Wednesday, December 7, 2011

KABHI YAAD KAROGE !!! { SHEIKH ALLAMA EHSAN ILAHI ZAHEER SHAHEED (RH):}





Bismillahirrahmanirraheem




KABHI YAAD KAROGE: SHEIKH ALLAMA EHSAN ILAHI ZAHEER SHAHEED (RH):



" kabhi yaad karoge, lekin us waqt ham nahi honge aur tum apne beton ko daastaan sunaya karoge jab har taraf khauf tha, zulmat thi, tareeki thi, aur har taraf zulmat ka sannaata tha, log ahle hadithon ko apni bhed bakriyan samjha karte they, ek kamzor aadmi lahore se utha tha aur usne kaha tha:- logon ! Sun lo ! Ahle hadith kisi ki bhed bakri nahi hain, ahle hadith is qaaynaat ki wah quwwat wa taaqat hain ke ahsas e zoq ho jaaye to duniya ki koi jamaat iska muqaabla nahi kar sakti, isliye ki yah munfarad jamaat hai kah jiske ghar jab baccha paida hota hai to maa lori dete hue kahti hai, beta ! Qaaynaat ke saamne kat jaana gawaara kar lena, rabb ke siwa kisi ke saamne jhukna gawaara na karna


aao ! Meri millat ke jawanaan, aao meri qaum ke sapooton ! Utho aaj tumhare maslak aur tumhari jamaat ko tumhaari Zarurat hai, kiske liye?, haq ki aalam bardaari ke liye, mulk me kitab wa sunnat ki aalam bardaari ke liye , sarwar e kaaynaat ke naam naami ko buland karne ke liye, rabb ki tauheed ko aam karne kiye liye, shirk wa gumrahi ko mitaane ke liye aur kitab wa sunnat ko phailaane ke liye"



ZAMANA BADE SHAUK SE SUN RAHA THA

TUMHI SO GAYE DAASTAN KAHTE KAHTE