Tuesday, January 24, 2012

ZABAAN(TONGUE) KI HIFAAZAT




Bismillahirrahmanirraheem:




ZABAAN(TONGUE) KI HIFAAZAT:




Hz uqba bin aamir ra bayaan karte hain ke maine arz kiya:- ya rasoollullah(sws) ! Nijaat kis tarah mumkin hai?? Aapne farmaya, apni zabaan ko qaabu(control) me rakho, tumhaara ghar tumhen apne andar samaa le (yani tumhara faaltu waqt ghar ke andar hi guzre) aur apni ghaltiyon par khoob ro "

(sunan tirmizi hadith hasan)


FAAYEDA: Logon se zyada mel jol aur inse gupshup me insaan ke deen ko bahut khatraat la haq hote rahte hain, isliye zyada akhtalaat(gupshup) ke bajaaye ghar me allah ki ittaat aur zikr wa fikr aur tilaawat wagerah me apne faarigh auqaat(waqt) ko sarf(istemal) karna bahut bahtar hai,

isi tarah tanhaiyyon me apni ghaltiyon par rona bhi allah ko bahut pasand hai,

is hadith me zabaan ki hifazat ke elawa in do baaton ki bhi taeed hai


hz abu saeed khudri ra se riwayat hai ki nabi akram(sws) ne farmaya:-" jab insaan subah Karta hai to uske jism ke tamaam aa'zaa zabaan se nihaayat aajizi se arz karte hain, kahte hain, tu hamare baare me allah se darna, isliye ke hamara maamla tere saath wabasta hai, agar tu seedhi rahegi to ham bhi seedhe rahenge, agar tune kazi(tedhapan) akhtiyaar ki to hambhi tedhe ho jaayenge"

(tirmizi)

note: 'aajizi ' se muraad hai zabaan ke saamne khusu khuzu se arz karte hain


FAAYEDA:

ISSE waajeh hai ke zabaan ko soch samjh kar istemaal karna kitna zaroori hai ke zabaan ki zara si tedhepan ki saza poore jism insaani ko bhugatni padhti hai,

ladaayi jhagde hote hain to maar jism hi ko bardaast karni padhti hai, baaz dafa jism ko hamesha ki neend tak sulaa diya jaata hai,

tedhe hone ka matlab yahi hai ke zabaan ke tedhepan ki zad poori jism ko padhti hai, aur seedhe rahne ka matlab ibtala aazmaish se mahfooz rahna hai,

ek dusri hadith me dil ko tamaam jism insaani ki islaah ya fasaad ka baa'as Batlaaya gaya hai, jab ke is hadith se zabaan ka ye muqaam waazeh hota hai,

isme koi farq nahi, isliye ke zabaan dil ki jaanasheen aur uski tarjumaan hai aur insaan zabaan aur dil dono ke majmue se ibaarat aur aur aadmiyat unhi dono chhoti cheezon ka naam hai


ek arabic mufakkir ne kya khoob kaha hai

" yani aadmi ki zabaan nisf(half) hai aur uska dil dusra nisf hai"



DUA KI DARKHWAAST