Tuesday, December 6, 2011

9 and 10 Muharram ka Roza





























Abdullah Bin Abbas RadiAllahu Taala Anhu se rivayat hai ki Jab Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam Madiney Main Tashreef laye to Yahud ko dekha ki Aashurey Ke Din ka Roza Rakhte hain, Logo ne un se pucha ki Kyon Roza rakte hain to unhoney kaha ki ye wo din hai Jab Allah taala ne Musa Alaihi Salam aur Banee Israeel ko firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye aaj hum Rozedar hain, iski Taazaim ke Liye ,To Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya hum tum se jyada dost hain aur Kareeb hain Musa Alaihi Salam ke,Phir Huqm Diya Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne is (10 muharram) Roze ka.

( *Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2656* )



Abdullah Bin Abbas RadiAllahu Taala Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Aashurey ke din(10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz ki Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara,To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege,Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki wafaat ho gai.
(isliye hum musalman 9 and 10 dono ka roza rakhte hain)

( *Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2666* )



Abu Qatada al-Ansari radi Allahu Anhu se rivata hai ki Nabee Sallallahu Alaihi wasallam se Asura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai.

( *Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2747* )