Se
Kabhi Raazi Na hota Jisme Ek Aurat Khud Apni
Shaadi Ka paigham Bhejti Ho...


Islam Me Aisa Koi Huqm Nahin Ke Aurat Ke
Mard Ko shaadi Ka paigham Nahin Bhej Sakti
Isme koi harj nahin


Lekin Paigham Bhejne ka Tareeqa Waisa hi
Hona Chahiye JisMe Islamic Shariah Ki Khilaaf
Warzi Na Ho


Ek Ladki Apne Parents Ko ye Kah sakti hai ke
Us ladke Ke Parent se Shadi ke Liye baat Kare...


Jis Ladke Me wo Interested Hai Use Apni
Sister, Cousin, Khaala (aunty). Etc ke Zariye
Paigham Bhej Sakti hai Ye Jaanne Ke liye Ki wo
Bhi Interested Hain Ya Nahin...



Wo Ladki Use Directly Bhi kah Sakti hai Islam
Me koi Mumaaniyat Nahin Hai


Lekin Use Islamic rules Follow Karne
Padenge...


Aur In Cheezon se Bachna Padega Jaise
Nazrein Milaana, Dating Karna, Mobile Par
Chatting , Flirting, sexual Speech....Etc


Ye sab Haram Cheez hain...
Isse koi Farq nahin Padta Ki Propose Kaun kar
raha hai wo Kis Caste ka hai...


Jo Bhi Amal Kiya jaaye ek Acchi Niyyat Se Kiya
Jaaye...

Aur Islamic rules ke Daayere Me hi kiya
jaaye...


Aur Ye Bhi Jayez hai Ki Ladki Ke Ghar Waale
Shadi Ke liye Pahle Paigham bhejen


Hamari society Me ye Paaya jaata Hai Ki Pahle
Ladke Waale Hi Shaadi Ka Paigham Bhejte
Hain..


Aur ladki Waalon kI Taraf se Rishta Bhejna
Ghalat Samjha Jaata hai..

Aisa Amal Sahih Nahin
h



Sayyiduna Hz umar Bin Khattab (ra) Ne apni
Beti Hz hafsa (ra)
Ke liye Sirf Ek Sahabi (ra) Paigham nahin Bheja
Balke 2 Ko Paigham bheja Tha

1- Hz usman (ra)
2- Hz abu bake Siddeeq (ra)


Aur Iske Baad Khud Nabi sallalaho Alaihi
wasallam Ne Hz hafsa (ra) Se Shadi Ke liye Hz
umar bin khattab (ra) Ko Paigham Bheja Tha..


Isi Tarah Jab Allah Ke Nabi Hz Shuaib (as)
Ne Hz Moosa (as) Me Paakeezgi, Sacchhayi AuR
Taqwa Ko Dekha Toh Apni Ek Khoobsoorat
Beti Ka Shadi Ka paigham Bheja Tha


Toh Is baat Se Saabit Hota Hai Ki Ladki Ka wali
Ek Accha Aur Deendaar Aur Suitable Ladke Ko
Apni Beti Ke Liye Shadi Ka paigham Bhej Sakta
Hai Isme koi Ghalat nahin..



Hamen Yaad Rakhna Chahiye Ki
Kahadija-tul-ku bra (Ra), Nabi sallalo alaihi
wasallam ki Pahli Biwi thin Aur Unhone Nabi
sallalaho Alaihi Wasallam Ka Rishta Khud Bheja
Tha..


Jab aisa Us Waqt Ho Sakta Hai Toh Phir Aaj
Kyon nahin Ho Sakta


Ye Aapka Haq hai


Is liye Agar Aap Kisi Acche Ladke Ko dekho Ki
Wo Aapka Husband Banne ke Laayeq hai toh
Us Ladke Ko Paigham Bhejne Me Sharm
Mahsoos Nahin Karni Chahiye


Agar Aap Me Zyada Haya (shyness) hai Toh
Aap apne Family Member se Kah sakti ho Ya
Aap apne Close Frnd Ke zariye Se paigham
Bhej sakti Ho


Tab Allah Usme Barkat Daal dega....Inshaal lah


Aur Yaad Rakhe Hamara Mazhab Islam Ek
Asaaan Aur suljha hua Aur Peaceful Mazhab
hai.


Isme Koi Zabardasti Nahin Hai..


Islam Confusion Waala mazhab nahin Hai


balke Ek Aasaaan Mazhab hai

Isliye Aisa Koi
Tareeqa Apni Zindagi Aur Apni Society Me
naafez (apply) Na karen Jisme Confusion Ho


Mushkilon Ko Jaanchiye Aur UskO Islamic
tareeqe se Solve Karne Ki Koshish Kariye..


Wallahu Aalam