Wednesday, January 25, 2012

RAHMATUL LIL AALAMEEN( SWS) KI PAIDAISH KA BAYAAN

Bismillahirrahmanirraheem



RAHMATUL LIL AALAMEEN( SWS) KI PAIDAISH KA BAYAAN:



Allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam(pbuh) makka ke shobe banu hashim ke andar 9 rabi ul awwal san 1, aam ul feel (haanthi ka saal) peer (monday) ke din subah ke waqt ko paida huwe

( nataijul ifhaam fi taqweemil arab qabbal islam pg 28,35, mahmood pasha falki, edition beruit)

us waqt nausherwa ke baadshah hone ka 40wa saal tha aur 20 ya 22 april san 571 ki tareekh thi, allama muhammad sulayman sahab salman mansoor puri rh aur mahsood pasha ki khoj(research) yahi hai

(20 april puraane eeswin calender ke mutabik aur 22 april naye eeswin calendar ke mutabik, dekhiye rahmatulil aalameen 1/38,39 3/360,361)


ibn saad ki riwayat hai ki allah ke rasool(sws) ke maa ne farmaya, jab aapki paidaish hui to mere jism se ek noor nikla, jisse sham desh ke mahal roshan ho gaye,

imam ahmad aur daarmi etc ne hz arbaz bin siriyaah Ra se bhi lagbhag isi waqeye ki ek riwayat naqal farmayi hai

(musnad ahmad 4/127,128, 185 5/262, sunan darmi 1/9 ibne saad 1/201)


kuch riwaayaton se pata chalta hai ki kuch waaqeye nubuwwat ka pata dene waali bhi hui, yani kisra ke mahal ke 14 kangoore gir gaye, majoos ka aag ka kund thanda ho gaya, saara samundar sookh gaya aur girje dhah gaye, yah tabri aur baihaqi wagerah ki riwayat hai

( dalail lun nabuwwah, baiheqi 1/126,127, tareek tabri 2166)


magar isi sanad ke liye saboot nahi mil saka aur in qaumon ki taareekh me bhi iski koi gawaahi nahi milti,

paidaish ke baad aapki maa ne abdul muttalib ke paas pote ki mubarak baad bhijwaayi, wah khush khush tashreef laaye aur aapko khaana kaaba me le jaakar allah se duwa ki aur uska shukr ada kiya

(ibne hisham 1/159, 160, tareekh tabri 2/156,157 ibne saad 1/103)

aur aapka naam muhammad rakha, yah naam arab me jaana pahchaana na tha, phir arab Riwaaj ke mutabik 7we din khatna kiya


(kaha jaata hai aap ' makhtoon' (khatna kiye hue) paida hue they, dekhiye talqihul fahoom page 4, magar ibn qayyim kahte hain ki is baare me koi saabit hadith nahi hai jaad ul maad 1/18)

aapko aapki maa ke ek hafta baad sabse pahle abu lahab ki laundi suwaiba ne dhoodh pilaaya, us waqt uski goad me jo baccha tha, uska naam masrooh tha, suwaiba ne aapse pahle hz hamza bin abdul muttalib ra aur aur aapke baad abu salma bin abdul asad makhzoomi ra ko bhi dhoodh pilaaya tha

(sahih bukhari h 2645,5100,5101,5106,5107,5373, tareekh tabri 2/158, tabri ki is riwayat ki sanad par kalaam hai, dalailun nabuwwah 1/57)