Sunday, December 4, 2011

HZ MUAWIYA (RA) KI YAZEED (RH) KO HZ HUSSAIN (RA) KE BAARE ME NASIHAT:

Bismillahirrahmanirraheem




HZ MUAWIYA (RA) KI YAZEED (RH) KO HZ HUSSAIN (RA) KE BAARE ME NASIHAT:



Hz muawiya ra ki wafaat ke baad yazid ki bait ka jo masla saamne aaya jisme hz hussain ra samet sirf 4 logon ne ikhtelaaf kiya, unme se hz hussain ra se madeene me bait lene ka mutaalba kiya gaya, lekin hz hussain ra ne is maamle ko taal diya aur fir wahan se makka tashrif le gaye, makke me bhi unse koi rok tok nahi ki gayi, maano dono shahron me unki izzat wa maan ko dhyan me rakha gaya, unpar na kisi qism ki shakhti ki gayi na unse koi pooch taach hi hui, narmi wa adab wa samman ka yah maamla yazeed ki ijazat ya razamandi ke bina mumkin nahi tha,

malum hota hai ki yazid ne is wasiyat ko apne saamne rakha jo hz muawiya ra ne hz hussain ra ki baabat khaas taur se yah wasiyat ki thi jo yah hai


" Hz ali ra ke bete, rasoollulah ki beti fatima ke jigar goshe, hussain ka dhyaan rakhna, wah logon me Sabse zyada mahboob hain, isliye unke saath husn e sulook aur narmi ka maamla karna, isse tere liye unka maamla sahi rahega aur agar unse kisi cheez ka wajood me aa huwa to mujhe ummeed hai ki allah taala tujhe unse un logon ke wajah se kaafi ho jaayega jinhone uske baap ko qatl kiya aur uske bhai ko be yaar wa madadgaar chhod diya "

(al badaya 8/461)

is naram policy hi ka nateeja tha ki hz hussain ra ke koofa jaane ke iraade me koi lachak nahi hui aur unke himaaytiyon ke samjhane ke bawajood unhone apne iraade me tabdeeli ki zarurat mahsoos nahi ki.......


KARBALA KI POORI SACCHI KAHANI INSHAALLAH JALD POORI LIKHI JAAYEGI...


ALLAH HAM SABKO SAMJHNE KE TAUFEEQ DE.....AMEEN