Friday, September 23, 2011

KAMRAN JAN(DEOBANDI) KI NADANI USE USOOL-E-AHLE HADITH KI SAMJH NAI




KAMRAN JAN(DEOBANDI) KI NADANI USE USOOL-E-AHLE HADITH KI SAMJH NAI



1- hz abdullah bin masud (ra) farmate hain:-" jab tum ham se koi baat qur'an ya hadith ki puchoge to ham batainge aur nayi baatein jo tumne nikaal li hain wah hamari qudrat se baahar hai"


2-hz qatada (rh) mashoora tabiee imam farmate hain:-" maine 30 saal se koi baat apni raaye se nahi kahi"


3- imam abu halaal taabai(rh) farmate Hain:-" maine 40 saal se koi baat apni raaye se nahi kahi"


4- hz imam ata (rh) farmate hain:-" mujhe allah se sharm aati hai ki duniya me meri raaye par amal ho"

inhi imam ata(rh) ke baare me imam abu hanifa ne farmaya tha ki maine unse bahtar aadmi nahi dekha

5- hz abdullah bin umar(ra) fatawa dene se zyada yah kahte they ki "main nahi jaanta"


6-hz abdullah bin masud (ra) farmate hain:-" jo shakhs tamam maslon me fatawa de wah diwaana hai"

8- imam sho'abi(rh) farmate hain, "main nahi jaanta" kahna aadha ilm hai, agar qayaas karoge to halal ko haraam aur haraam ko halal karoge.



9- hz ali(ra) farmate hain:-" jab mujh se koi baat pucchi jaaye jo main nahi jaanta to is baat me kaleja ke liye sab se zyada thandi baat yah hai ki main kahun, "wallahu alam"


10 - imam sho'abi(rh) farmate hain:-" agar log hadees e rasool sunaaye to isko akhtiyaar karo aur jo baat apni raaye se batayen to usko Pakhane(toilet) me daal do"


11 - imam muhammad bin sireen(rh) farmate hain:-" main tujhse hadith e rasool bayan karta hun aur tu yah kahta hai ki falan falan yah kahta hai, ab tujhse baat na karunga"


12 - hz saeed bin zubair(ra) farmate hain:-" main hadith bayan karta hun aur tu usmd qur'an ke saath ishaare karta hai, rasoollullah sallallaho alaihi wasallam tujh se zyada qur'an jaante they," aakhir rasoollullah(sws) ke irshaad giraami par ise khatm karta hun, aap farmate hain, jis ko fatawa dene par zyada zur'at hai usko jahannum ki zyada zur'at hai"


(daarimi)


http://islamicleaks.blogspot.com/2011/07/raaye-aur-fatawa-baazi-ummat-ke.html?spref=fb