Thursday, September 15, 2011

PARDA AUR HIJAAB


Bismillahirrahmanirraheem



Hijab aur Parda



"AUR MOMIN AURTON SE BHI KEH DO KE WOH BHI APNI NIGAAHEN NICHI RAKHA KAREN, AUR APNI SHARMGAAHON KI HIFAAZAT KIYA KREN, AUR APNI AARAEESH KO ZAAHIR NA HONE DIYA KAREN, MAGAR JO IS MEIN SE KHULLA REHTA HO. AUR APNE SINON PAR AURHNIYAAN ORHEN RAHA KAREN. ”


(Surah-Al-Noor, Aayat-no--- 31)



“AEY PAYGHAMBAR! APNI BIWIYON AUR APNI BETIYON AUR MUSALMAANO KI AURATON KO KEH DO KE APNE UPAR CHAADAR LATKA LIYA KAREN. YE HUKM IN KE LIYE SHANAAKHAT KE LIYE HOGA, TO KOI IN KO EEZA NA DEGA. AUR ALLAH BAKHSHNE WAALA MHERBAN HEY.

(Surah-al- Ahzab, Aayat-no-- 59)



Behooda Libaas



"Rasool Sallallahu alaihe wasallam ne irshaad farmaya ke jo auratein kapde pahan kar bhi nangi hi rahein aur doosron ko rijhayein aur khud doosron par rijhein aur bakhti oont (Camel) kii tarah naaz se garden tedhi karke chalein wo jannat mein hargiz daakhil na hongi aur na eski bu payengi.


(Sahih-Muslim)



BY- MUHAMMAD SHAHID