Thursday, July 14, 2011

SHAB E BARAT KI HAQIQAT( PART 2)

Continues....



JAHAN TAK RIWAYAT KA TALUQ HAI,

HAZRAT AYESHA(RA) SE 1 RIWAYAT BAYAN KI JATI HAI JO HAZRAT AYESHA (R. A)PER SARHEE BOHTAN HAI,

TIRMAZI KI RIWAYAT YUN HAI

"MAINE 1 RAT RASOOL (S.A.W) KO NAHI PAYA. MAIN (TALASH ME) NIKLI TO AAP (S.A.W) BAQI ME THEY AAP (S.A.W) NE POOCHA TU IS SE DARTI HAI K ALLAH OR IS KA RASOOL TERE SATH ZYADTI KAREGA. MAIN NE ARZ KYA AE RASOOL (S.A.W) GUMAN KYA THA K AAP APNI DEGAR AZWAJ K PAS GAYE HEIN. AAP (S.A.W) NE FARMAYA ALLAH TALA NISF SHABAN ME ASMAN SE DUNYA KI JANIB NAZOOL FARMATE HAIN OR BANU KALB KI BHEERO (SHEEPS) K BALO KI TADAD SE ZYADA LOGO KI MAGHFARAT FARMATA HAI"


ISI RIWAYAT PAR TAMAM QISSE KI BUNYAD RAKHI GAYI HAI OR MUSALMAN IS RAAT QABRISTAN K CHAKKAR KAT'TE YA MASJID ME SHAB BEDARI KARTE NAZAR AATE HAIN.

OR ISSE 1 ZAROORI AMAL TASSAWUR KARTE HAIN JIS KA TARK INHE KISI HAL GAWARA NAHI.

HALAN'K MOHADASEEN ​ KI NIGAH ME IS RIWAYAT KI KOI HESIYAT NAHI KHUD IMAM TARMAZI (WAFAT 276 H) NE ISE RIWAYAT KAR K IS PER SHADEED JIRHA KI HAI,

HERAT KI BAT HAI K HUMARE ULMA TIRMIZI KI IS RIWAYAT KO BAYAN KARTE HAIN

MAGAR IMAM TIRMIZI NE IS PER JO BEHES KI HAI IS PER NAZAR NAHI KARTY.

YE AMAR BHI GHOR TALAB HAI K JAB IS RAT KO ITNI FAZEELAT HASIL THI TOU RASOOL (S.A.W) NE SIRF QABRISTAN JAANE PER KYO IKTIFA FARMAYA OR KOI DOOSRA AMAL ANJAM NA DIYA.

IS RIWAYAT ME SHAB BEDARI KA BHI KOI ZIKAR NAHI, AGAR IS RAT KO ITNI FAZEELAT HASIL THI TOU ZAROORI THA K AAP (S.A.W) PEHLE SAHAB KARAM KO AZWAJ-E-MUTHARAT KO BYAN FARMATY.

TA K SAB IS KI FAZEELAT KO HASIL KARSAKTY OR KAM AZ KAM HAZRAT AYESHA (R.A) KO TOU (NAOOZUBILLAH) AAP (S.A.W) KA PEECHA KARNY KI ZAROORAT PESH NA ATI.

RIWAYAT SE YE TASSAWUR MILTA HA K RASOOL (S.A.W) NUIKHFA SE KAM LIYA THA.

YE AMAR BHI SOCHNY KY QABIL HAI K SURA DAKHAN MAKKI SURA HAI OR HIJRAT SE TAKREEBAN 4 SAL PEHLY NAZIL HOWEE.

JAB K YE WAQYA AGAR HAZRAT AYESHA (R. A) SE SHADI K FORAN BAD BHI PESH AAYA TO HIJRAT KY 16 MONTHS BAD KA WAQYA HOGA.

YE NA MUMKIN C BAT HAI K SURA DAKHAN K NAZOOL K 5 SAL BAD SHAB-E-BAR​AT KI FAZEELAT MADEENY MAE ZAHIR KI GAYI HO OR IS TAMAM MUDDAT ME LOGO KO IS KI FAZEELAT SE LA ILM RAKHA GYA HO.


RIWAYAT ME I LAFZ KI MOJODGI SE TU YE ZAHIR HORAHA HAI K WAQYA HIJRAT K KAYI SAAL BAAD PESH AYA KYO K HAZRAT AYESHA (R.A) FARMA RAHI HAIN K MERA GUMAN THA K AAP (S.A.W) APNI AZWAJ K PAS GAYE HON GY, YANI YE WAQYA IS WAKT KA HAI JAB AAP (S.A.W) K NIKKAH ME MUTADID AZWAJ THIEN.

IS RIWAYAT SE 1 OR BHI MASLA PEDA HOGA, K YE WAQYA 8 HIJRI SE PEHLY KA HAI YA BAD KA, AGAR YE KAHA JAYE K IS SE QABAL KA HAI TOU IS WAKT TAK QABRO KI ZYARAT MANA THI.

OR AGAR KAHA JAYE K YE WAQYA 8 HIJRI K BAD KA HAI TOU SURA DAKHAN K NAZOOL KA 12 SAL BAD IS KI FAZEELAT KA ILM HOWA.

TIRMIZI ME YE RIWAYAT MUKHTASIR HAI.

PHIR JAISE JAISE ZAMANA GUZARTA GAYA IS PER HASHIYE CHARTEY GAYE HATTA K YE 1 TAWEEL DAASTAAN BAN GAYEE.

OR IS ME ITNA DAKHLI TAZAD PEDA HOWA K AL-AMAN.




DUSRI RIWAYT BHI HZ AYESHA (RA) HI SE MANSOOB HAI OR IS K RAWI BHI ARWA HEIN.

RIWAYAT YE HAI K

"HZ AYESHA (R.A) FARMATI HEIN K JAB NISF SHABAN KI SHAB HOWI TO RASOOL (S.A.W) MERE BISTAR SE KHAMOSHI SE NIKAL GAYE PHIR FARMANY LAGE, KHUDA KI QASAM, MERA BISTAR RESHAM KA THA NA QAZKANA KATAN KA OR NA SOF KA, MAIN NE POOCHA SUBHAN ALLAH PHIR WO KIS KA BANA HOWA THA, FARMAYA IS KA TANA BAALON KA OR BANA OONT (CAMEL) K BALO KA THA.

MAIN NE DIL ME YE KHYAL KYA K RASOOL (S.A.W) APNI BAZ AZWAJ K PAS TASHREEF LE GAYE HEIN. ME KHARI HOWEE OR AAP (S. A.W) KO GHAR ME TALASH KYA, ME NE APNY HATH AAP (S.A.W) K QADMO PER BULAN KAR DIYE OR AAP(S.A.W) ​ SAJDY ME THY.

MAINE NE AAP (S.A.W) KI DUA YAD KAR LI. AAP (S.A.W) FARMA RAHE THY (AE ALLAH) MERE DIL OR MERE KHYAL NE AAP KO SAJDA KYA, OR MERE DIL AAP PER EMAN LAYA. MAIN NEMATO K SATH AAP KI JANIB MUTAWAJA HOTA HOON OR AAP K SAMNY APNY GUNAHO KA ETRAF KARTA HOON. MERI MAGHFART FARMA DIJYEE KYO K AAP K ELAWA KOI GUNAHO KI MAGHFART NAHI KAR SAKTA.MAIN AAP K AFO K ZARYA AAP KY ATAB SE OR AAP KI REHMAT K ZARYE AAP KI SAZA SE OR AAP KI RAZA K ZARYE AAP KI NARAZGI SE PANAH MANGTA HOON OR AAP K ZARYE AAP KI ZAT SE PANAH MANGTA HOON, MAE AAP KI SANA KA SHUMAR NAHI KARSAKTA AAP KI ZAT AESI HI HAI JESY AAP NE APNI KHUD SIFT BYAN FARMAI HO.

HAZRAT AYESHA FARMATI HAIN; RAOOL (S.A.W) SUBAH TAK KHARY RAHE OR BETHTY RAHE HATTA K AAP (S.A.W) K QADMO PER WARM AGAYA.

MAIN AAP KY CHOKY MARTI OR KEHTI THI MERE MAA BAP AAP (S.A.W) PER QURBAN,

KYA ALLAH NE AAP KY AGLY PICHLY GUNAH MAAF NAHI FARMAYE, KYA ALLAH NE AAP K SATH WESA NAHI KYA,

AAP (S.A.W) NE FARMAYA KYA MAE SHUKAR GUZAR BANDA NA BANOO?

AE AYESHA KYA TU JAANTI HAI K IS RAT ME KYA HOTA HAI, MENE ARZ KYA, KYA HOTA HAI...



To be continues......