Wednesday, September 21, 2011

Itaat-e-Ra sool Baisat-e-Mohabbat Elahi hai

Bismillahirrahmanirraheen



Itaat-e-Ra sool Baisat-e-Mohabbat Elahi hai



Rasool{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} hi wo hasti hai jiski pairwe karne se Allah-Taala mohabbat karta hai, Allah-Taala farmata hai:-


Aye Rasool{sall’All aahu ta’aalaa alaihi wa’ sallam} !kah dijiye agar tum Allah-Taala se mohabbat rakhte ho to meri tabedari(yani pearwe) karo [meri pearwe karoge to] khud Allah-Taala tumse mohabbat karega aur tumhare gunah ko maaf farma dega aur Allah-Taala bada bakashne wala maherbaan hai.



(Surah-Al-Imraan, Aayat-No---31)


kah dijiye! ke Allah-Taala aur Rasool{sall’All aahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ki itaat karo, agar ye monh pher le to beshak Allah- Taala kafiron ko dost nahi rakhta.


(Surah-Al-Imraan, Aayat-No---32)



Rasool Hi Hakim Hota Hai



Rasool hi wo hasti hai jisko apne tamaam ikhtilafaat me faisla karne wala manna aur uske faisle ko bina kisi jhijhak ke taslim karna haqiqi Emaan hai,


Jaisa ke Irshad- E-B aari-Taala hai:-


Qasam hai tere Parwardigar ki! ye Emaandar nahi ho sakte jabtak ke tamaam aapas ke ikhtilafaat me apko hakim na maan le, phir jo faisle aap inme kar de inme se apne dil me kisi tarah ki tangdasti aur nakhushi na paye aur farmabardari ke sath qabool karle.


(Surah-Al-Nisha , Aayat-No---65)


is Aayat se maloom hua ke tamaam ikhtilafaat me Rasool akhri sanad hai, jo log apne malomaat me kisi gair Nabi ko sanad mante hain, iske Qaool-wa- Faal ko bina jhijhak aur be-dalil taslim karte hain, wo log isko Nabi ka darjah de dete hain, aur is Aayat se pata chala ke aise hi log momin nahi ho sakte.



Rasool Shariyat-e -Elaahi Ko Batane Wala Hota Hai


Rasool hi wo hasti hai jo apne Ohde (yani post) ke lihaz se is baat ka haq-dar hai ke wo Allah ke liye shariyat ki Tasrih-wa- Tauzeeh kar sake, dosre ko ye haq nahi pahunchta ke wo Tasrih-wa- Tauzeeh kar sake, Allah-Taal a Farmata hai:-


"Aye Mohammad{sws}! ye zikr (yani kitaab) humne aap ki taraf utara hai ke logon ki janib jo (shariyat) nazil farmaya gaya hai aap isse khol khol kar biyaan karde, shayad ke wo Gaoor-wa-Fikr kare.

(Surah-Al-Nahal , Aayat-No---44)


Rasool ke Qauool-wa- Faal Ki Mukhalfat Fitna-e-Azim Hai


Rasool{sws} hi wo hasti hai jiske Qauool-wa- Faal ki mukhalfat karna Fitna-e-Azim ko dawat deta hai,

Allah-Taal a ka irshad hai:-


Sono! jo log Rasool ke hukum ki mukhalfat karte hain inhe darte rahna chahiye ke kahi in par koi zabar- dast aafat na apade ya inhe dard- naak Aazaab na pahunche.

( Surah-Al-Noor, Aayat-No---63)