Saturday, December 3, 2011

SHIA RASMON KI TAREEKH AUR SHURUAAT

Bismillahirrahmanirraheem




SHIA RASMON KI TAREEKH WA SHURUAAT



BANI UMAYYA PAR LAANAT KI SHURUAAT:



"351 hijri me moiduddawla( ahmad bin buwaihi dailmi) ne jama masjid baghdad ke darwaje par nauzubillah yah ibaarat likhwa di:- "muawiya bin abu sufiyan, ghasiween fadak, "imam" hasan ra ko roza nabwi sws me dafan karne se rokne waalon, hz abu dhar ko nikaalnd walon, abbas ko shuara se nikaalne walon par laanat ho"

(tareekh ibne aseer, part 8 pg 179)



EID E GHADEER KA GADHNA:


Moiduddawla ne 18 dhul-hijjah 351 hijri ko baghdad me eid manaane ka huqm diya aur us eid ka naam "eid kham ghadeer" rakha, khoob dhol bajaaye gaye aur khusiyan manaayi gayin, usi tareekh yani 18 dhul hijah 35 hijri ko hz usman ghani ra shaheed huwe they,

isliye us din shiaon ke liye "kham ghadeer" ki eid manaane ka din muqarrar kiya gaya,

ahmad bin buwaihi dailmi yani moiduddawla ki is ejaad ko jo 351 hijri me hui, Shiaon ne yahan tak riwaaj diya ki aaj kal ke shia ka yah aqeeda hai ki eid ghadeer ka darja eid ul azha se zyada buland hai



MATAM AUR TAAJIYADAARI KI EJAAD(INVENTION)



352 hijri ke shuru hone par ibne buwaihi ne huqm diya ki 10 muharram ko hz "imam" hussain ra ki shahadat ka gham me tamaam dukaane band kardi jaayen, khareed faroakht band rahe, shaher wa dehat ke log maatmi libaas pahne aur khulkar royen, aurtein apne baal khole hue, chehron ko kaala kiye hue, kapdon ko fhaadte hue sadkon aur bazaaron me marsia padhti, muh nochti aur chhaatiyan peet'ti hui, niklen,

shiaon ne is huqm ko khushi khushi tasleem kiya magar ahle sunnat hairaan wa khamosh rahe kyonki shiaon ki hukumat thi. Agle saal 353 hijri me phir usi huqm ko duhraaya gaya aur sunniyon ko bhi isi ki taameel ka huqm diya gaya, ahle sunnat is zillat ko bardaasht na kar sake isliye shia aur sunniyon me jhagda huwa aur bahut badi maarkaat Hui, uske baad shiaon ne har saal is rasm ko karna shuru kar diya aur aaj tak is ka riwaaj hindustan me ham dekh rahe hain, ajeeb baat yah hai ki hindustan me zyadatar sunni log bhi taajiya banaate hain"

("tareekh e islam" akbar khan najeebabadi part 2 page 566. Karachi)


SHIA'AT KA FITNA


"bani buwaihi mazhaban shia tha, kuch dino tak wah khamosh rahe phir un ka bugz zaahir hone laga, daulat e abbasia ke bahut se afsar(officer) aur hukmaran shia they lekin unme se kisi ne khulkar shiat ka parchaar karne ki himmat na thi, moiduddawla ne khalifa ki taqat khatm karne ke saath hi baghdad me shiat ki tableegh shuru kardi aur 351 hijri me jaama aazam ke darwaje par ya tabarra likhwaya

"muawiya bin abu sufiyan, ghasiween fadak, "imam" hasan ra ko roza nabwi sws me dafan karne se rokne waalon, hz abu dhar ko nikaalnd walon, abbas ko shuara se nikaalne walon par laanat ho"

(tareekh ibne aseer, 8/17)


Khalifa me is bidat ko rokne ki taqat na thi, kisi sunni ne raat ko yah ibaarat mita di, moiduddawla ne phir likhwaane ka iraada kiya lekin uske sipah salaar mahlawi ne mashwara diya ki sirf muawiya ke naam ko likha jaaye aur unke naam ke baad "wal zaalimeen la muhammad" yani " aal e muhammad par zulm karne waalon " ka lafz badha diya jaaye, moiduddawla ne yah mashwara qubool kar liya, shayad tabarra ki is kapti shakhl ki shuruat isi se hoti hai

moiduddawla ne isi par bas nahi kiya balki baghdad me shiaon ki tamaam rasmen jaari kar di, eid ghadeer ke din aam eid aur jashn musarrat manaane ka huqm diya, muharram ke liye huqm jaari kiya ki aashura ke din tamaam dukaane aur kaarobaar band rakhe jaayen, saare musalman khaas qism ki topiyan(caps) pahan kar sog wa matam karen, aurtein seena peet'te hue shaher me maatami juloos nikaalen, sunniyon par yah ahkaam bahut bhari guzre lekin shiaon ki kuwwat aur Aur huqumat ke saamne bebas they isliye in ahkaam ko khatm to na karaa sake lekin iska nateeja yah nikla ki muharram 353 hijri me shia aur sunniyon me shakht fasaad huwa, aur baghdaad me bada bawaal mach gaya"


(ibne aseer part 8 page 184, taareekh islam, shah moinuddin ahmad nadwi, azam garh part 4 page 12,13)



ALLAM HAMEN SHIA FITNE SE BACHAAYE..... AMEEN