Monday, December 26, 2011

HANAFIYAT AUR SHIAT ME YAKSAANIYAT:








Bismillahirrahmanirraheem



HANAFI MAZHAB KI HAQIQAT  (ASAL IJMA KA MUNKAR KAUN ?)



Aam taur par "mazhab hanafi" ka naam aate hi aam logon ke zehan me jo tasweer ubhar kar aati hai wah yah hoti hai ke yah wah mazhab hai jo imam abu hanifa rh ne apne ijtehaad se tarteeb diya ya yah ke mazhab hanafi naam hai imam abu hanifa ke mazhab ka jo inhone quraan wa hadith se nikaala hai, isliye baaz log fiqah hanafi ko quran wa hadith ka nichod kahte hain,


lekin haqiqat isse bahut door hai agar ham usko apne lafzon me kahen to shayad logon ko bura lage, aayen zara is par gaur karen ki haqiqat kya hai


maulana zaahid madni faazil daarul uloom deoband likhte hain


" kisi khaas mujtahid ki taraf jo mazhab wa maslak mansoob hai iske jumalah masail mufti ko bila talab daleel qubool karna aur ispar amal paira hona ya masail mufti us imam mujtahid ke hon ya uske shaargird ke hon, ya un ulema ke hon jo us imam mujtahid ke muqallid Hon , in sab ka majmua ek mazhab maeen kahlaata hai jaise fiqh hanafi, fiqh maliki, fiqh shafai fiqh hambali"


( taqleed ki sharai haisiyat taqleed shakhsi par gair muqallideen ke aitraaz aur inke jawaabaat page 9)


1-goya fiqh hanafi mazhab majmua hai in masail ka jo imam mujtahid ke hain....

2-in masail ka jo imam ke shargird ke hain

3-in masail ka jo in ulema ke ijtehaad kar dah hain jo imam mujtahid ke muqallid hon, ab fiqh hanafi imam, shargird, aur ulema muqallideen ke aqwaal ke majmua ka naam thahra,


ham hamen yah dekhna hai ke wah ulema muqallideen jo imam abu hanifa ki faru me taqleed karte hai kaun kaun hain...


Mulaaheza ho.


FIQH HANAFI MURJIYAH, ZAIDIYAH,SHIAH, MOTZALAH KE AQWAAL KE MAJMUA(COLLECTION) KA NAAM HAI:


Hz maulana abdul haie firangi mahli apne risaala me farmate hain:


" kitne hi hanafi furu me hanafi hain agar aqeedatan me motzali hain, jaise mukhasari musannaf, Kishaaf wagairah jaise fiqah ki mashoor kitab qaniyah ka maulaf haadi aur mustasar al karori ke sharah , al mujtabai ka maulaf najammuddin zaidi, aur jaise abdul jabbar abu haashim aur zabaai wagerah, aur kitne hi hanafi aise hai ke furo me to hanafi hain lekin asal me wah marjiyah, shiah ke firqah zaidiyah ke maanne waale hain, khulaasa ya ke hanfiyah ki kai qism hain aqeedah me ikhtelaaf ke sabab kuch shia hain kuch motzala hai kuch murjiyah hain"

(mulhaqa ba meezaan al atedaal matbua anwaar ar muhammadi pg 28)


ab zara ek aur sahab ki haqiqat bayaani bhi sun lijiye


maulana abdul qaadir jeelani badayuni hanafi apni kitab "bawarikh" me likhte hain


" hanafi kitabon me khwarij ,motzala,qaadriyah, wagerah ke indrajaat bahut zyada hain, hazaaron hazaar khwaariji, motzali qaadri furo me fiqah hanafi ke pairokaar they"

(bawarik)


minhajjus-sunnah ke bahut hawaale muqallid hanafi ne dekhe ek yah bhi Dekhte chalen

ibn taimiyyah rh likhte hain:-" isi tarah hanafi log mazhab abu hanifa ke saath bahut saari baaten gumraah firqon misl motzala, kiraamiyah, kilaabiyah wagairah ki mila dete hain aur usko mazhab hanafi kahte hain halaanke ya asal me qabeela e rafz(shiat hai)

(minhaj us sunnah 4/66)


khulaasa yah ke maujooda fiqah hanafi mukhtalif khyaal wa raaye wa nazariyaat ka majmua hai, balke isme ziyaadah hissa in gumrah firqon ka ziyadah kiya hua hai , jisme shiaon ka bada hissa hai,

ahnaaf ne har us shakhs ko hanafi rakha hai jo furu me imam shahab ka muddai ho jaaye, wah motzali , khwarij ho, shia ho ,zaidi ho ya halooli hon..

Aaj bhi dekhiye deobandi bhi hanafi hain aur barelwi bhi hanafi hai, qabarparast mazaar parast bhi hanafi hai, aur jo isko shirk bataayen wah bhi hanafi.


Tafseel me na jaate hue ab ham chand masail deobandi aur shia ke darmiyan jo yaksaaniyat(similarities) hain, pesh Khidmat hain mulaheza farmaayen aur ibrat haasil karen...



DEOBANDIAT AUR SHIAT ME YAKSAANIYAT:



shia khulefa e arbah mese sirf ek khalifah ki taqleed waajib maante hain, yaani hz ali ra ki baaqi teeno, hz abu bakr, hz umar hz usman (ra) ke taqleed ko haraam wa na jayez kahte hain, balke inko bura bhala kahte aur inke maanne walon ki dilshikni(buraayi) karte hain.


Aise hi deobandi aimah arba, noman bin sabit(abu hanifa), maalik bin anas, muhamad bin idrees(shafai), aur ,ahmad bin hambal me se sirf ek imam ki taqleed ko waajib qaraar dete hain aur dusre imaamon ki baat maan lene ko qaabil taazeer jurm khyaal karte hain, deegar aimma ki shaan me ghustaakhi karte hain aur inke maanne waalon ki dilshikni karte hain.

Chunanche durr e mukhtar misri me maujood hai:

" yani sirf ek imam, imam e azam ke qaul par amal kiya jaaye aur inhi ke qaul ke mutabik fatawa diya jaaye"

(durre mukhtar jild 1 pg 53)


Fatawa sharajiyah me likha hai:-" yani jo shakhs hanafi hone baad shafi ho jaayega usko saza di jaayegi"


(fatawa siraaziyah)


durre mukhtar me hai:- " yani agar koi shafai al mazhab kisi hanafi se maslah me imam shafai ka mazhab daryaaft kare to jawab me yun kahe ' imam abu hanifa ne yun kaha hai chunke taqleed waajib hai aur wajib me tark haraam hai, lihaaza imam shafai ka maslak batana haraam hai"

(durre mukhtar)


zaahir si baat hai yah shia ki harqat hai wah log jo shia aur zaidi hote hue mazhab hanafi me ghus gaye ya sab unhi ki harqat hai, ke wah badi khoobsoorti se hanafi mazhab me apni baat daakhil bhi kar gaye aur kisi ko kaano kaan khabar bhi na hui,



2--DUSRA AQEEDA:



Shiaon ka aqeeda hai ki hamare aimma ma'soomen ko haraam wa halaal ka akhtiyaar hai.


Jab Deobandion ka aqeeda bhi yahi hai chunanche , hidaya, fatawa qadhi khan, durre mukhtar wagairah me hai


" yani har wah cheez Jiske baare me zaahir me qaazi ne haraam hone ka fatawa de diya to wah baatin me bhi haraam hai, abu hanifa ke nazdeek aur isi tarah agar is ne kisi cheez ke halaal hone ka huqm de diya to baatin me bhi wah halaal hai"

(hidaya 2/152)


maslan kisi ne jhoota daawa kiya ke falan aurat meri mankoh hai aurat mana karti hai, mard ne jhoote gawah pesh kar diye qaazi ne faisla mard ke haq me kar diya ab yah aurat uske liye halaal hai, shauhar ki taraf jo chaahe uske saath kare yahi nahi allah ke yahan bhi us par koi giraft nahi kyonki faisla ek deobandi qazi ka hai jo halaal kar de to halaal, haraam kar den to haraam, subhaanallah!



3--TEESRA AQEEDA



deobandiyon ka mashoor aqeeda hai ki dehaat(village) me jumah farz nahi hota


yahi mazhab shia ka bhi hai chunanche risaala hameediah page 113 me likha hai


" yani misr wa sultaan dono jumah ki sehat ke liye shart hain raafiziyon, zaidiyon aur baaz motzala Ke nazdeek"



4--CHAUTHA AQEEDA



Aam kutub shia me mazkoorah hai ke wuju me niyat aur tarteeb aur namaaz me taadeel farz nahi


deobandiyon ke yahan bhi yah cheezen farz nahi hai

dekhiye aam qutub fiqh fath-ul-qadeer, alam giri, hidayah,



zaahir si baat hai dono ka maslak ek hi hai yah sab kaarastaani in shiaon ki hai jo mazhab hanafi me daakhil ho kar hanafi ban gaye jab ke haqiqat me wah shia hain aur is tarah fiqah hanafi shiaon aur raafziyon ki dast shikaar ho gayi



5--PAANCHWA AQEEDA


Muhammad ramzaan fahmi apne risaala "barq la mi'ah" me likhte hai ke waafiyah me jo shia ki motbar kitaab hai likha hai

" yani agar koi maah ramzaan me haalat rozah me lawatat kare roza par iska koi nuksaan nahi hoga "


yahi deobandiyon ka masla hai:-" agar zikar(private part) par kapda lapet kar andar daakhil kar diya agar narm(soft) lapeta tha to roza ki qaza wa kaffara dono laazim hain aur agar shakht (tight) lapeta tha to na qaza na ghusl"

(fatwa barahnah hanfiyah 2/18)


deobandiyon aur shiayon me is maslah me deegar masail ki tarah yaksaaniyat zaahir hai aur yah sab shiaon ki harqat hai jo mazhab hanafi me shuru se shaamil hain aur mukhtalif tareeqon se apni baatein fiqah hanafi me shaamil karte rahte hain jin ko ab hanafi mazhab se juda karna bhi mahaal hai isi liye aaj tak kisi hanafi aalim ne iske liye koi koshish bhi nahi ki nateeja yah huwa ke fiqah hanafi ka bahut sa hissa fiqah shiah se maakhooz hai,

jaisa ki maulana abdul haei firangimahli, maulana abdur qadir badayuni wagairah ke aqwaal se zaahir hai..


6-CHHATWA AQEEDA


Shia fiqah me likha hai:-" raawi kahta hai maine imam jaafar ra se poocha ke mushtzani(hand practice) karna kaisa hai, unhone farmaya koi harz nahi"

(al kaafi 20/234)


ye shiaon ka masla hai ab aap deobandi ki sune wah bhi inke sar me sar milaakar ye kahte hain


" Yani agar koi shakhs mard ho gair shaadi shuda aur use shahwat(sex) ka ghalba ho to use chahiye ke kisi tarah apni mani(sperm) nikaal daale taake shahwat mauqoof ho jaaye"

(bahrur-raiq/maujebaat ghusl)


aur likha hai

" yani agar khauf e zina ho to mushtzani waajib hai"

(shami 20/160)


ise saaf zaahir hai ki fiqah hanafi aur fiqah jafaria me yaksaaniyat hai aur yah isliye hai kyonke bahut saare shia hanafi guzre hain, unhone badi chaalaaki se apne masail fiqah hanafi me daakhil kar diye


7--SAATWA AQEEDA


Shiaon ki mashoor kitab me hai ke:-" kanzariyon(call girl) ki kamaayi(earning) halaal hai"

(al kaafi 2/32)


lihaaza deobandi mazhab isse peeche kaise rahta, lihaaza unhone kaha


" agar randi apni ujrat muqarrar karke wasool kare to yah imam e azam ke nazdeek halaal hai, isliye ke mazdoori yani misl ki halaal hai"

( haashiah sharah wiqaaya pg 258)


hawaala se saaf zaahir hai ke kutub fiqah Deoband me me shiat ki milaawat bahut hai aur is tarah ke aqwaal ko imam shahab ke sar thop diya gaya hai



BA JAWAAB:-" TAHFUZ SUNNAT CONFERENCE DEOBAND---2001"


BA JAWAAB:-- MAULWI JAMAAL BULANDSHAHRI DEOBANDI KO AHLE HADITH(MAJALLAH; ISHA, ATUL-SUNNAH) KA JAWAAB---MAY DEC 2001) KA JAWAAB



ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE KI TAUFEEQ DE.......AMEEN