Bismillahirrahmanirraheem
MUHARRAM KI BIDATEIN AUR RASMON KI KHARABIYAN
Deen me apni taraf se ijaafa hi ko BID'AT kaha jata hai, phir ye cheezein sirf bidat hi nahi hai balki isse bhi badhkar ya shirk wa moorti pooja ke khaane me aa jaati hain, kyonki
1-tajiye me hz hussain ra ki ruh ko maujood aur unhe ilm e gaib ka jaanne wala samjha jata hai, tab hi to taajiyon ko ijjat ke qaabil samjhte aur unse madad maangte hain, jabki kisi buzurgon ki ruh ko haazir wa maujood janna aur ilm e ghaib ka janne wala samjhna shirk wa kufr hai,
hanfi mazhab ki motbar kitab fatawa bajajiyah me likha hai:-" jo shakhs ya yaqeen rakhe ki buzurgon ki ruhen har jagah haazir hain aur wah ilm rakhti hain,wah kaffir hai"
2- taajiya parast taajiyon ke saamne sar nihodte hain jo sazde hi ke khaane me aata hai aur kai log to khullam khulla sajde karte hain, aur gairullah ko sazda karna, chaahe ibaadat ka ho ya ehteraam ka Khula shirk hai,
fiqah hanafi me bhi gairullah ke sajda ko kufr se tabeer kiya hai
shamsul aimma sarkhasi kahte hain:-" gairullah ke ehtram(respect) ke liye sazda karna kufr hai"
aur allama kahastani hanafi farmate hain:-" gairullah ko sazda karnewala puri tarah kafir hai chaahe ibadat ka ho ya ehteraam ka"
(raddul mukhtar)
3-taajiya parast matam karna wa seena peeta karte hain aur matam wa sog me shirkiya kalima ada karte hain, ek to nauha karna bajaaye khud gair islami kaam hai jis se rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (p.b.u.h) ne mana farmaya hai,
sahih hadith me hai rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (p.b.u.h) ne farmaya:-" wah shakhs ham mese nahi jis ne gaal peete girebaan chaak kiye aur jihaalat ke zamane ka sa rona dhona kiya"
(sahih bukhari, al janaiz 1297)
yah sooratein jo is hadith me bayan ki gayi hai, rona wa matam ke khaane me aati hai, jo haraam hai, isliye ki sog zaahir Karne ke elawa haraam sog ki jo bhi banawati sooraten hongi wah sab haraam sog me shaamil hongi, fir in matam wa sog me zameen wa aasmaan ke kulaawe milaana aur banda wa mabood ke beech farq ko mita dena to wahi jahiliyat ka shirk hai jiske mitaane ke liye hi to islam aaya tha
4- taajiya parast taaziyon se apni muraaden aur haajat talab karte hain jo khula shirk hain, jab hz hussain ra maidan e karbala me mazlumaana taur par shaheed ho gaye aur apne ghar walon ko zaalimon ke panje se na bacha sake to ab marne ke baad wah kisi ke kya kaam aa sakte hain?
5- taajiya parast hz hussain ra ki banawati qabr banaate hain aur iski ziyarat ko sawaab samjhte hain jabki hadith me aata hai
" jisne aisi khaali qabr ki ziyarat ki jis me koi mayyit nahi to maano usne but(idol) ki pooja(ibadat) ki"
(risaalah tanbiyah al zaaleen, maulana aulaad hasan waalid nawab siddiq hasan khan rh )
ALLAH HAMEN TAJIYA PARASTI SE BACHAAYE.... AMEEN