Tuesday, January 24, 2012

HUSN ADAB, TANQEED AUR SULAAH:

Bismillahirrahmanirraheem



HUSN ADAB, TANQEED AUR SULAAH:



" beshak jo log gharon ki chaardiwaari ke baaher se tujhe pukaate hain wah aqsar nasamjh hain, aur agar wah sabr karte yahan tak ke tu in ki taraf nikal aata to inke liye bahtar hota aur allah bakhsne waala maherbaan hai, momino ! Agar koi faasiq aadmi tumhaare paas koi khabar lekar aaye to uski tahqeeq(investigation) karo, aisa na ho ke tum nadaani se kisi qaum par ja pado, phir kal ko pachhtaane lago, aur jaan lo ke tum me allah ka rasool hai agar wah aksar baaton me tumhari maana kare to tum par mushkil me pad jaao, lekin allah ne tumhare dilon me muhabbat daali aur use tumhare dilon me accha dikhlaaya aur kufr aur gunaah aur be'huqmi se tumhaare dilon me nafrat paida ki , aise hi log raah hidayat par hain, ye allah ki taraf se fazl aur ehsaan hai, aur allah jaanne waala hikmat waala hai, aur agar musalmano ke do firqe aapas me lad paden To inke darmiyaan sulah karaado, phir agar ek jamaat dusri jamaat par chadh jaaye to jo chadhayi waali hai to usse sab lado, yahan tak ke wah khuda ke huqm ki taraf ruju kare, phir agar ruju kare to insaaf ke saath in me sulah kara do aur insaaf karo beshak khuda insaaf karne waalon ko pasand karta hai"

(surah hujraat 4-9)



TASHRIH- uyanna bin hasan infaraari aur aqra bin haalis aur 70 admiyon ke saath huzoor(sws) se milne ke liye aaye. Huzoor(sws) us waqt haram me tashreef farma they ye log zor zor se awaazen dene lage. Is par ye aayat naazil hui ke is tarah aapko mukhaatib karna be'adbi aur be'aqli hai, in logon ko chahiye tha ke ittela kar dete aur phir intezaar karte. Htta ke huzoor(sws) tashreef le aate aur inki baaton ko tawajjah se sun lete,
Uske baad ek asool aur irshaad farmaya jis par tanqeed aur chhaan bheen ki tafri'aat murattab hoti hai, aur jisse maalum hota hai ke musalmano ke liye haalaat se ba'khabar rahna kitna zaroori hai, farmaya ke dekho tumhare paas koi faasiq aur na'qaabil aadmi khabar laaye to bila tahqeeq us par yaqeen na karna, aisa na ho ke tumhare andha dundh yaqeen se musalmano ko nuksaan pahunch jaaye aur wah tumhare bad'akhlaqi ka khaamiyaaza bhugten,

waazeh ho ke aaj is usool tahqeeq wa tanqeed ke sahih istemal na karne se musalmano ko kis qadr nuksaan pahuncha hai,

iska andaaza kuch wahi log kar sakte hain jinki halaat par nazar hai ke mukhaalifeen ki phailaayi huwi baaton ko ham kis darja sahih aur insaaf samjhne lage hain,

aur in par yun yaqeen karne lage hain jis tarah ke wah wahi ilhaam ki baatein hain, aur is tarah khud apne bhaiyyon se bad'zan hain apne akaabir se fire hain aur apne mukhaalifeen ke saath Kandhe se kandha milaaye khade hain, nateeza ye hai ke musalmaan pareshaan hai aur nuksaan me hai

is ayat me musalmano ki do jamaat me sulah karwaane ka bhi huqm hai, aur jo fareeq na maane uske khilaaf quwwat wa taqat ka istemaal karen, hatta ke wah fareeq apni sarkashi se baaz aa jaaye aur khuda ke huqmon ke saamne sar tasleem kham karde,

chunanche is baare me irshaad farmaya hai ke " agar musalmanon ke do girohon me ikhtelaaf raaye se jung wa jadal ka mauqa paida ho jaaye to tum fauran sulah ka parcham lahraate hue darmiyaan me kood pado,

agar wah tumhari na maane to inko shakhti ke saath majboor kar do ke islaam ke wahdat ke liye aur uske mufaad ke liye apne zaati aa'raaz ko ek dum tarq kar den...



ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE KI TAUFEEQ DE...... Ameen