Sunday, December 18, 2011

ULEMA-E-DEOBAND KA TABLEEGHI JAMAAT SE SHIKWA

Bismillahirrahmanirraheem



ULEMA E DEOBAND AUR TABLEEGHI JAMAAT


HZ MAULANA SAEED HAAMID HUSSAIN (KHAANKAH THANA BHAWAN)


Tableeghi jamaat aur tableegi nisaab ke mutaallik maulana ashraf ali thanvi ke mumtaz tareen khalifa maulana saeed haamid hussain ne apne taasaaraat ke izhaar ke liye ek kitab ( sadar tableeghi jamaat ko tabre aur munazire ka shauk) likhi hai, isme likhte hain:

" masajid me kisi imam ya muqtadi ne agar maulana ashraf ali thanvi rh ki koi tasneef sunaana shuru kardi to TABLEEGH waale ise chheen kar phenk dete hain aur kahte hai ke tableegi nisaab ke elawa koi kitab nahi sunaayi ja sakti"

phir dusre pg par likhte hain

" quran kareem me farman e illahi hai ke ' hamne deen utaara hai aur ham hi iske muhafiz hain' janab rasoollullah(sws) ne jo shama hidayat roshan farmayi thi, TABLEEGH waale is baat ke qayel hai ke wah shama bujh gayi thi, arsah tak andhera raha, ab phir se wa shama Maulana iliyaas sahab ne roshan farmayi, allah taala quran hakeem me waada farmaya hai ke ham deen ke muhaafiz hain...........goya TABLEEGHI waale is aayat quraani ka inkaar kar rahe hai, aur ye shakht gumraahi hai"

( aqtabaas manqool az tableeghi nisaab ek mutaalah pg 17-18)


MAULANA AHTISHAM AL HASAN KHANDAHLWI


Maulana ahtisham hasan wah maroof shaksiyat hain jo maulana iliyaas ke khilafa awwal hain, unhone apne umar ka taweel hissa tableeghi jamaat ke qiyaadat me guzaara hai,

lekin is jamaat ke in khurafaat wa bidaat se bargustah hokar jamaat se door ho gaye, aur is par tanqeed karte hue ek kitab banaam " zindagi ki siraat e mustaqeem" likhi hai, .

Is me ek sawaal " kya yah tareeqa quran wa hadith se mawafiq hai?"

ke jawab me maulana ahtisham likhte hain :-" nizaam al deen ke maujoodah tableegh mere ilm wa faham ke mutabik na quran wa hadith ke mutabik hai aur na mujaddid alfsaani rh aur Na hz shah waliullah muhaddis dehlawi aur ulema e haq ke maslak ke mutabik hai, jo ulema e kiram is tableegh me shareek hain inki pahli zimmedaari yah hai ke is kaam ko pahle quran wa hadith , aimma e salaf aur ulema e haq ke maslak ke mutabik kare"


(zindagi ki siraat e mustaqeem)



MAULANA IKHLAAQ HUSSAIN QAASMI:


Tableeghi jamat aur tableeghi nisaab ke baare me maulana ikhlaaq hussain qasmi ka ek tarjumaan DAARUL ULOOM, DEHLI SHUMARAAH MARCH 1999 me shaaye huwa tha, mulaheza ho


Mohtaram editor sahab tarjumaan daarul uloom jadeed............


Salaam masnoon


maah january 1999 ke tarjumaan darul uloom me " TABLEEGI NISAAB" ke baare me maulana mufti abdul quddoos sahab romi ka " aham fatawa" nazar se guzra

haqiqat yah hai ki mufti sahab hi ki shakhsiyat thi jisne aham nazuk maslah me jo fiqah ki astalaah me " umoom balwi" ki haisiyat akhtiyaar kar chuka hai poori jurraat tableeghi jamaat ke " Naujawaan ladkon" ki taraf se zyada tak mulk ke mukhtalif hisson me yah shikaayat paida ho rahi hai ki yah " kam umar aur na tajurbekaar" ladke TABLEEGHI NISAAB (fazail e amal) ki kitab ke muqable me kisi dusri kitab yahan tak ke tarjumah quran ki bhi mukhlifat karte hai...

Dehli me jamat ke buzurgon aur budhon ne ek masjid me " tarjumah quran" shuru karaaya to in naye namaziyon ne " fitna shuru ho gaya" kah kar iski mukhaalifat ki aur yahan tak halaat kharaab kiye kah wah tarjumah khatm kar diya gaya...

Mumbai(bombay) se maulana muhammad shuaib sahab qasmi isi qism ki shikaayat le kar dehli aaye.. Mausoof ne muskat me kai dars quran diya, wapas aakar mumbai me shuru kiya. Is ilaaqe ki jamaat ne shadeed mukhalifat ki halaanke mausoof " jamaati sargarmiyon" me bhi shareeq hue they, shikayat lekar wah dehli aaye magar markaz me inki kaun sunta?? "dono jawan ameer" rahnumaayi ka fareeza ada kar rahe they " hazrat ji" par in dono tark wa tatbeek ka itna ghalba tha ke wah chauthi(fourth) manzil se neeche utarte they, wah aleel bhi they, shirf bade iztemaat me dua karaane aate they " khair pasandi" marhoom par itni ghaalib thi ke agar inse koi shikaayat ki jaati to wah farma dete " ham jodne ke liye hain todne ke liye nahi" halaanke shariat me jod tod dono daakhil hai, neki se jod aur buraayi se tod yah donon usool laazim hai

akaabir ne aasaani ke durood wa fazail tak jamaaton ko mahdood kiya tha, lekin in hazraat ki zindagi me kisi ko yah zurrat nahi thi ke quran kareem ke tarjumah ko "fitnah" qaraar den, dars tafseer ulama kiraam ka kaam hai, lekin aam faham tarjumah aur tafsir ka kuch hissa padh kar sunaane me aakhir kya dushwaari hai??

Itne kaam ke liye faazil ki koi zarurat nahi.. " sheikh ul hadith" ne likha hai ke" quran ki tafsir ke liye 18 uloom jaanne zaroori hain"

lekin agar tableegh ke liye Quran kareem ka ek " halka phulka nisaab" muqarrar kar diya jaaye to iske liye kisi bade "ulama" ki kya zarurat hai??

Phir agar fazail ki hadith ko liya jaaye to kya sirf saada tarjumah se in hadith ka matlab samjha ja sakta hai? In aasaan hadith ka sahih matlab samjhne ke liye hadith ki sharah ka mutaala zaroori hai


TABLEEGH ka kaam phail raha hai, badi khushi aur shukr ka maqaam hai, lekin iskaam ko awaam ke ikteyaar me de dena duniya aur unke nazdeek " FAZAIL E AMAAL" ko awwal wa aakhir deeni kitab qaraar de kar deen ke dusre tamaam husoos se be-niyaaz kar dena ek badi buraayi ko aane ki dawat dena hai,

dusre muftiyan kiram bhi is par tawajjah den aur aimma hazraat ko taqeed karen ke wah takraao se bach kar apni apni masjid me " tarjumah quran" bayan kiya karen...

Zarurat to is baat ki thi ke shuru se " QURAANI NISAAB" ke aasaan hisse murattab karke tableegh jamatiyon ko diye jaate "

(MAULANA AKHLAAQ HUSSAIN QASMI)