Monday, January 16, 2012

BHOOKH HADTAAL (ISLAAM KI ROSHNI ME)



Bismillahirrahmanirraheem




BHOOK HADTAAL KI SHARAI HAISIYAT:



Bhook hadtaal ki taareef yah hai ke khaana peena chhod diya jaaye taake kisi dusre shakhs par dabaao daal kar apna maqsad poora karaya ja sake, maslan paani ya us jaisi giza ke istemaal se ruk jaana jo ke jism insaani ki liye buniyaadi haisiyat rakhti hai ya haalat e bimari me dawa wa ilaaj se ruk jaana taake marj din ba din badhta chala jaaye..

Aam taur par dekha jaata hai ke bacche apne maa, baap par dabaao daalne ke liye bhook hadtaal karte hain taake unse koi faayeda ya farmaish poori kar sake,

kabhi biwi bhook hadtaal kar baithti hai taake apne shauhar se apni beja farmaish poori kara sake

kabhi maa bhook hadtaal kar baithti hai taake apne bete se koi khaas maqsad haasil kar sake,

maa ki bhook hadtaal se mutaallik abu yaala aur tabrani ki riwayat kaafi mashoor hai, jiska bayaan munasib hoga..


" hz saeed bin malik ra bayan karte Hain ke main apne maa ka bahut farmabardaar beta tha, jab maine islam qubool kar liya to meri maa ne mujh se kaha- 'aiy saeed tu apne naye deen se baaz aaja warna main khaana peena chhod kar bhooki mar jaungi, to arab tujhe taan karenge ke dekho saeed ne apni sagi maa ko maar daala, maine kaha, aiy meri maa aisa na karo kyonke ab main apne sacche deen se nahi palat sakta magar iske bawajood meri maa na maani, khaana peena bilkul chhod diya, ek din aur ek raat ki bhook pyaas se kaafi kamjor hogai iske baad majeed ek din aur ek raat ki bhook pyaas ne usko bilkul hi be dum kar diya, jab maine dekha ke meri maa ke jism me siwaaye haddiyon ke dhaancha ke kuch baaqi nahi raha to maine apne maa se kaha- aiy meri maa, allah ki qasam agar tere paas 100 jaane hon aur ek ek karke tu apni tamaam jaane ganwa de phir bhi main apne deen(islam) se hargiz baaz nahi aa sakta. Ab tu chaahe khaaye chaahe na khaaye, chaahe Mujhe uski zarah bhi parwah nahi hai, itna sunna tha ke meri maa ne khaana peena shuru kar diya aur allah taala ne mere baare me surah luqmaan ki yah aayat naazil ki"

" aur agar wah dono(waalidain) tujh par is baat ka dabaao daalen ke tu mere saath shareek kare jiska tujhe ilm na ho to inka kahna na maanna duniya mein unke saath acchi tarah basar karna"

(surah luqmaan 15)

bhook hadtaal ki sabse khatarnaak qism kaidiyon(prisoner) ki bhook hadtaal hoti hai taake jail khaana me inke saath accha sulook kiya jaaye ya unhe jail khaane se bilkul aazaad kar diya jaaye, bhook me ki yah aakhiri qism is waqt maghribi(western) mulk se muntaql hokar islaami mu'aashre me qadam rakh chuki hai, gujashta islami adwaar me musalmaan bhook hadtaal karna kaun kahe, uski taraf mutawajjah na hon magar chunke daur haazir me baaz musalmano ne bhi bhook hadtaal ko apna maqsad ke hasool ka zariya bana liya hai, uske liye aaj Ke daur me is maslah ki wazaahat aur usse muttaalik islaami mauqaf ka bayaan zaroori ho gaya hai.


BHOOK HADTAAL KA HUQM:


Gujashta ulema e islam ne bhook hadtaal par koi sareeh daleel nahi pesh ki hai, albatta chaand aayat wa hadith aur daur haazir ke ulema kiraam ne bhook hadtaal se mashaabah baaz sooraton aur haalaton se mutaallik jo daleel qayem ki hain, inki roshni me is masle ko ba'khoobi samjha ja sakta hai

1- " apne aap ko qatl na karo"

(surah nisa 29)

is ayat e karima ki roshni me bhook hadtaal haraam hai, kyonke bhook hadtaal bhi apne aapko qatl karne ka ek zariya hai.

2-" apne haanthon halaaqat me na padho, "

(surah baqarah 29)

chunke bhook hadtaal karke khaane peene se ruk jaana bhi apne haanthon halaaqat me padhna hota hai, isliye ya aayat kareema bhi bhook hadtaal ki hurmat par daleel hai

3- " tum par murdaar, (baha huwa) khoon, suwar ka ghost aur har wah cheez jis par allah ke Siwa dusron ka naam liya gaya ho haraam hai, phir jo majboor ho jaaye aur wah hadd se badhne waala aur ziyaadati karne waala na huwa, us par in cheezon ko khaane me koi gunaah nahi hai, allah taala bakhsne waala maharbaan hai"

( baqarah 173)

mazkoorah aayat kareema ki roshni me ulema e ummat ka ijma hai ke chunke allah taala ne jaan bachaane ke liye ,murdaar, aur suwar ka ghost tak ke khaane ki ijaazat di hai isliye jahan tak ho sake apne aapko halaaqat se bachaana aur zinda rakhna har musalman par waajib hai chaahe bhook, pyaas se mahfooz rah kar apni jaan ki hifazat kare ya khud kushi(suicide) wagerah jaise khatarnaak jurm se ijtenaab karke.


ALLAH HAM SAB KO TAUFEEQ DE.. Ameen 




#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks