Saturday, December 3, 2011

MUHARRAM UL HARAAM--EK MUQADDAS MAHINA

Bismillahirrahmanirraheem



MUHARRAMUL HARAM – EK MUQADDAS MAHINA AAJ SHIRK AUR BIDDAT KA GEHWARA…


Muharramul Haram ek aisa muqaddas mahina jisme Zaman-e-Ja hiliyat mein bhi tamam tarah ki buraiya band kar di jati thi yahan tak ki ladaiya bhi multawi kar di jati thi lekin aaj Dushmanan- e-Islam ne apni takhreeb kari aur ghaleez harkato ko Ummat-e- Mu slima ke andar ghol diya aur ise ek Shirk aur Biddat ka mahina bana diya. Jidhar nikal jao nohe aur marsiye padhe ja rahe hain,



har dusre ghar me sog manaya ja rha hai, har taraf haye hussain, haye hussain ki aaho baqa hai, koi ghar mein Bibi Fatima ki kahani padhwa raha hai, koi bibi zenab ki kahani padhwa raha hai, ek taraf makkari aur dhong ke ansu hain aur dusri taraf mithayi ki dukane saji hui hain, ek taraf seeno aur peetho ko mara ja raha hai aur kata ja raha hai to dusri taraf fakeer, paiky, alam aur taziye banaye ja rahe hain, har taraf ajeeb haal hai, har shakal par 12 baje huye hain.

Wo jo karte hain unhe karne do musalmano, ye to un khabeeso aur ghaleezo par AZAAB hai ALLAH ka jo Qayamat tak jari rahega, ye aise he apna seena peet te rahenge kyun ki isi seene mein Amma Ayesha R.A ka bughz bhara hai, Hazrat Abu Bakr RA. bughz bhara hai, Hz Umar Farooq R.A. ka bughz bhara hai, Hz Usman-e-Ghani R.A. ka bughz bhara hai, aur tamam SAHABA R.A.A. ka bughz bhara hua hai aur saro ko isliye kat te hain ki isi dimagh mein Hazrat Hussain ko shaheed karne aur Ahle Bait ko badnam karne sazishe bhari hui hain.




FAKEER : Ye fakeer banne ka system he nahi samjh aya aajtak, ye fakeer kyun banaye jate hain bache, agar ek fakeer ka bacha aa jaye to badi hikarat se dekhte hain lekin in 10 dino me to bade bade ameer aur haisyat,shohrat aur paise wale apne abcho ko fakeer banate hain.

Ye fakeeri ka to pasha HARAM hai islam mein phir ye kaise aya is muqaddas mahine mein?


PAIKY: Kuch musalman kamar mein rassiyan bandhe aur ghantiyan latkaye bas daudte rahte hain nange pair, koi idhar bhaga ja raha hai, koi udhar bhaga ja raha hai, kuch group banakar yahan daudte hain kuch wahan daudte hain, aakal to modern ho gaye to bikes par 3 - 3 aur 4 - 4 baithe kartab dikhate hue nikalte hain, subah se lekar sham tak sirf daudna aur sirf daudna he hai, na namaz ki fikr hoti hai aur na sunnato ki, farziyat ka kahin naam nahi, sunnato ke janaze nikle hue aur bs bhag rahe hain, ALLAH jane ye DEEN ke liye bhag rahe hain ya DEEN se bhag rahe hain.



Ye bhi kahin se sabit nahi hai Nabi A.S. se to mumkin he nahi hai aur SAHABA R.A.A. ne kabhi kiya nahi, na tabayi se na tabe tabayi se, na kisi Auliya ALLAH se, phir ye kaha se aya?


TAZIYADARI AUR ALAM: Iski shuruat Taimoor Lang ke zamane mein hui aur Noor Jahan ke zamane mein parwan chadhi choonki Taimoor langda tha isliye wo Iran ja nahi skata tha in zalalat ke liye to usne yahi ye sab kuch banwa shuru kar diya, yahi itihas humein Noor Jahan ke bare mein bhi milta hai ki wo Iran ki rahne wali thi aur yahan par Jahagir se shadi hui to Iran na ja sakne ki wajah se usne kuch iraniyo ko yahi bula liya aur ye zalalat wale kam yahi shuru kar diye aur aaj ka musalman ise sawab ka darja deta ASTAGHFIRULLAH

ye sarapa biddat aur shirk mein mulawwis hone wale kam hain.

Barelvi fikre maktab ke kuch log isme kuch zyada he mulawwis hain lekin shayd unhe ye nahi pata hai ki unke he firke ki ibtida karne wale Imam Ahmad Raza Sb. Ne apni kitab Fataw-e- Rizwiya mein fatwa diya hai “Taziya dekhne wala, banane wala aur use bechne wala kufr ka murtakib hai” . Barelwi hazraat in ghaleez aur badtareen biddat se bahar niklalna chahiye.


Muharramul Haram ki 10 tareekh ko bht sog wala din, kala din ya manhoos din mante hain ihaza unhe ye pata nahi ki is din Hz Adam A.S. ki tauba qubool hui, Isi din ye paida kiye gaye, aur jannat mein dakhil kiya gaya, isi Arsh, Kursi, Aasman, Zameen, Shams, Qamar, Sitare aur jannat banayi gayi,

isi din Hz Ibrahim A.S. paida hue aur aag se nijat mili, isi din Hz Moosa A.S. ki ummat ko firaon se nijat mili aur firaon apni qaum ke sath ghark hua,

isi din Hz Isa A.S. paida kiye gaye aur inhe asman ki taraf uthaya gaya, isi din Hz Nooh A.S. ki kashti joodi pahad par thehri, isi din Hz Suleman A.S. ko mulk azeem ata kiya gaya, isi din Hazrat Ynus A.S. ko machli ke pet se nikala gaya, isi din Hazrat Yaqoob A.S. ki beenayi di gayi,

Hz Yusuf A.S. ko kuwe se nikala gaya, Hz Aiyyub A.S. ki takleefo ko rafa kiya gaya,

Itna sab kuch hone ke bad bhi agar koi ise manhoos ya sog wala ya kharab din kahe to woe k momin nahi ho sakta zarur aur isme koi shak na hoga ki wo shakhs Dushman-e- Islam hoga.

Niche kuch Hadees-e-Paak SAWW bhi de raha hun mulahiza farmaye

Nabi SAWW ki hadees hai jiska mafhoom hai ki

“Jo apne gireban ko chak kare, munh peete, aur zaman-e-jahiliyat wali batein kare wo hum me se nahi"

(Sahih Al-Bukhari)