Wednesday, January 18, 2012

KHWATEEN ISLAM KI BAHTAREEN MASJID




Bismillahirrahmanirraheem



AURTON KI NAMAZ MASJID ME AUR DEOBAND KA FARMAAN



Deobandion ne ek kitab chhapi hai jiska naam hai " KHWATEEN ISLAM KI BAHTAREEN MASJID" hai,

iske writer hz maulana habiburrahman sahab qasmi, ustaaz hadith darul uloom deoband hain,

74 page par mustaqil is kitab me aurton ko masjid me namaz ada karne ke mauzoo par izhaar-e-khyaal kiya gaya hai,

mukhtalif hadith aur aqwal aimma ki roshni me kheench taan kar apna maukaf saabit karne ki koshish ki gayi hai, kitab padhne se pata chalta hai ke faazil maulaf kisi bimari ka shikaar hain, hadith pesh karne ke baad jab tashrih shuru karte hain to thodi der baad ahsaas hota hai ke isse to mukhalif maslak ki taeed ho rahi hai, to fauran agar magar karke fitnah fitnah ki wird lagana shuru kar dete hain,

ab ham faaltu bahes na karte hue mudde par aate hain...


Aurton ke masajid wa eidgaah me jaane ke masle ko Kabhi bhi ulema e ahle hadith ne farz qaraar nahi diya hai, ahle hadith ka kahna hai ke sahih hadith se iska saboot milta hai, sahaba kiram, tabieen ne is sunnat par amal kiya hai, isse aurton ko deeni masail samjhne me madad milti hai, isliye masjid wa eidgaah me aurton ka maqool bandobast(intezam) karna chahiye taake wah sharai umoor ki pabandi karte hue us sunnat par amal paira ho kar kuch seekh saken, yah ek seedha sa masla hai, agar is sunnat ki adaaigi me koi rukaawat ho to imaandaari se us rukaawat ko door karne ki koshish ki jaaye na ke sunnat hi ko tarq kar diya jaaye....


Lekin deobandi alim hz habiburrahman qasmi sahab aur inke ham nawa group ki taraf se yah kaha jaata hai ke ahle hadith hazrat us amal ko " FARZ" qaraar dete hain, jabke uski farziyat ki koi daleel nahi hai, deobandi alim hz habiburrahman qasmi farmate hain:

" jamhoor fuqaha muhaddiseen is par mutawaffiq hain ke khwateen Islam par masjid me haajir ho kar jamaat me shirqat roo-e- shariat waajib aur farz nahi aur na unhe uski taqeed ki gayi hai, in tamam hadith se jin me aurton ko apne gharon me namaz ada karne ki targheeb dilaaiyi gayi hai, yahi huqm shariat saabit hota hai"

( khwateen islam ki bahtareen masjid pg 10,11)


ab janab hz habiburrahman rh deobandi ka kamaal ye hai ke wah pahle kisi masla ki noiyat aur soorat ko bigaad dete hain, phir is ka intisaab ahle hadith hazraat ki taraf karke sawalaat ki bauchaar karte hain, hadith pesh karte hain, aqwaal aimma se istadlal karte hain aur dalail ka meena baazar saza kar apne maslak ko saabit karke seedhi saadhi awaam ki waah waahi haasil karne ki koshish karte hain,


jab ulema e AHLE HADITH is masle ko farz nahi qaraar de rahe hain to mazkoorah aqtabaas ka kya matlab??

Haan aapke group ke kitne ulema kiram is amal ko haram qaraar de rahe hain lekin ek bhi daleel Pesh karne se qaasir hain bechaare, aakhir ulema e deoband is par khamosh kyon hai !

Ahle hadith par ilzaam laga kar apni aql kyon khraab kar rahe hain!



MANFI SOCH:


"Zaroori wazahat" ke unwaan se hz habiburrahman qasmi sahab farmate hain:

" huzoor sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ke ye irshaadaat aaliya aapke saamne hain jo ta'dad tarq aur kasrat hain balke tawatar ki hadd tak pahunche hue hain jin se roz roshan ki tarah saaf hai ke auraton ka ghar se baahir nikalna mahal FITNA hai, aur inka apne makaan ke andar rahna allah ki raza aur takarrub ka zariya hai"

(pg 59)


hz habiburrahman qasmi deobandi sahab ne irshaad e nabwi me apne mijaaz wa mauqaf ke lihaaz se rang bharne ki koshish ki hai


agar aurton ka bahar nikalna mahal fitna hota to khud ahad nabawi me masajid me aane aur jihaad me shirqat ki qattan izazat nahi hoti !!

Jabke soorat e haal iske bar'ask hain, islam ne aurat ko Ghar se bahar nikalne se itni shakhti se saath mana nahi kiya hai, balke uske kuch adaab aur sharait hain jin ki ri'aayat laazim hai,

agar hz habiburrahman qasmi sahab ki faham ka aitbaar kiya jaaye to zindagi ki gaadi aage nahi badh sakti hai, kyonke bahut se mauqe par aurat ka ghar se bahar nikalna bilkul zaroori hai,

shadi byaah, marz aur dusre umoor ko to jaane dijiye uski taleem ka bandobast mushkil balke namumkin ho jaayega,

ho sakta hai hz habiburrahman sahab irshadat farma de ke inki taleem ki kiya zarurat hai, padhne likhne se majeed fitna paida hone ka andesha hai,


aage hz habiburrahman deobandi sahab farmate hain

" sacchi baat to yah hai ke nabi akram(sws) ke ek ek lafz aur har har faqrah se yahi mutarshah ho raha hai ke khwateen islam ko in saari sharton ki ri'aayat ke bawajood aapki zabaan mubarak se saaf taur par masajid se rok to nahi rahe hain, magar yah zaroor chahte hain ke khud Wah(aurten) aapki marzi wa mansha se waqif hokar baahar nikalne aur jamaat me haazir hone se ruk jaayen"

(pg no 60)


faazil hz habiburrahman qasmi deobandi ke is bayan ki roshni me kai sawaalaat paida ho rahe hain, jiska jawab khud qasmi shahab ke paas nahi hai, lekin masla kaali bhed(black sheep) ko qaabu me karne ka hai,

inke jayez shak wa subuhaat ka azaalah karna hai, iske liye kuch bhi kiya ja sakta hai,

yahi nuksaan hota hai TAQLEED jaamid ka, ke wah insaan ko kahin ka na chhodti hai, apni naak(nose) ke elawa usko kuch nazar nahi aata hai,

agar rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) aurton ka masjid me aana pasand nahi hota to saaf taur par mana farma dete, aap hujjat e islam they, islam ki taalimaat ko nihayat wazahat ke saath pesh karna aapki zimmedaari thi aur aap ne is zimmedaari ko bakhoobi ada kiya aur apni ummat ko ek muqammal deen dene ke baad duniya se tashreef le Gaye, agar aap ko zara bhi shubah hota to saaf taur par izhaar farma dete kyon ke ummat ki soorat haal inke saamne thi, lekin aapne hamesha aurton ko masjid me aane ki hausla afzaai farmayi lekin sharait par taqeed se amal karne ki shakhti ki,

aakhir qasmi sahab ke paas in sahih riwayaton ka kya jawab hai jisme aap(sws) ne farmaya:

" allah ki bandiyon yani aurton ko masjid jaane se na roko"

(musnad ahmad)


agar aap(sws) ki nazar me aurton ka masjid me aana fitna azeem hota to aap(sws) saaf taur par mana farma dete, kyonke aap ummat ke murabbi aur muallam they nek wa badd(sin) se aagaah karna aapki zimmedaari thi, lekin aap is baat ko jaante they ke aurton ke masjid me aane se faayede hain, inko deen ka ilm hoga, aur wah nafsiyaati taur par kisi ehsas kamtari ka shikaar nahi hongi..


NAFSIYAATI PAHLU YA NAFS PARASTI:



Ahad nabawi me masajid me aurton ke haaziri ki taweel in alfaaz me farmate hain:



" inki is haaziri me yah azeem faayeda bhi tha ke unhe baraahe raast huzur sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ki taleem wa tarbiyat se istefaadah ki sha'aadat be nihaayat ka mauqa bhi mil jaata tha"


(pg no 18)


" is masla me yah nafsiyaati pahlu bhi madde nazar rahna chahiye ke huzoor sallallaho alaihi wasallam(pbuh) ki taaleem wa tarbiyat se hazraat sahaba wa sahabiyaat (ra) ke andar talab fazal wa khair ka tab'ee da'eyah paida ho gaya tha jiska ye laazmi nateeja tha ke is muqaddas jamaat ka har har fard raza e illahi aur hasool hasnaat ke liye bechain rahta tha, bil khusoosi mauqe khair masla jamaa wa jamaat aur jihaad wagerah me peeche rah jaana inke liye sohaan rooh se kam na tha, tahseel fazl wa karamat ke isi jazbe ke tahat aurton ne huzoor sallallaho alaihi wasallam(pbuh) se jihaad me apni adam shirqat ka shiqwa bhi kiya aur uski ijaazat chaahi"

(pg no 19,20)


maahir nafsiyaat deobandi alim ko Malum hona chahiye ke aaj bhi jo log aurton ko masjid wa eidgaah aur deeni ijtema wagerah me le jaane ka maqool intezaam karte hain wah aurat ki isi nafsiyaat aur talab khair ke muqaddas jazbe ke ri'aayat karte hain, kyonke aurat islami mu'aashre ka ek aham hissa hai, zindagi ki kisi bhi mod aur dawati mission ki kisi bhi marhala me iske kirdaar aur asar ko nazar andaaz nahin kiya ja sakta hai, agar aapka yah khyaal hai ke aaj ki khwateene islam me talab khair ka jazba khatam ho gaya hai, deeni ahmiyat khatm ho chuki hai, unhe deeni umoor se koi lagaao nahi, to yah aapki ghalat fahmi hai,


balke mere mutabik yah sarasar bohtaan aur ilzaam hai, aap tamam khawateen ki niyyat par shaq kar rahe hain,

maana ke chand aurten agar is sunnat ki aad me bad'tameezi aur be hayaai kare to kya saari aurton ko ek sunnat ada karne se mahroom kar diya jaayega??

Mohtaram deobandi sahab ! Allah ke rasool sallallaho alaihi wasallam(pbuh) nahi rahe, sahaba kiram aur tabeen ka zamaana bhi na raha, lekin deen ka paigaam baaqi hai aur isko aam karne ki zimmedaari ulema kiram par hai, rasool ka uswa hasana aur tareeke kaar hamare liye hidayat aur roshni ka minaar hai, aur jab allah ke rasool ne dawati umoor me khwateen e islam ko nazar andaaz nahi kiya to aaj ham kaise inko nazar andaaz kar sakte hai,

kya sirf ahad nabawi me inko islami majlison se istefaad karne ki ijaazat thi, aakhir aaj ke ulema kiram ki wa'az wa nasihat ki majlison me wah poore islami aadaab wa sharait ke saat kyon nahi shirqat kar sakti hain,

jumah aur eidain ke khutbaat aur dusre deeni ijtemaat millat ki sahih rahnumaayi ka aham zariya hai, aap is millat ki aadhi aabaadi ko zabardasti rok rahe hain, tasawwur kijiye millat kahan jaayegi??

Masla kisi fiqhi maslak ka nahi hai baat islaam ke usool aur sarbulandi ki hai, zara baher nikal Kar zameeni haqaiq ka nazaarah kijiye logon ke aitraazaat ko suniye phir fatawa dijiye,

fiqah ki do chaar moti moti kitaben padh kar fatawa dena aasaan kaam hai lekin badalte mahaul aur mu'aashre me millat ki sahi rahnumaayi badi mushkil cheez hai,



AAKHIRI TEER:



ye hz habiburrahman qasmi ka aakhiri teer hai mulaheza ho:

" kis qadar hairat ki baat hai ke aaj jab ke maghribi(western) aurton ki aazaadi aur pardahdaari se tang aakar apni akhlaaqi tabaah haali par maatam kar raha hai, aur wahan ke log is be hijaabi ki aagosh se aur parwaan chadhne waali insaaniyat soz be-hayaai wa fahashakaari se apne mu'aashre ko bachaane ki tadbeeren soch rahe hain, hamare mashriq ke naam nihaad musleehin namaz wa masjid se muqaddas aur ba'azmat naam se mastooraat ko be pardah karne ke darpe hain"


(pg no 73)


hz maulana habiburrahman qasmi ke fiqri aur sathi soch par maatam karne ko ji chaahta hai, kitni aasaani Se bilkul do mukhtalif nazar me maghribi aur mashriqi tahzeeb(culture) me yaksaniyat dikha kar apne maslak ki taeed ke liye raasta saaf kar diya hai

kaash millat ke in maulwion ki zahni aqal aur qalmi ka washeen kitab wa sunnat ki nasr o ishaa'at aur islam ki sacchi aur paakiza talimaat ki tableegh par sirf hoti to aaj mulq ka manzar nama aur musalmano ki soorat e haal kuch aur hoti,

bura ho maslaki taassub aur taqleed jaamid ka jisne islaam ki saaf suthri taaleem ko bilkul khaarij kar diya hai aur aaj duniya unhe khud shafiya usoolon aur fiqah ke ghinaune masail ki roshni me islam ki muqaddas taalimaat ko nabood kar rahe hain...


Lagta hai deobandi sahab ko maghrib ki naam nihaad tahreek aazaadi 'niswan' ka bilkul sathi mutaala hai, jab hi to is gair fitri tahreeq ka mawaaznah islaam ke in paasbaano se kar rahe hain jinhone aurat ko is sharai haq rahne ki waqaalat ki aur samaaj me iske mutaalbah Qirdaar ki wazahat farmayi,


maghrib ki tahreek aazaadi 'niswan' ka buniyaadi maqsad aurat ko har qaid wa band se aazaad karna tha, iske peeche inka zaati mufaat aur khabaasat nafs posheeda thi wah behayaai aur faishion aur tarakki ke naam par farogh de kar awrat ko apni hawas ka shikaar banana chahte they, is napaak maqsad ke liye unhone na sirf islaami taalimaat ko nazar andaaz kiya balki akhlaqiyaat ke tamaam usoolon ko tyaag de diya aur is tahreek ki mukhalifat karne walon ko zulmat pasand aur dakiyanoos qaraar diya.....


Arab duniya me misri adeeb qasim ameen ne " tahrir maraat" aur "miraat ul jadeed" likh kar is tahreeq ko taqwiyat pahunchayi, misri leader saad ghuloon ki biwi safiya khan aur misri novel nigaar ahsaan abdul quddoos ki maa rozal yousuf isme pesh pesh thin, hindustan me taslima nasreen wagerah ne is tahreek ko aage badhaane ki mazmoon koshish ki,

agar is tahreek aur zahniyat ka Mutaalba kiya jaaye to yah baat wajeh taur par saamne aati hai yah radd amal tha jo TAQLEED wa tassub ki den tha,

inke mu'aashre me aurat jayez huqooq se mahroom thi, islam ke naam par jor wa zabar ka shikaar thin.

Fuqaha ki be zameere, haqaiq se chasm posi aur andhi taqleed se aajiz aakar in logon ne yah ghalat raasta akhtiyaar kiya tha,

agar deobandi maulwion ne imaandaari aur hikmat se islami taalimaat ki roshni me aurat ko iska jayez haq diya hota to aaj duniya ko aurat ke naam par islaam ko tanqeed ka nishaana na banaane ka mauqa nahin milta aur muslim mu'aashre me is tarah se gumraah log nahi paida hote,

lekin yahan to masla taqleedi riwaayat aur fiqhi maslak ke hifazat ka hai, chaahe islam ki mitti kitni hi paleed na ho.....


Maulwi habiburrahaman qasmi sahab yah rujhaan aapke halqe me bhi panap raha hai, aapne aurat ke hawaale se jo fitna fitna ki wird shuru kar rakhi hai usne auraton Ko radd amal par majboor kar diya hai, wah apni aankhon se dekh rahi hai ke AHLE HADITH hazraat aurton ke liye masaajid ,eidgaah aur deeni ijtemaat me shirqat ka maqool bando bast karte hain aur khwateen islam sharai aadaab ki pabandi karte hue inme haazir hoti hain aur hasab istataa'at istefaadah(benefit) haasil karti hain, aur allah ke fazal se koi khalal aur koi fitna wa fasaad nahi paida ho raha hai, to aakhir hamare ulema kiram kyon fitna ka bahana bata kar aurton ko ek nek kaam aur mufeed kaam se mana kar rahe hain,


ye rujhaan shahron ki taaleem yaafta khwateen me to badi shiddat se aam ho raha hai, tabhi to baaz log apne fiqhi maslak ko chhod kar is sunnat par amal karne ki zurrat ki hai aur aapko bhi der saber taqleedi daayere se nikalna hai, warna radd amal ki ye chingaari saa'ila jwalamukhi(volcano) ban kar aapke taqleedi imaarat ko jala kar khaak kar sakti hai,

halaat kharaab hone se pahle Zameeni haqaiq ko samjhen aur kitab wa sunnat ki taalimaat ko aam karne ki koshish karen


hz habiburrahman qasmi sahab ki soch par hamen tajjub to nahi par afsos zaroor ho raha hai ke ek sunnat rasool ka amal karnewalon ko aap maghrib ki be-maghroor aur be-haya aurton se mila rahe hain,

kya aaj jo log khwateen islam ko masajid namaz aur juma ada karne ki ijaazat dete hai, eidgaah aur deeni ijtemaat me in ki shirqat ka maaqool intezaam karte hain wah 'hawas' aur 'behaayai' ki tableegh kar rahe hain? Naozubillah

kya wo fitna aur fasaad paida kar rahe hain??

Kya wah log islam se bughz wa keena rakhte hain?? Naozubillah

kya wo aurton ka sahara lekar poore islaami mu'aashre ko kharaab karna chaahte hain??

Taassub me deobandi hazraat kahan chale gaye, aap ko yah bhi hosh nahi raha ke aapke qalam se kya kya nikal raha hai, islami mu'aashre ki nifs(half) aabaadi ke darmiyaan deeni sha'oor wa ahsaan Paida karne walon ke liye aap kya farma rahe hain??


Jo aurton juma aur eidain ki namaz me shirkat na hokar shahron ke bazaaro me bina burqa daale jaati hain, aur faisionable aur nange kapde pahan kar shaadi biyaah me shirqat karti hain, atkheliyan karti hai,wagerah inke khilaaf aap kya kar rahe hain???

Agar in aurton ko eidgaah jaane se rok diya hai to itni hi shakhti se baahir nikal kar shahron par udham machaane se bhi rok dijiye ya islami mu'aashre ke liye bahut acchi baat hogi..

Isi tarah mazaaron par jo mele lagte hain aur wahan aurten mardon ke saath saath nazar aati hai, iffat wa asmat ka koi lihaaz nahi rahta hai, aur mazaaron ka to haal hamen nahin malum, lekin nizaamuddin dehli ka manzar ham ne apni aankhon se dekha hai, aur us manzar ko bayaan karne ki taqat nahi hai,

aap badi tadaad me hai, rasookh bhi hai aur rasaai bhi, in buraiyon ke khilaaf bhi itni hi shakhti aur shiddat se boliye Kitaben likhiye,

bewajah ahle hadith hazraat ke islaahi programon me khalal mat paida kijiye, agar kisi cheez me ikhtelaaf hoto ilmi andaaz me iska radd kijiye aur haq wajeh ho jaane ke baad tasleem kar lijiye ham sab ko allah ke darbaar me haajir hokar jawaab dehi ke marhale se guzarna hai, sheeshe ki haweli se baher nikal kar dekhiye ke 21wi sadi me pahunch kar aap duniya ko kaun si islam ki dawat de rahe hai??

Allama iqbal rh ne sahih kaha tha


" KHUD BADALTE NAHI QUR'AAN KO BADAL DETE HAIN

HUWE KI DARJAH FAQIHAANE HARAM BE-TAUFEEQ"


ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE AUR USPAR AMAL KARNE KI TAUFEEQ DE.......AMEEN




#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks