Sunday, January 15, 2012

AWLIYA ALLAH KAUN HAIN???

Bismillahirrahmanirraheem




AWLIYA ALLAH KAUN HAIN???



aaj kal musalmanon ki bad'aqeedagi is hadh tak badh gayi hai ke bahut se log awliya allahi ki aqeedat aur muhabbat me itne diwaana ho chuke hain ke unhe is baat ki bhi tameez nahi rahi ke unhone jin logon ko wali maana hai wah awliya allah hain ya awliya e shaitaan


to aayen ham dekhen ke haqiqat me awliya allah kise kahte hain aur awliya e shaitaan kaun hain,

allah ka wali dar haqiqat wah hai jisne apni zindagi ke har hisse aur har maidaan ke liye allah taala hi ho apna rabb bana liya ho usi ki itaat ko apni zindagi ke tamaam lamhaat ke liye laazim kar liya ho, jisne allah hi ko haami wa naasir bana liya ho, jisne allah hi ko dost, rafeeq, madadgaar bana liya ho, jisne apne zehan ki aur qalb ki gahraiyon se allah taala hi ko sarparast, madadgaar aur bakhsnewaala samjha ho, jisne allah taala hi ki rahnumaayi qubool ki ho, aur uske mutabik apne Khayalaat, akhlaaq, aur amal ko dhaala ho, wahi dar haqiqat allah ka wali hai,

chunanche allah ka irshaad hai:

" yani allah ke in awliya(doston) ko na koi khauf hoga aur naa hi wah ghamgeen honge jo allah par imaan laaye aur wahi muttaqi wa parhezgaar hain, unhi ke liye duniya wa aakhirat me khushkhabri hai"

(surah younus 62,63,64)

aage farmaya

" yani allah ke wali sirf muttaqi wa parhezgaar log hain"

(surah anfaal 34)


in aayat se malum huwa ke allah ka wali wah hai jo momin aur muttaqi ho..


Duniya me do qism ke log paaye jaate hain

1- ek qism momineen aur muttaqiyon ki hai jo allah par imaan rakhte hai, ahkaam ilaahi ke mutaabik apni zindagi guzaarte hain , is qism ke logon ko awliya allah kaha jaata hain, yani allah ke dost aur uski farmadardaari karne waale

2- dusri qism in kuffar, mushrikeen ,munafiqeen, aur gumraah logon ki hai jo ahkaam ilaahi ko chhod kar shayaateen ki baaton par amal Karte hain, is qism ke logon ko awliya us shaitaan kaha jaata hai yaani shaitaan ke dost aur uski farmabardari karne waale lekin maujooda daur me aam taur par musalmanon ke andar wali ka jo maana aur tasawwur paaya jaata hai wah kuch is tarah hai

1- allah ka wali wah hai jo muqarrab baargaah e illahi hone ki wajah se allah taala ke yahan itna dakheel ho ke apne mureedon aur aqeedat mandon ko apni shifarish ke zariye bakhswa sake, chaahe wah mureed aur khush aqeeda log kitne hi be'amal aur badkaar kyun na hon,

2- allah ka wali wah hai jo ghaib ki baaton ko bata deta ho, aapke dil me kya hai??

3- allah ka wali wah hai jo har waqt allah ke tasawwur me dooba rahta ho aur us wajah se namaz, roza, hajj wa zakaat aur tamaam ahkaam shariat uske liye maaf ho gaye hon, aur tamaam gair sharai kaam karne ki use ijaazat haasil ho gayi ho...

4- jo shakhs ganda rahta ho, gande kapde pahne aur ulool zulool bakta ho, Gaali galoj jiski aadat ho, diwaano ki tarah bad'badaata ho, magar saath saath satte ke number bata deta ho wa makhzoob allah ka wali hai

5- paani aur aag me aise chalta ho jaise zameen par aur kashf wa karaamat ka daawedaar ho....


Haalaanke yah sab quran ki taalimaat ke khilaaf hai.. Quraan ki nazar me waliullaah wah hai jo

1- jo allah ki zaat wah sifaat par imaan rakhta ho aur uske mutabik zindagi guzaarta ho,

2- jo allah ke farishton par imaan rakhta ho aur in par imaan ke taqaaze poore karta ho

3-jo allah ke taamam rasoolon par imaan rakhta ho..

Wagerah wagerah......


Baherhaal kahne ka matlab yah hai ke allah ka wali wah ho sakta hai jo aap(sws) aur aapki laayi huwi shariat par imaan rakhe, aur zaahir wa posheeda par pahlu se uski itteba kare aur jo shakhs allah ki muhabbat wa wilaayat ka daawedaar ho lekin aap(sws) ki itteba na kare wah hargiz allah ka wali nahi ho sakta, balki allah ka Mukhalif, dusman aur shaitaan ka dost hoga,

allah taala ka irshaad hai

" aap kah dijiye agar tum allah se muhabbat rakhte ho to meri itteba karo, allah tumse muhabbat karega"

(aale imran 31)

bhaiyyon ! Kisi shakhs ko wali tasleem karlene ki bahut se logon ke paas daleel hoti hai ke us se baaz karaamaat wa sifaat zaahir hote hain, maslan usne kisi ki taraf ishaara kiya aur wah mar gaya, wah hawa me udh kar makkah pahunch gaya, kabhi paani par chalne laga, uski gair maujoodgai me ya uski wafaat ke baad kisi ne use madad ke liye pukaara aur usne haazir hokar uski zarurat poori kar di, Wagerah wagerah.... Use wali maan lete hain,


jabki inme se koi baat bhi uske wali hone ki daleel nahi hai,

awliya allah sirf aur sirf wah log hain jo islami shaair aur hudood ka pura poora khayaal rakhte hain, momino aur muttaqiyon ke jitne ausaaf kitab wa sunnat me bayaan kiye gaye hain,

lihaaza musalmano ko chahiye Ke wah awliya allah aur awliya e shaitaan ke farq ko acchi tarah samjh len , warna bad'aqeedagi ke shikaar ho jaayenge aur shaitaan apne maqsad me kaamyaab ho jaayega,


ALLAH HAR EK KO SAHIH AQEEDE PAR QAYAM RAKHE......AMEEN