Har Ibteda Se Pehle Har Inteha Ke Baad, "ZAAT-E-NABI Buland Hai "ZAAT-E-KHUDA" Ke Baad, Dunya Main Ehtraam Ke Qabil Hain Jitne Log, Main Sabko Manta Hun, Magar ,"MUHAMMAD-MUSTAFA{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} Ke Baad..
Tuesday, September 20, 2011
MURDON KO SAWAAB KAISE PAHUNCHAYA JAAYE
Bismillahirrahmanirraheem
MURDON KO SAWAAB PAHUNCHANA:
Is daur me musalmano me mayyit ko sawaab pahunchaane ka naya tareeqa nikaala huwa hai, jisse murdon ko to kabhi sawab nahi milta aur karne waale ka nuksaan yah hai ki allah aur rasool ke munkar bante hain, paisa barbaad hota hai, aur shaitaan khush hota hai, bewaaon aur yateemo ke haq khatm hote hain,
mayyit agar karzdaar mari hai to aakhirat ke azaab ka shikaar ho jaati hai
is daur ke jaahil musalmano(maslan barelwi) ko jahan dekhiye is bimari ka shikaar hain yahan unke yahan koi mara aur unhone baap daada ki pairwi ki,
murde ke saath anaaj etc qabron par baat'te hain paisa baat'te hai, teesre din teeja, 10wa,20wa,40wa, 6 mahi barsi karte hain phir acche khaane, pulaao, zarda, biryani, mithai aur biraadri ko khaana khilaate hain aur aapas ke badle utaare jaate hain
kitna hi gareeb ho khaana zaroor khilaayega, khana na de teeja na kare ya Koi biraadri waala na bulaaya jaaye aisa ho hi nahi sakta, aise maut ke khaano me shadi ki tarah biraadri ke ameer wa gareeb sab shareek hote hain ,
agar sadqa wa khairaat ka naam lekar bulaya jaaye to koi na aaye.
Agar inse puchiye aap kis deen ke hai jo jawaab me irshaad hota hai AHLE SUNNAT WAL JAMAAT pakke hanafi,
agar pucha jaaye ki hanafi maslak ki kis fiqh ki kitab me ya charon maslako me se kisi maslak ki kitab me in rasmon ko likha huwa bata sakte ho?? To jawab nahi de sakte , agar unke paas koi jawab hai to sirf itna ki hamne to apne baap daada ko aise hi karte dekha hai,
kuch kahte hain ham to jaahil hai kitne ki padhe likhe jo rashme karte hain kya we qur'an wa hadith nahi samjhte?? Aur jo thode bahut padhe likhe bhi hain we farmate hain- "miyan isme nuksaan kiya hai buraai to sadqa khairaat me hai aur karz lekar khairaat karna bhi accha hi hai isme buraai kaun si hai
is jawab ko Kaafi samjhkar asal matlab ko chhod dete hai aur wah nahi jaante ki allah wa rasool ne haqdaaron ka haq ada karne ka kya tareeqa farmaya hai?? Yateemo ke maal ki hifazat ko qur'an majeed kya kahta hai, allah musalmano ko samjh de
SAWAAB PAHUNCHAANE KA SAHI TAREEQA:
Mayyit ko sawab pahunchane ka theek aur sahi tareeqa yah hai ki allah ke waaste apne khaas maal se jisme kisi yateem wa bewa aur dusre rishtedaar ka kuch haq na ho, usse ghareeb miskeen aur ristedaaron ki madad karen unhe khana khila den kapda bana den, nagad raqam se madad karen
"agar taqat ho to mayyit ke sawaab ki niyyat se kuwan(well) khudwa den, madarsa banwa den, yateem wa ghareeb bacchon ko madarsa bhijwa den, agar mayyit karzdaar mari ho to pahle uska karz chuka de phir kahin khairaat ka naam len"
(abu dawood, nisaai, mishkaat 161)
" mayyit ki taraf se khana kaaba ka hajj karen ramzan ke roze rakhen jo us par waajib ho, jo Roze mayyit chhod mari hai hai unki qaza kara den ya nazar ke roze ho to unko pura kara den"
(tirmizi, abu dawood,nisai,mishkaat)
agar maal zyada hai aur koi haqdaar nahi hai to mohtaajon ka wajeefa muqarrar kar den aur kisi kaam me dikhaawa na ho na dikhaawe wa naam ki niyyat ho, agar is tarah sawaab pahunchaayenge to qur'an ke mutabik murde ko allah sawaab dega
nabi(sws) ne farmaya- "jab insaan mar jaata hai to uske saare amal khatm ho jaate hain, magar 3 cheezen maut ke baad bhi faayeda deti hain--
1- sadqa wa khairaat
2- deen ka ilm jisse log faayeda uthaayen
3- nek aulaad jo uske liye dua karti rahi.
(muslim, mishkaat)
agar sadqa khairaat karne ki takat na ho to karz lekar yah kaam na karna chahiye, mayyit ke haq me sirf dua ki karna kaafi hai.
Is tarah khairaat karke dua karen ki " aiy allah yah mera sadqa teri janaab me maqbool ho to mere maa baap ya falan shakhs ko pahuncha de" To allah apni maharbani se wah sawab use pahuncha dega, paisa bhi aapka sahi jagah pahunch jaayega aur murda bhi khush hoga allah wa rasool tumse raazi honge tum sawaab se mahrum na rahoge.....
Labels:
BARELWI AQEEDA
SALFIYYA ISLAMIC RESEARCH CENTRE KANPUR