Har Ibteda Se Pehle Har Inteha Ke Baad, "ZAAT-E-NABI Buland Hai "ZAAT-E-KHUDA" Ke Baad, Dunya Main Ehtraam Ke Qabil Hain Jitne Log, Main Sabko Manta Hun, Magar ,"MUHAMMAD-MUSTAFA{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} Ke Baad..
Thursday, December 8, 2011
DEOBANDIAT (ALLAMA EHSAAN ILAHI ZAHEER RH KI NAZAR ME)
Bismillahirrahmanirraheem
DEOBANDIAT (ALLAMA EHSAAN ILAHI ZAHEER RH KI NAZAR ME)
" hamne deobandi bhaiyyon se kabhi bhi ulajhne ki koshish nahi ki, phir na jaane unhone hamaare khilaf dushnaam taraazi aur ishtehaar baazi ka silsila kyon shuru kiya? Inka ye firqa waaraanah ro ya intehaayi afsosnaak hai, pakistan me basne waale har shakhs ko yah haq haasil hai ke wah apne maslak ki tashrih karen, be buniyaad ilzaam taraashi aur dushnaam taraazi karke kisi sakhs ko iske buniyadi haq se mahroom nahi rakha ja sakta
deobandi wah log hain jo muddat daraaz tak pakistan aur hindustan mein is baat ka aawaaj buland karte rahe kah ham aur ahle hadith ek hain, hamare buniyadi aqaid ek hain, tauheed ke baare me hamare aqaid ek hain,
aur aaj inki taraf se ham par shakht baari ho rahi hai, jiski ummeed na thi, tajjub yah hai ki baat khatm karne ki bajaaye ise tool dene ki koshish ki ja rahi hai,
jo log inki Ghairat wahmiyat se khul kar aaye rozaan ki masajid par qaabiz ho rahen hain inke khilaaf to lab kushaayi nahi karte, aur jinhone iski masajid ki nigraani ki ho, inke khilaaf bazaar garam rakhna kya maana rakhta hai,
shayad unhe malum nahi ki deobandiyat ka wajood tahreek e ahle hadith ka mohtaj tha, agar barre sageer paak wa hind me tahreek ahle hadith wajood me na aati to aaj deobandiyat ka wajood na hota, jab tak ahle hadith wajood me na aati to aaj deobandiyat ka wajood na hota,
yah ahle hadith they jinhone takreeron me TAWHEED ka naara buland kiya
aaj deobandi ahle hadith ko wahiduzzam ki tahririyon ka taana dete hain ki unhone ye likha unhone wo likha,
deobandi hazraat sun len kah ham yah baat danke ki chot par kahte hain ki allama wahiduzzaman hon ya qasim nanotwi jiski baat bhi madeene waale ki baat ke khilaaf hai ham uski baat ki taraf palat kar bhi dekhna gawara na karte..
Ye bhi sun Lo ! Ke jis kisi ki baat quran ke khilaf hai nabi akram sallaho alaihi wasallam ke khilaaf hai jo uski baat ko ham ratti bhar bhi kuch nahi samjhte
deobandi hazrat! Aaj hamen buzurgon ka gushtakh jaante hain ham ne deobandiyon ka adab bhi dekh liya hai ke saari zindagi qaari muhammad tayyab sahab ko hakeem ul ummat maante rahe, jab inki buzurgi ka waqt aaya to unhe darul uloom deoband se baaher nikaal diya,
yah umoor qabil e ghaur hai kah jo masail sahaba kiram ne nabi(sws) ki hayaat e mubarka aur apni zindagiyon me hal kiye , aaj deobandi hazraat in masail ko dobara zinda kar raha hai,
khud maulana qasim nanotwi ne apni kitab me likha hai ke-" nabi(sws) zinda hain"
halaanke yahi baat hz umar ra ne nabi alaihissalam ki wisaal ke mouke par kahi thi ke jo shakhs kahega ki huzoor faut ho gaye hain, main uski garden utaar dunga,
lekin jab hazrat abu bakr ra ne is masle ko quran hakeem ki roshni me pesh Kiya to hz umar ko bhi apne mauqaf se ruju karna padha"
( jamah muhammadia. Chauk ahle hadith gujranwala 5 aug 1983)
Labels:
HAQ BAAT
SALFIYYA ISLAMIC RESEARCH CENTRE KANPUR