Sunday, December 18, 2011

"IMAM" LAFZ QURAAN WA HADITH ME-- AUR USKI HAQIQAT

Bismillahirrahmanirraheem



"IMAM" LAFZ QURAAN WA HADITH ME-- AUR USKI HAQIQAT



Deobandi muqallideen ne imam ka lafz quran wa hadith se nikaal kar badi aasaani se aankh me dhool jhonkne ki naqaam koshish ki hai,

is baat ki wazaahat ki koi zahmat nahi ki ke jin aayat wa hadith me imamon ka zikr hai inse FIQHI masail ke yahi imam(aimma) muraad hain, jin par ummat me tafreek ki buniyaad rakhi gayi hai,


muqallideen sabse pahle SURAH BANI ISRAEL ki ayat no 71 pesh karte hain,


aayen is aayat ki tafsir mashoor hanafi muqallid aalim maulana mahmood ul hasan deobandi ki tafsir me dekhte hain:

" yauma- nad-oo kulla unaa-sin bin imam-mahum"

ka tarjuma unhone kiya hai

"jis din ham bulaayenge har firqa ko unke imaamon ke saath"


haashiye me likha hai:-" qayamat ke din har firqa us cheez ki maeet me haazir hoga, jiski pairwi aur itteba karta tha, maslan momineen ke nabi, kitaab, deeni peshwa, ya kuffar ke Mazhabi sardaar, bade shaitaan aur jhoote mabood"

aage chalkar likhte hain:-" baaz ne lafz imam se khuda aamaal nama muraad liya hai kyonke wahan log uske peeche chalenge"


bataayen janab ! Yahan imam ki ek tafsir aap ke hanafi muqallid aalim " momineen ke nabi se karte hain",

kya nabi ke baad phir alag se kisi imaam ki zarurat rah jaati hai??

Ahle hadithon ki yahi tamanna aur dua hai ke qul qayamat ke din inko inke nabi sallallaho alaihi wasallam(pbuh) ke saath hi pukaara jaaye,

jo log nabi ke siwa dusre imamon ko talaash karte hain unke liye unka IMAAM mubaarak ho



DUA KI DARKHAWAST......JAZAKALLHU KHAIRAN KASEERA