Saturday, December 24, 2011

QUR'AAN KI PUKAAR






Bismillahirrahnirraheem


QUR'AAN KI PUKAAR



Taaqon Me Sajaaya jaata hun,


Aankho se lagaaya jaata hun;


TAVEEEZ banaaya jaata hun,


Dho-dho ke pilaaya jaata hun;


Haray wa ReshaM ke,
Aur phool sitaarey chand ke kapaday mein lapeta jata hu,


Phir ittar ki baarish hoti hai,


Khushbu Me basaaya jaata hun;


Jab Qaul wa KasaM lene ke liye taqraar ki naubat ati hai,


Phir Meri Zaroorat hoti hai,


Haathon pe uthaaya jaata hun;


Kis bazM Me Mujh ko baar nahin,


Kis Urs Me Meri dhooM nahin;


Phir bhi Main akela rehta hun,


Mujh sa koi MazlooM nahin;


Mujhse yeh Mohabbat ke Daawey,


Qanoon pe raazi GHAIRON ke;


Yun bhi Mujhe RUSWAA karte hain,


Yun bhi Main SATAAYA jaata hun.


Be-shak!
HuM(Allaah) ne tuMhaari taraf aisi Kitab naazil farMayi hai,
jisMe tuMhari NASEEHAT(kasaaMaan) hai?
Kya tuM AQAL NAHI rakhte?


> Anbiya(22):10.



BY- SISTER SHAHIN KHAN