Wednesday, December 21, 2011

NAMAZ- E- ISTEKHAARA AUR TAHIYYATUL





Bismillahirrahmanirraheem




NAMAZ- E- ISTEKHAARA AUR TAHIYYATUL MASJID KA BAYAAN:



Hz jaabir ra se riwayat hai ki rasoollullah sallallaho alaihi wasallam (pbuh) hame is tarah tamaam maamlaat me istekhaara sikhaate jaisa ki rasoollullah sallallaho alaihi wasallam (pbuh) farmaate:-" tum mese koi jab kisi kaam ka iraada kare to faraiz ke elawa do rakaten padhe phir kahe


" ILLA-HUMMA INNI ASTKHI-RUKA BI-ILMIKA WA-ASTAQ-DIRUKA BI-KUDRATIKA WA-AS-ALUKA MIN-FAZ-LIKAL AZEEM,

FA-INNA TAQDIRU WALA AQDIRU WAT-ALAMU WALA AALAMU WA-ANTA ALLAMUL GHUYOOB,

ALLAHUMMA IN KUNTA TA'AALAMU ANNA HAAZAL AMRA KHAIRUN LI FI DEENI WAM-AASHI WA-AAKIBATI AMRI FAQ-DURHU LI WA-YAS-SIRHU LI SUMMA BAARIK LI FEEH,

WA-IN KUNTA TA'ALAMU ANNA HAAZAL AMRA SHARRUN LI FI DEENI WAM-AASHI WA AA-KIBATI AMRI FAS-SIR-FAHU ANNI WAS-FIRNI ANHU WAQDUR LIYAL KHAIRA HAYSU KAANA SUMMA ARZINI BIH "


Tarjuma:- aiy allah main tujhse tere ilm ke Zariye se bhalaai maangta hun aur tujhse teri qudrat ke zariye se maangta hun aur tujhse tere bade fazl ko maangta hun, kyonki tu hi qudrat rakhta hai aur main qudrat nahi rakhta aur tu hi jaanta hai aur main nahi jaanta aur tu hi ghaib ki saari baaton ka khoob jaanne waala hai, aiy allah! Agar tu is baat ko jaanta hai ki ye kaam mere liye mere deen aur meri duniya aur mere anjaame kaar me bahtar hai to tu isko mere liye muhayya kar de aur isko mere liye aasaan kar de phir mere liye usme barqat ata farma, aur agar tu is baat ko jaanta hai ki ye kaam mere liye mere deen aur meri duniya aur mere anjaam e kaar me bura hai to tu is kaam ko mujhse fer de aur mujhko is kaam se fer de aur bhalaai ko mere liye muhayya kar de jahan wah ho phir mujhko is par raazi kar de"


(bukhaari)


"imam nawawi rh farmate hain ki jab koi shakhs istekhaara kare to uske baad us kaam ko kar le jiski taraf uska jhukaao ho"

(al Azkaar lin nawawi)


ye ghumaan rakhna ki sirf wahi istekhaara mufeed hota hai jo logon me se baaz buzurg logon se karwaaya jaaye aur ye khyaal karna ki istekhaara ke liye neend ke dauraan khwaab aana zaroori hai ye dono baatein ghalat hain, isliye har musalman ko chahiye ki apne tamaam maamlaat me allah se khud istekhaara kare yaqinan allah use zaroor raasta dikhaayega



TAHIYYATUL MASJID:



hy abu qatada ra se riwayat hai ki rasoollullah sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" tum mese koi jab bhi masjid me daakhil ho to baithne se pahle do rakat padhe"

(bukhari)


hz jaabir ra se riwayat hai ki wah rasoollullah sallallaho alaihi wasallam (pbuh) se apne oont ki keemat wasool karne ke liye jab masjid me aaye to rasoollullah sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne unhe huqm diya ki wah do rakat namaz ada karen"

(muslim)


hz jaabir ra se riwayat hai ki rasoollullah sallallaho alaihi wasallam Ne khutba ke dauran hz sulaiq gitfaani ra ko huqm diya, jabki wah do rakat padhe begair baith gaye, ki wah do rakat namaz ada karen"

(bukhari)


tahiyyatul masjid waajib nahi hai balki sunnat e muakkida hai


har azaan wa iqaamat ke darmiyaan do rakat padhna bhi nawafil namazon me se hai

jaisa ki

hz abdullah bin mugaffal ra se riwayat hai ki rasoollullah sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" har do azaano (azaan aur iqamat) ke darmiyaan namaz hai" lekin teesri baar is farman ke saath rasoollullah sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" sirf uske liye jo padhna chaahe";


(bukhari)


ALLAH HAMEN TAUFEEQ DE KI HAM KOI BHI AMAL KARNE SE PAHLE USE KITAB WA SUNNAT KI KASAUTI PAR PARAKH LEN.......(AAMEEN)