Tuesday, January 31, 2012

DAAWA AHTERAAM SAHABA KIRAM(RA) AUR USKI HAQIQAT:

Bismillahirrahmanirraheem




DAAWA AHTERAAM SAHABA KIRAM(RA) AUR USKI HAQIQAT:




Kitna ajeeb sa lagta hai ki koyi muqallid kahe ki " ghair muqallid(ahle hadith) sahaba ko nahi maante"

aayen zara ghaur karen



kitab wa sunnat me sahaba kiram ra ka jo maqaam wa martaba batlaaya gaya hai, aur khud unhone islaam ki nashr o ishaa'at me jo azeem se azeem qurbaaniya pesh ki hain wah kabhi bhi sahab e imaan ya sahab e bashariya se chhupi hui nahi hai..

Unke baare me allah taala ka yahi irshaad kafi hai

" aur mujaahireen aur ansaar saabiq aur muqaddam hain aur jitne log akhlaas ke saath unke pairo hain allah un sabse raazi huwa aur wah sab usse raazi huwe, aur allah ne unke liye aise baagh muhayya kar rakhe hain jinke neeche naharen(canals) jaari hongi jin me hamesha rahenge, ye badi kaamyaabi hai"

(surah tauba ayat no 100)


isi tarah allah taala ka irshaad hai


" muhammad sallalaho alaihi wasallam Allah ke rasool hain aur jo log unke saath hain kaafiron par shakht hain, aapas me raham dil hai, tu unhen dekhega ke ruku aur sajda kar rahe hain"

(surah fath 29)


in aayaat me sahaba kiram ra ki fazilat, unke uloom o martabe aur azmat e shaan ko waazeh taur par bayaan kiya gaya hai, aur unke fazail wa manaqib me be shumaar hadith waarid hui hain,

unhi me hz abu saeed khudri ra ki ye hadith bhi hai ke rasool akram(sws) ka irshaad mubarak hai:-" mere kisi sahaba ko gaali mat do, agar tumme se koi uhud pahaad(mountain) ke baraabar sona (gold) kharch kar de, phir bhi wah mere ashaab ke kharch kiye hue ek mudd balke aadhe mud ko bhi nahi pahunch sakta"

(sahih bukhari, kitab fazail sahaba 3673)


aur hz imran bin haseen ra ki ye hadith bhi hai, jisme aap(sws) irshaad farmate hain:-" beshak sabse bahtareen mera zamaana hai, uske baad mere baad ke logon ka zamana hai, uske baad inke baad ke logon ka zamana Hai, uske baad unke baad ke logon ka zamaana hai,

sahabi e rasool hz imran bin haseen ra farmate hain:-" mujhe yaad nahi raha ke rasool akram(sws) ne apne zamaane ke baad do martaba zamaana ko afzal qaraar diya ya teen maqtaba"

(sahih bukhari 5/258, 8/3, 11/ 244, hadith no 2651,3650,6428, sahih muslim 2/1962, hadith no 2535)


iske elawa deegar sahih hadith me sahaba kiram ra ke maqaam wa martaba aur unki azmat ko waajeh kiya gaya hai, unse muhabbat aur unki taazeem wa taqreem ko zaroori qaraar diya gaya hai, balke imaan ki alaamat batlaaya gaya hai,

yahi wah wajah hai ke aimma salaf ne aqaaid ke bayaan me sahaba kiram se muhabbat aur inki taazeen wa tauqeer ko bhi islami aqeedah ke ek aham tareen juz ki haisiyat se zikr kiya hai....

Chunanche imam abu haatim rh likhte hain:

" ham tamaam sahaba kiram ke haq me allah tabaarak taala se unpar nazool rahmat ki dua karte hain, unme se kisi ko bhi bure Alfaaz se yaad karne ko jayez nahi samjhte,

kyonke allah taala unke baare me irshaad farmata hai:-" aiy hamare parwardigaar ! Hamen bakhs de, aur hamare un bhaiyyon ko bhi jo ham se pahle imaan la chuke aur imaandaaron ki taraf se hamare dil me keena (aur dushmani) na daal, aiy hamare rabb beshaq tun shafaqat wa maherbaani karne waala hai"


(surah al hashr 10, sharah asool eiteqaad ahle sunnah wal jamaat 1/160)


imam abu zar rh se naqal karte hue haafiz ibn hajar rh likhte hain:

" jab tum kisi ko dekho ke kisi sahabi ki tanqees kar raha hai to samjh lo ke wah zindeeq hai, aur ye isliye hah ke rasool barhaq hain, quraan barhaq hain, aur quran ne jo kuch bayaan kiya hai wa barhaq hai, aur un tamaam baaton ko ham tak pahunchaane waale sahabi hi hain, lihaaza sahaba ki aib joyi aur tanqees karne waale ye log hamare gawahon(ham tak deen pahunchane walon) ko majrooh karna chaahte hain, taake wah kitab Wa sunnat ko baatil qaraar de saken, haqiqat ye hai ke yahi log majrooh qaraar diye jaane ki ziyaadah mustahiq hai, balke ye zindeeq hain"

(al asaba 1/10)


allama tahawi rh apne aqeeda ka izhaar karte hue likhte hain:

" sahaba kiram ra se ham muhabbat karte hain, lekin kisi ki muhabbat me mubaalagah se kaam nahi lete, aur na unme se kisi se buraayi zaahir karte hain, unse bughz wa hasad rakhne waalon aur unki badgoyi karne walon ko mabgoos samjhte hain, ham unka sirf zikr khair hi karte hain, unki muhabbat deen wa imaan aur ahsaan hai, aur unke bughz kufr wa nifaaq aur sarkashi hai"


( al aqeedatul tahawiyah page 56, taba al furqaan riyadh)


allama nawawi rh farmate hain:

" jaan lo ! Sahaba kiram ra ko bure alfaaz se yaad karna haraam balke bade haraam kaamon mese hai, khwaah wah aapasi jung ke fitnah me mubtala hue hon ya na hue hon, kyonki in jungon ke baare me unhone ijtehaad aur taaweel se Kaam lekar unme shamooliyat akhtiyaar ki thi ya un se kinaara kash rahe they"

(sharah al nawawi 3/326, taba beirut)


is tarah tamaam aimma e salaf ne sahaba kiram ra ke talluq se kitab wa sunnat ki roshni me unse muhabbat, unki tauqeer wa taazeem aur unke ajlaal wa akraam ke wajood ki sarahat karte hue kisi qism ki unki tanqees aib joyi aur unpar zabaan daraazi ko haraam batlaaya hai,


aimma e salaf ke naqshe qadam par chalte hue ulema e ahle hadith ne bhi isi aqeede ko akhtiyaar kiya hai,

chunancha ahle hadithon ne bhi aqaid ki apni kitabon me balke mauqa aur munasibat se deegar tasneefaat me bhi sahaba kiram se be'gair kis istasna ke muhabbat hai, unki taazeem wa takreem aur tauqeer wa ajlaal ko waajib aur zaroor qaraar diya hai,

chunanche allama shaukaani rh jinhone barre sagheer(hind wa pak) ki jamaat "ahle hadith" ya muqallid ke mutabik "gair muqallid" ka baani samjha jaata hai, likhte hain:



"Bila shaq wa shuba sahabi rasool ka maqaam wa martaba nihaayat hi azeem hai, lekin is raf'at wa bulandi ka talluq fazilat wa buzurgi, darjaat ki bulandi aur inki azmat shaan se hai, ye ek aisa amr muslim hai jisme adni shaq wa shubah ki gunjaaish nahi hai aur yahi wajah hai ke ( allah taala ki raah me kharch kiye huwe) unke ek mudd ko dusron ke pahaadon ke maanind sadqe nahin pahunch sakte"

( irshaad al fahool page 244)


isi tarah barre sageer ki jamaat ahle hadith ke motbar aalim hz nawab siddeeq hasan khan rh ne aqaid se muttalik apni kitab " qatful shamr fi bayaan aqeedah ahlul asr" me sahaba kiram ra wa ahle bait ra se muhabbat ke wajoob par ek taaweel fasl (jild)taiyyar ki hai,

fasl ke shuruaat zel alfaaz se karte hue likhte hain:

" ahle sunnat ke buniyaadi aqaid me ye bhi shaamil hai ke sahaba kiram ra ke baare me wah apne dil ko saaf rakhen"

aur likha hai


" jis shakhs ne bhi sahaba Kiram ra ki paakeeza seerat ka aur allah taala ne unko jin fazail wa manaqib aur karaamaat se nawaaza tha, duniya wa aakhirat me jo buland darjaat inko ata kiye they unka ilm wa baseerat ke saath mutaalah karega use bila shaq wa shubah muqammal aur yaqeen ke saath ye baat maalum ho jaayegi ke sahaba kiram ra ki jamaat ambiya kiram ke baad sabse bahtar jamaat thi, aisi bahtar jamaat na pahle kabhi thi aur na baad me kabhi hogi, ummat e muhammadia jisko khair e ummat ka laqab haasil hai aur jo allah taala ke nazdeek sab se mahboob ummat hai us ummat ke ye muntakhab aur chuninda log hain"

(page no 97-104)


jin nawab wahiduzzaman hydrabaadi ka naam lekar ahle hadith ko badnaam karne ki koshish ki jaati hai, balke hind wa paak ki jamaat ahle hadith ko muqammal taur par gustakh sahaba qaraar diya jaata hai, aur raafzi kaha jaata hai,

yahi nawab sahab sahaba kiram ra ke talluq se likhte hain




" jamhoor ulema ka yahi qaul hai ke jisne aap(sws) ko ek baar bhi dekha ho wah sahaabi hai, ba'sharte ke musalmaan ho, pas hz muhammad(sws) ka ek baar dekhna aisa sharf hai ke saari umr ka ibaadat aur mujaahda uske baraabar nahin ho sakta, kuch ne kaha awliya allah jin sahaba ke martaba ko nahin pahunch sakte , unse muraad wah sahaba hain jo aapki sohbat me rahe aur aap se istefaadah kiya aapke saath jihaad kiya, magar yah qaul marjuh hai"

(talweeh 465)


hamare peer sayyed abdul qaadir jeelani farmate hain ke:- "koi wali adni sahabi ke martabah ko nahi pahunch sakta, aur ek buzurg se naqal kiya hai:- unhone kaha, wah ghubaar jo hz muawiya ra ke ghode ki faak me daakhil huwa ho, umar bin abdul aziz khaleefa se jo bade aadil aur muttabe sunnat they itne darjah afzal hain"


(teesar ul bari fi tarjuma sahih bukhari , kitab ul manaqib page 69, wahiduzzaman)





Imam bukhari rh ne apni sahih me hz abu darda ra se ek riwayat taaweel hadith riwayat ki hai, jisme mazkoor hai ke hz abu baqr ra wa hz umar ra ke beech kaha suni ho gayi thi, us mauqe se rasool akram(sws) ne hz abu bakr ra ke mutaallik ek nihaayat azeem baat kahi thi,

us par nawab wahiduzzaman hyderabadi ne apne taasaraat ka izhaar kiya hai, bhaiyyon ! Nawab sahab ke taasaraat mulaaheza farmaayen aur ghaur karen kya koi "shia" is qism ki baat kah sakta hai, pahle hadith ka tarjuma pesh karte hain, uske baad nawab wahiduzzaman ke taasaraat:


hz abu darda ra farmate hai ke main aap(sws) ke paas baitha tha, itne me hz abu bakr ra aaye, aapne kapde ka kona uthaaye, apne ghutne khole, huzoor (sws) ne farmaya:-" tumhare sahab( yani abu bakr ra) kisi se ladh kar aayen hain, unhone salaam kiya (huzoor 'sws' ko, aur baithe) phir kahne lage mujhme aur khattab ke bete (yani hz umar ra) me kuch takraar ho Gayi thi, maine jaldi me unko shakht wa sat kah diya, phir main sharmindah huwa aur unse maafi chaahi, lekin unhone inkaar kiya, ab main aap (ke) paas aaya hun (aap unko samjhaayen), ye sun kar huzoor (sws) ne farmaya:- abu bakr ! Allah tumko bakhshe, teen baar yahi farmaya, phir aisa huwa ke hz umar ra sharmindah hue, aur hz abu bakr ra ke ghar par aaye, poocha abu bakr hain ?? Logon ne kaha nahi hain, aakhir hz umar ra bhi huzoor(sws) ke paas aaye, aapko salaam kiya, aapke(sws) chahre ka rang badalne laga, hz abu bakr ra dare (kahin aap hz umar ra par khafa na hon), wah dono baithe, aur arz kiya, ya rasoollullah ! Khata meri thi,(maine hi umar ko shakht wa sat kaha tha), us waqt huzoor(sws) ne farmaya:- logon ! Yah samjh lo allah ne mujhko tumhari taraf paighambar bana kar bheja, lekin tum ne mujhko jhoota kaha aur abu bakr ne mujhko saccha kaha, aur apne maal wa jaan se meri khidmat ki, tum mere Dost ko sataana chhodte ho ya nahi ? Aapke ye farmane ke baad phir abu bakr ra ko kisi ne nahi sataaya"


(sahih bukhari ,kitab al manaqib 4/192 darul uloom al kutub riyadh)


mazkoorah hadith ke aakhiri jumlah par nawab sahab farmate hain:


" kisi ki majaal nahi ke jab nabi akram(sws) hz abu bakr ra ki nisbat aisa farmayen phir koi aankh utha kar unki taraf dekhta, haafiz ne kaha:- is hadith se abu bakr ra ki fazilat tamaam sahaba par nikli, hz ali ra ne farmaya:- unka khitaab "siddeeq" aasmaan par se utra, is hadith se shia ko sabaq lena chahiye, jab aap hz umar ra par hz abu bakr ra ke liye itna ghussa hue, halaanke pahke ziyaadati hz abu bakr ra ki thi magar jab unhone maafi chaahi thi to hz umar ra ko fauran maaf kar dena tha,

to ye kis munh se aap(sws) ke masaahab aur rafeeq khaas ko bura kahte hain, aur qiyamat ke din maalum nahi huzoor (sws) in logon(shia) par kitna ghussa honge, kyon ke hz Abu bakr ra ne inka kuch nahi bikaada, aur ye nahaq unse dushmani karte hain"


(teesar ul baari v 14 pg 75)



CONTINE IN..........NEXT ARTICLE INSHAALAH....... MAULANA NAZEER HUSSAIN MUHADDITH DEHLAWI(RH) PAR LAGAAYE GAYE ILZAAM PAR DISCUSS KARENGE