Tuesday, January 17, 2012

ULEMA-E-DEOBAND KA TARUF (MAULANA MUHAMMAD QASIM NANOTWI)

Bismillahirrahmanirraheem



ULEMA-E-DEOBAND KA TARUF (MAULANA MUHAMMAD QASIM NANOTWI)



Arwah salasa me maulana nanotwi ka naam in alqaab ke saath likha gaya hai:

" qaasim al uloom wa khairaat janaab muhammad qasim sahab baani daarul uloom deoband, haaji imdadullah sahab ke saf awwal ke mashoor mureedon me maulana rasheed ahmad gangohi, aur maulana ashraf ali thanvi ki tarah maulana muhammad qasim nanotwi bhi they, in ko yah sharf haasil hai ke madarsa daarul uloom deoband ke baani aur mohtamim awwal hain, qaari muhammad tayyab shahab unhi ke potey they,

maulana nanotwi ki taaleem aur inke muballigh ilm ke mutaallik dam dam ba'jawaab zam zam me kuch roshni daali gayi hai, jiska khulaasa yah hai ke maulana ki taaleem gharelu aur naaqis thi, kisi deeni darsgaah me ba'qaida taaleem haasil nahi ki thi, balke dehli ke ek college ke student they, jisme arabic uloom bhi padhaaye jaate they, yaani maaqoolaat Wagerah, maulana ke swaaneh nigaaron ne inke jo haalaat zikr kiye hain in se andaaza hota hai ke maulana ko uloom aqliyah se kuch dilchaspi rahi, bil'khusoos hindsa ki kitaab aqlids(euclid) ka imtehaan ustaaz se padhe begair apne zaati mutaalbah se diya tha, college me maulana ke is imtehaan ko khoob shohrat di gayi aur inke sawaaneh nigaaron ne bhi is imtehaan ko bataur ajooba(mojeza) numaaya karke bayaan kiya hai...


Aqlades(euclid) ka taalib e ilm bakhoobi jaanta hai ke euclids ke maqaalaat wa ishqaal samjhna ko mushkil cheez nahi hai, uske liye euclids ko ustaaz se padhe begair hal karke imtehaan dena bahut hairat wa tajjub ki baat nahi hai,

hamne (maulana muhammad azmi rh) bhi apni musalsal alaalat ke baa'as madarsa daarul hadith rahmaniya dehli me euclids aur kitabul aarooz wa alqawaafi ka koi sabaq ustaaz se padhe begair mahaz allah ki nusrat aur apne zaati mutaalba wa mahnat se ki buniyaad par Salaana(final) imtehaan diya tha, aur kaamyaabi ki awwal position ka inaam bhi haasil kiya tha alhamdulillah,

jo khush naseeb darul hadith rahmaniya delhi me padh chuke hain unhe maalum hai ke is madarse me saalaana imtehaan kis qadar shakht huwa karta tha ke iska aaj tasawwur bhi nahi kiya ja sakta,

uske bar khilaaf darul uloom deoband me imtihaan ka haal yah tha ke student ka imtehaan liye begair hi inke marks(number) likh kar diye jaate they

chunanche ustaaz ulama muhammad yaqood sahab nanotwi sabiq sadar mudarris daarul uloom deoband ke halaat me likha hai ke

" maulana muhammad yaqood sahab mahaana(monthly) imtehaan na lete they jab mahina khatm hota to parcha(question paper) manga kar bila imtehaan hi sab ke marks(number) likh dete they.. Ek taalib e ilm ne arz kiya ke hz bila imtehaan hi number likh dete hain farmaya mujhe se ki liyaaqat malum hai... Agar kaho to sab ka imtehaan le lun, , magar yaad rakho ke isse kam hi number aayenge"

(hikaayat awliya 337)


HARAAM DAWAT KA SHAUK:



Maulana nanotwi ki yah aadat thi ke har halaal wa haraam daawat manzoor farmaate aur tanawal bhi karte they jaisa ke ameer shah khan sahab bayan karte hain ke

" hz maulana nanotwi ko haraam ke taa'aam se jaise nafrat thi waise hi uska ehsaas bhi bahut jald karte they, magar daawat har ek ki manzoor farma lete aur phir aakar karte they"

(hikaayat awliya 250)



MAULANA NANOTWI KE AUDITOR:



deewan muhammad yaseen sahab maulana nanotwi ke khuddam me se they ,in ka bayaan hai ke

" ek dafa maulana nanotwi masjid ke sahan me muraaqba me muttawajjah they aur tawajjah ka rukh mere qalb ki taraf tha..... Eka ek maine dekha ke aasmaan se ek takht utar raha hai aur us par janaab rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne khulefa arba me se ek se farmaya ke- 'bhai zara maulana qasim ko bulaa lo... Wah Maulana ko lekar aagaye huzoor sallalaho alaihi wasallam ne irshaad farmaya ke maulana madarse ka hisaab laayen, arz kiya ke hazrat haazir hai aur yah kahkar hisaab bataana shuru kiya aur ek ek paayi(ruppee) ka hisaab diya"

(hikaayaat awliya 434)


mazkoorah waaqeye par kisi tabsirah ki zarurat nahi ke huzoor sallalaho alaihi wasallam(pbuh) mai khulefa e arba tashreef laaye aur ba'haisiyat auditor maulana nanotwi ke madarsa ka hisaab kitaab check farmate nez nanotwi sahab ko maulana kah kar mukhaalib karte they.......


To be continued