Thursday, September 15, 2011

GAWTH-E-AZAM KAUN??? (UPDATED)

Bismillahirrahmanirraheem


GAWTH E AZAM(ALLAH) KA MAQAAM



"Us Allah ko chod kar jin jin ki tum bandagi karte ho wo to bas chand naam hai, Jo tumne aur tumhare Baap Dada ne rakh liye hain, Allah ne uski to koi sanad(dalil) nazil nahi ki;


(Surah-Yusuf, Aayat-no--40)


Kya Hamare Liye Allah Kafi Nahi?


Daata, Gaus-e-aazim, Gang-baksh, Muskil- kusa, Dastagir, Gareeb-nawaaz, sab khaliq(allah) ki sifaat hai,


kuch log in sifaat ko makhloq me talaash karte hain,is haqiqat par Quraan-Majid ki gawahi Suniye,Padhye aur Samjhye aur apne Aaqidah ki Islaah kijiye.


"Logon tumhe kya ho gaya hai k tumhari nazron me Allah ka koi Waqaar nahi"


(Surah-Tul-Nooh, Aayat-no--13)



(1) GAUS-E-AAZAM(Sabse Bada Faryaad Sunne Wala )



"Kaun hai jo beqarar ki dua sunta hai jab ke wo usse pukare aur kaun uski taklif ko door karta hai, aur kaun hai jo tumhe zameen ka khalifa banata hai ! Kya Allah ke sath aur koi Mabood hai ?


(Surah- Tul-Namal, Aayat-no--62)


(2) MUSKIL-KUSHA( Tamaam Mushkilen hal karne wala)



Agar tumhe Allah kisi mushkil me daal de to iske siwa isko koi door karne wala nahi aur agar wo tumhe kisi khaer(bhalai) se nawazna chahe to wo har chiz par qadir hai.


(Aanaam 17 )



(3) DAATA (Sab Kuch Dene Wala)



Besak Allah bada dene wala hai. (Al-Quraan)


Jise chhata hai betiyan deta hai, jise chhata hai bete deta hai, jise chhata hai bete aur betiyan mila jhula kar deta hai, aur jise chhata hai banjh rakh deta hai, wo to janne wala Qudrat wala hai"


(ash Shura,49,50)


(4)GAREEB NAWAAZ ( Garibon Ko Nawaazne Wala)


Aye logon ! tum sab Allah k dark e faqeer ho’aur Allah to Gaani-wa-Hameed hai,


(Fatir,15)


(5) DASTAGIR ( Musibat Ke Waqt Thamne Wala )


Insaan ka haal ye hai ke jab is par koi sakht waqt aata hai, to khade,baithe aur lete hame pukarta hai, magar jab hum iski musibat taal dete hain, to aisa chal nikalta hai ke goya kisi muskil ke waqt isne hame pukara hi na tha.


(Yunus,12)





(6)GANJ-BAKHSH ( Khazane (dulat) Bakashne Wala)



"Aur zameen aur asmaan ke khazane Allah hi ke liye hain,


(Sutah-Tul-Munafiqon, Aayat-no--07)


"Allah jise chhata hai beshumar rizq deta hai,"


(Surah- Tul-Imraan, Aayat-no--37)


"Logon ne Allah ki qadar hi na ki jaisa uski qadar karne ka haq hai.


(Surah- Tul-Hajj, Aayat-no--74)



Quraan- Majid ki gawahi se malum hua k isbaab k begair Daata, mushkil- Kusha, Dastagir, Gareeb-Nawaaz, Ganj-Baksh, aur Gaus-e-Aazam sirf aur sirf Allah ki jaat hai,


Lihaza jab bhi dua mango ya madad k liye gaibana pukaro to sirf Allah hi ki taraf rujoo karo

“ yani Allah hi ko pukaro."


Kismat ka likha to mujhe mil hi jayega,,,Maula tu wo cheez ataa kar jo meri kismat me nahi...



BY-MUHAMMED SHAHID