Tuesday, December 13, 2011

TABLEEGHI JAMAAT KE BAANI ILIYAAS AKHTAR KA TAARUF







Bismillahirrahmanirraheem



TABLEEGHI JAMAAT KE BAANI ILIYAAS AKHTAR KA TAARUF



kitab qutbiya ke tarjumah wa talkhees ke aktimaam par munasib maloom huwa ki tableeghi jamaati ke baani(foundar) aur tableeghi nisaab ke musannaf(author) ke aqaid wa afkaar ki ek jhalak dikhate hue ulema e deoband ke kuch tasharaat bhi pesh kar diye jaayen, taake viewers is mughaaltah ka shikaar na hon ke ahle ilm tablighi nisaab par jo tanqeed karte hai wah mahaz mukhalifat par bani hai,

lijiye mulaheza farmayen-


MANSAB SAHABIYAT SE MANSAB NUBUWWAT TAK:



maulana abul hasan nadwi rh ne tableeghi jamaat aur iske baani maulana iliyaas rh ka taruf karate hue likha hai-" in (maulana iliyaas) ka taareekhi naam 'iliyaas akhtar' hai aur inki naani ammi bi inpar bahut shafeeq thin, aur kaha karti thi ke bachpan me inke ird gird sahaba kiram ki ruhen(soul) ghoomti thin, chunanche wah likhte hain


" ammi ji bi farmaya karti thi ke akhtar Mujhe tujh se sahaba ki khushboo aati hai, kabhi wah peeth par muhabbat se haath rakh kar farmati kya baat hai ke tere saath mujhe sahaba ki si sooratein chalti phirti nazar aati hain"

(deeni dawat pg 42)


phir is ke baad maulana nadwi ne maulana iliyas ke qalb par nubuwwat ke faizaan hone ka zikr karte hue likha hai ke

aap (maulana iliyaas) ne farmaya: allah taala ka irshad hai-' quntum khairul ummati ukh-ri-jat lin-naasi ta-mu-roona bil-maroofi wa-tanhauna anil-munkar

ki tafsir khwaab me alqaa hui ke tum misl ambiya(as) ke logon ke waaste zaahir kiye gaye ho"

(malfoozat iliyaas pg 51)


TASHRIH: tamaam ulema e ummat ke nazdeek aayat mazkoorah ka mafhoom yah hai ke -" bahtareen ummat ummat e muhammadi hai, iska farz mansabi yah hai ke logon ko bhalaai ki taraf bulaaye aur buraai se roke, lekin teesri sadi guzarne ke baad maulana iliyaas par ya ilhaam huwa ke is aayat ke misdaaq unhi ki zaat hai Aur iski tafsir yah hai ke mausoof misl ambiya ke logon ke liye maboos huwe hai (auzubillah)

maulana iliyaas ne is fareb se pahle apne ko sahaba shifat dikhaaya, phir chalaaki karte hue aayat mazkoorah ki tahreef karke apne ko misl ambiya maboos hone ka dawaa kiya..

Bhaiyyon faisla farmayen ke yahi baatein mirza gulam ahmad qadyani ko gumrah aur kaffir hone ka sabab qaraar paayen lekin maulana iliyaas ke liye??


Baat isi par khatm nahi ho rahi hai, balke ba qaul maulana iliyaas inke alhamaat ki daastaan bahut taweel hai, yah tak ke jamaat tableeghi ke asool aur tareeqe kaar bhi alhaami hai,

chunanche maulana manzoor nomaani is jamaat ke baani maulana iliyaas ki zabaani ya bayan naqal karte hai-


" aaj kal khwaab mein mujh par uloom sahim ka alqa hota hai isliye koshish karo ke mujhe neend zyada aaye, chunanche sar me tel(oil) maalish se neend me zyadati hogayi -aap(maulana iliyas) ne farmaya ke is Tableegh ka tareeqa bhi mujh par khwaab me munkashaf(malum) huwa"

(malfoozat e iliyaas pg 51)


TABLEEGHI NISAAB(MAULANA ZIKRIYA KE WAALID:



tableeghi nisaab ke author maulana zikriya sahab nawasa e rasool hz hussain ki yaad'daasht wa zehniyaat ka tazkirah karte hue likhte hain

" inki umar huzoor akram(sws) ke wisaal ke waqt 6 saal thi aur chand mahine ki thi, 6 saal ka baccha kya deen ki baton ko yaad kar sakta hai... Lekin imam hussain ki riwaayat hadith ki kitabon me naqal ki jaati hai, aur muhaddiseen ne use is jamaat me shumaar kiya hai, jinse 8 hadithsen mankool hain"

(hikaayat e sahabah pg 163)

iske baad maulana zikriya ne faayeda ke unwaan se sahaba wa gair sahaba ki zehaaniyaton ke waqeyaat bayaan karke yah soch liya hai ke inke waalid zehaanat mein hz hussain wa wagerah par fauqiyat rakhte hain, chunanche likhte hain

" maine apne waalid sahab noorullah murqadah se bhi barha suna hai aur Apne ghar ke budhon se bhi suna hai ke mere waalid sahaab ka jab dhoodh chhudaaya gaya to paao parah(3/4) hifz ho chuka tha"

(hikaayat e sahaba pg 164)


is silsile me quran wa hadith se sirf ye saabit hai ke allah taala ne haalat ser khawari(dhoodh chudane ki muddat) me jin ko kuch bolne aur qalaam karne ki qudrat ata farmayi thi wah 3 hain, lekin is ajoobah ko qudrat ke ki ajaaibon me fit kiya jaayega , maulaf tableeghi nisaab ke waalid haalat sher khwaari me paao parah ke haafiz ho chuke they , mazeed tajjub yah ke hz hussain ko sirf 8 hadithen maloom ya inse manqool hain, jab ke maulana ke walid haalat sher khwaari me hi paao paarah hifz kar chuke they


tableeghi jamaat ke bani aur tableegi nisaab ke maulaf(maulana zikriya) ke in khurafaat aur fareb ke yah chand namoone unhi ke aine me dekhne ke baad ab akaabir ulema ke deoband ke taasaaraat ki halki jhalak jald isi blog par publish karenge.....inshallah