Sunday, December 18, 2011

YA ULEMA E DEOBAND HIND KI AZAADI KE LIYE MAALTA JAIL GAYE?

Bismillahirrahmanirraheem



KYA ULEMA E DEOBAND HIND KI AZAADI KE LIYE MAALTA JAIL GAYE?



20wi sadi ke aaghaaz me jo log angrez ke khilaf elaaniya ya darpardah jaddo jehad me masroof they unhone maulana mahmood hasan(deobandi) ko bhi apne saath milaane ki koshish ki.... Jaisa ki maulana abul kalam azad farmate hain:-" ke 1914 me hz maulana mahmood ul hasan se meri mulaqaat bhi dar'asal isi wajah se hui thi... Unhone pahli si muhabbat sohbat me kaamil ittefaaq zaahir farmaya tha aur maamle bilkul saaf ho gaya tha ke wah is mansab( imarat shariah) ko qubool kar lenge, aur hindustan me najm jamaat ke qayaam ka elaan kar diya jaayega, magar afsos ke baaz logon(deobandi) ki raaye wa mashwarah se maulana ne achanak safar hejaz ka iraada zaahir kar diya aur meri koi minnat(koshish) bhi unhe safar baaz na rakh saki"

(khutbaat e abul kalam, islamic publishing house lahore pg 137)


aur hejaz me jo kuch huwa Wah daur haazir ke ek deobandi aalim maulana zaahid ur raasidi ki zabaani sune. Likhte hain:-" jis waqt shareef makka hussain bin ali ne turkon(turkey) ki khilaafat ke khilaaf baghawat ko jayez qaraar dilwaane ke liye apne ulema se fatawa liya to deobandi jamaat ke sarbarah sheikh ul hind maulana mahmood ul hasan deobandi us waqt haramain sharifain me they, unse bhi fatawa par dastakhat(signature) ka takaaja kiya gaya, magar unhone inkar kar diya, isi ki wajah se shareef makkah ne unhe giraftaar karke angrezon ke hawaale kar diya aur wah apne rafeeq maulana hussain ahmad madni, maulana aziz gul aur deegar saathiyon ke hamraah maalta zazeere me saadhe 3 saal tak nazar band rahe"


(sheikh ul hind maulana mahmood hasan, az dr. Abu suleman shahjahanpuri, karachi 1988 pg 126-128)


ye tahrir is baat ka saboot hai ki ke maalta me nazarbandi jihaad azaadi ki kisi tahreek me shaamil hone ki wajah se nahi thi, Balke iski wajah turkon aur shareef makkah ki baaham kashmakash me shareef ka saath na dene ka khasaana thi,

yahi wajah hai ke maulana mahmood ul hasan ne saadhe 3 saal maalta me guzaare........


(end)