Bismillahirrahmanirraheem
TAQLEED KA SABOOT HADITH ME:
Jahan tak quran ki baat hai to isme TAQLEED ka lafz sirre se hai hi nahi,
agar taqleed itni hi ahmiyat ki haamil hoti jitna bataya ja raha hai to quraan majeed me iska zikr zaroor hota, allah taala itni aham cheez ko nazar andaaz nahi karta
aayen hadith ki awwal number ki sahih kitab bukhaari shareef me dekha jaaye ki asal me taqleed ka huqm kiske liye aur kahan aaya hai
kitabul hajj me imam bukhari ne baab qaayem kiya hai baam al ghanam, yani bakri(goat) ki taqleed ka bayaan,
iski zel me hadith laayen hain ki:-" hz aisha ra farmati hain ki main rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ki qurbaani ki bakriyon ke gale haar(rope) bata karti thi, aap ise in bakriyon ki gardan me daalne aur apne ahl wa ayaal me halaal qayaam farmate"
(sahih bukhari kitabul hajj, baab taqleed al ghanam)
imam bukhari rh ne dusra baab qaayem kiya hai Baab taqleed al na'el( yaani joote(shoes) ki taqleed ka bayaan) aur iski zel me hadith laaye hain
rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne ek shakhs ko qurbani ka oont(camel) haankte hue dekha aapne farmaya:-" is par sawaar hoja, usne kaha yah qurbani ka oont hai, aapne dobara farmaya-sawaar hoja!, raawi kahte hain maine us shakhs ko dekha ke apni qurbani ke oont par sawaar hai, aur rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ke saath saath chal raha hai, aur joota(shoes) uske oont ki gardan me hai"
(sahih bukhari baab taqleed al na'el)
bhaiyyon dekha aapne taqleed ka lafz hadith me kin maano me aur kiske liye istemaal huwa hai, lekin kahin par bhi insaan ke liye taqleed ke lafz istemaal nahi hum,
main muqallideen ka intehaai shukr guzaar hun ga agar wah insaan ke liye taqleed lafz quraan wa hadith me dikhla saken taake mere ilm me izaafa ho aur agar main ghalti par hun to main ruju kar sakun.........jazakallah