Monday, December 26, 2011

MASLA TALAAQ AUR HANAFI DALAIL

Bismillahirrahmanirraheem




MASLA TALAAQ AUR HANAFI DALAIL



Mohtaram haqqani sahab(hanafi) apni kitab " jamat ahle hadith ka khulefa rashidoon se ikhtelaaf" me pg no 62 par muslim shareef ki ek riwayat naqal kare hain jo hz abdullah bin abbas ra se marwi hai ke

" rasoollullah ke ahad mubarak me hz abu bakr ke daur e khilafat me aur do saal tak hz umar ra ki khilaf me ek saath teen talaaq dene ko ek hi khyaal kiya jaata tha, uske baad hz umar ra ne kaha:- jis kaam me logon ko takheer karni chahiye thi usme jaldi karne lage hain (yani haiz ke baad ek talaaq deni chahiye thi, log ek saath 3 talaaqen dene lage hai) to ham kyun na isko naafez kar den chunanche hz umar ne naafez kar diya ( yani shariat ke huqm ke mutabik teen talaaq ek saath dene par teeno ke waaqai ho jaane ka elaan kar diya)"


phir aage haqqani(muqallid deobandi) is hadith ki tashrih likhte hain:

" hz umar ra ne 3 talaaq Ek saath dene ko 3 hi padh jaane ka elaan kar diya aur aap ke is elaan ki kisi sahabi ne na to mukhalifat ki aur na is elaan par kisi ne eitraaz kiya, kyonke teen talaaq ek saath dene par 3 talaaq padh jaati hain, haqiqat me yahi sahih tha is wajah se kisi ne na aitraaz kiya aur na mukhalifat"


UPER LIKHI IBAARAT HAQQANI SAHAB KI HAIN


ab aap is par ghaur kijiye

likhte hain:-" rasoollullah(sws) ke ahad mubarak me hz abu bakr ki khilafat me aur do saal tak hz umar ki khilafat me ek saath teen talaaq dene ko ek hi khyaal kiya jaata tha uske baad hz umar ne shariat ke huqm ke mutabik teen talaaq dene par teen hi padh jaane ka elaan kar diya, kyonke ek saath teen talaaq dene par teen hi padh jaati hain, haqiqat me yahi sahih tha aur pg 63 par farmate hain ke yah huqm hz umar ra ka nahin hai balke shariat ka qanoon hai"-- Naozubillah summa naozubillah


jab haqqani(muqallid) ki nigaah me yah sharai kanoon Hai to sawaal yah hai ke kya aap hz umar ra ko nabi maante hain??

Aur gar shahad shariat aap ke nazdeek hz umar ra hain to phir mujhe batayen ke:

hz umar ra ko yah zimmedaari kab saunpi gayi??

Inki apni khilaafat me ya usse pahle?

Agar khilafat se pahle to us waqt rasoollullah(sws) maujood they ya nahi?

Agar shariat ke ahkaam laane waala yani shahab e shariat aap muhammad(sws) ko maante hain to muhammad(sws) ne to apne ahad mubarak me teen talaaq ek saath dene ko ek hi maana tha, phir aap kyun teen ko ek nahi maante muqallid ji??


Aur agar aapke khyaal se hz umar ra shariat khilafat se pahle, magar muhammad(sws) ke baad banaaye gaye to bataayen ke kya aapke khyaal se muhammad(sws) par risaalat khatm nahi hui thi??

Aur agar nahi khatm hui thi to " la nabi baa'da" kah kar khaatimul ambiya hone ka elaan aapne kise farma diya?

Agar aap hz umar ra ko sahab e shariat maante hain tab to aapko yah bhi Maanna padega ke unki shariat ne hz muhammad(sws) ki sharia to manshookh kar diya tha kyonki agar taeed me hoti to teen talaaq ko teen nahi balke ek hi ka elaan sharai karte kyonke muhammad(sws) ke ahad mubarak me ek hi thi aur chunke aapne(muqallid) farmaya hai ke " hz umar ra ne ek majlis me di gayi teen talaaq ko teen waaqai hone ka elaan apni taraf se nahi balki shariat ke huqm ke mutabik kiya tha"

isse zaahir hota hai ke aapke nazdeek hz umar ra ko mushtakil shariat mili thi jo naozubillah naasikh ki shariat muhammadi(sws) ki kyonki shariat muhammadi(sws) to ek waqt ki teen talaaq ek hi maani jaati thi..


Janab haqqani(muqallid) sahab aapne jo hadith me naqal kiya hai ke rasoollullah(sws) ke ahad mubarak me ek saath de gayi teen talaaqen ek hi maani jaati thi,

to hamen yaqeen hain ke aisa hi hai aur aisa hi rahega, aur hamesha rahega, us waqt tak rahega jab tak aap(sws) rasool hain,

agar is Huqm me tabdeeli ho sakti hai to aapke daur me ho sakti thi,

ahad mubarak ke baad hargiz nahi ho sakti, aur is baat ka qaayel har wah shakhs hoga jo khud ko musalmaan kahta hai

ya jisne muhammad(sws) ki risaalat ka qalmah padha hai, albatta main aapki baat nahi jaanta ke aapne yah tasleem karne ke baad ke rasoollullah(sws) ke ahad mubarak me ek saath di gayi teen talaaqen ek hi maani jaati thi phir bhi aapne(haqqani ,muqallid ) ne page no 62 par yah kyon likha

"ke hz umar ra ne apni khilaafat ke do saal baad shariat ke huqm ke mutabik teeno ke waaqai hone ka elaan kar diya kyonki haqiqat me yahi sahi tha " aur phir pg no 63 par yah kyon likha ke

"yah huqm hz umar ra ka nahin hai, balke shariat ka qanoon hai jo aapne nafez kar diya" naozubillah


mohtaram muqallideen ! Agar aap muhammad akram(sws) ko sahab e risaalat maante hain to aap hi yah bataayen ke aaghaaz nubuwwat se lekar theek 27 saal ke Baad shariat ka yah qanoon hz umar ra ke zariye kyon nafez huwa?

Un se pahle khud unhi ke daur me kyun nahi huwa?

Hz abu bakr ra ke daur me kyun nahi huwa?

23 saal tak nabi e akram(sws) ke ahad mubarak me kyon nahi huwa??

Kya isliye naafez nahi huwa tha ke isse pahle aapke khyaal se yah qanoon shariat tha hi nahi agar agar nahi tha aur aap likhte hain ke baad me hz umar ra ne shariat ke mutabik ek saath ki 3 talaaq ko teen waqai hone ka huqm kar diya to usse yah pata chala ke shariat ka yah qanoon aapke khyaal se hz umar ra hi ko mila aur jab kanoon shariat hz umar ra ko mila to shahab e shariat aap ke nazdeek wahi hue aur jab shahab e shariat hue to in ka rasool hona aapke(muqallid) nazdeek musallam ho gaya,

magar yah sirf isi surat me hai jabki aap yah maante hon ke hz umar ra ke elaan se pahle shariat ka yah qanoon tha hi nahi !

Aur ahad nabwi me ek saath ki teen talaaqen hadith ki roshni me Jo ek maani jaati thi wah manmaani thi shariat ka qanoon nahi tha, shariat ka qanoon to wah tha jis ka elaan hz umar ra ne kiya,

aur agar aapke khyaal se ek saath 3 talaaq dene par teen hi waaqai hone ka shairai qaanoon hz umar ra ke elaan karne se pahle ka hai jo nabi e akram(sws) hi ko mil chuka tha, magar maana nahi jaata tha..... Naozubillah

tab to main maan leta hun ke nabi e akram(sws) aap ke nazdeek shahab e shariat hai, magar ek baat bhi uljhan ki rah jaati hai, jise door karna aap(muqallid) par laazim hai

wah yah ki shariat ka qanoon ba qawl aapke teen talaaq ko teen maanne ka tha magar ahad nabwi me ek hi maani jaati thi

goya qanoon shariat ke khilaaf kiya jaata tha to aapko bataana yah hai ke shariat ke is qanoon ko kaun nahi maanta tha?

Kya nabi e akram(sws) nahi maante they ya sahaba kiram nahi maante to kyun??


Agar nabi e akram(sws) ek saath ki teen talaaq shariat ke qanoon ke Mutabik teen nahi maante they balki teen ko ek maante they to muqallid hanafi batayen ke iski wajah kya hai?

Kya nabi e akram(sws) naozubillah shariat ka ye huqm samjh nahi sake they aur hz umar ra samjh gaye !!

Ya nabi e akram(sws) aapke khayaal me kisi gharz se teen ko ek maante they aur is tarah qanoon shuru me naozubillah nabi e akram(sws) ne tabdeeli kardi thi !

aur saath hi aap(muqallid) yah bhi batayen ke allah taala naozubillah apne rasool ki is khayaanat ko samjh saka tha ya nahi?

Agar allah taala samjh gaya tha tab phir kyon farmaya:

" yani muhammad (sws) ghaib yani meri taraf se ata kardah ilm ko pahunchaane me bakheel(kanjoos) nahi hai"

(surah takwir 24)

aur yah bhi farmaya

" yani mera rasool agar koi baat gadh kar meri taraf se kahe de to ham usko.... Pakad len ge aur uski shahrag kaat den ge"

(surah haqqa 44-46)


haqqani(muqallideen) shahad aapne nabi e akram(sws) ko allah ki Baatein pahunchaane me bakheel saabit hi kardiya,

kyonki shariat ka yah qanoon tha ke ek saath di gayi teen talaaqen teen waqey hoti hain, magar nabi e akram(sws) ne pahunchaaya nahi !!!

Magar ek baat bata dijiye ke allah ne farmaya tha ke agar kuch baatein apni taraf se gadh ke kah den ge to aapko pakad ke shahrag kaat dunga..... Aur nabi e akram(sws) ne baqaul aapke ek saath ki teen talaaqon ko teen na maankar ek hi maana to sawaal yah hai ki nabi e akram(sws) ki ragen(viens) kaat di gayi thin, agar nahi kaati gayi to aap(muqallid) kaat rahe hain

ya baqaul aapke naozubillah nabi e akram(sws) ne jo manmaani shariat ke qanoono me ki hai allah taala ko aapke khyaal se uska ilm hi nahi ho saka to kya allah taala ne begair ilm ke elaan kar diya ke:


" nabi e akram(sws) apni taraf se kuch nahi kahte jo kahte hai wah mere jaanib se wahiy hoti hai"

(surah najam 3,4)



Baherhaal, mauzu kaafi lamba ho raha hai... Isliye aham cheez par aata hun



bhaiyyon aap khud sochen ! Muqqalid ke mutabik Jab ek saath ki 3 talaaqen teen hi waqai hone ka sharai qaanoon tha aur teen talaaq se zyada shauhar ko talaaq dene ka haq nahi jab teeno waqai ho gayi to biwi par shauhar ka koi haq baaqi nahi rah gaya,

yani biwi se shauhar ka nikaah khatm ho gaya, ab usse mujaammat haraam hai,

toh ab aap hi batayen ahad mubarak se lekar ahad farooqui ke do saal tak yani 27 saal ke andar jis sahabi ya tabieen ne ek saath apni biwi ko teen talaaqen de di aur yaqinan di hon gi, kyonki aapne(haqqani) muslim shareef ke hawaale se page no 62 par jo riwaayat naqal ki hai isme hai ke

hz umar ne elaan se pahle kaha :" jis kaam me logon ko takheer karni chahiye isme jaldi karne lage hain"

iska matlab yah hai ke aisa aam taur par hota tha ke log ek saath teen talaaqen de dete they,

to kahna yah Hai ke sahaba wa tabieen me se jisne bhi ek saath teen talaaqen de din aur is waqt ke maanne ke mutabik teen ko ek hi maanna aur chunke ek par ruju kar sakte hain yaani begair nikaah ke biwi ko rakh sakte hain,

isliye unhone ruju kar liya aur begair nikah ke rakh liya, haalanke aapke (muqallid) ke irshaad ke mutabik shariat ka qanoon teen hi padhne ka tha , isliye biwi inpar haraam ho chuki thin,

to janab paalan haqqan baqalam khud mujhe bataao ke tumhaare khyaal se 27 saal tak sahaba wa tabien najayez taur par begair nikah ke biwion ko rakhte rahe? Aur nabi e akram(sws) apni aankhon se tamaasha dekhte rahe aur roka nahi !!

Hz abu bakr ra, hz umar ra apni khilaafat ke do saal tak aur inke elaawa dusre bade sahaba is bad'fael ko karte dekhte rahe aur khamosh rahe??

Ya aap(muqallid) ke mutabik ek saath ki teen talaaq ke teen waqai hone ka sharai qanoon nabi e akram(sws) batana bhool gaye?





EK MAJLIS KI 3 TALAQ ASAL ME EK



Allah ke rasool (sws) ki hayaat e mubarak me hi deen muqammal ho gaya tha, aap deen ko naakis wa na mumkin chhod kar nahi gaye quran ne bhi elaan kar diya

" aaj maine tumhare liye tumhaara deen qaamil kar diya aur apni nematen tum par poori kar di aur tumhare liye islam ko deen pasand kiya"


is aayat ki roshni me ham ko zindagi ke tamaam masail ka hal shariat taiyyaba aur farameen nabawiyah aur fatawa muhammadiah me talaash karna chahiye, aisa koi bhi masla koi bhi fatawa bhi faisla koi bhi farmaan jis par madeena waale ki mohar na ho hamare liye zaruri taur par qaabhl e qubool nahi

masla talaaq salasa ko bhi hamen isi roshni me dekhna hoga ke hz muhammad sallallaho alaihi wasallah(pbuh) ne is par kya fatawa diya aur kya huqm saadir farmaya aur ahadith sahiha marfoo aa se kya saabit hai,

wajeh rahe ke zaeff hadith hujjat wa daleel me suboot ke taur par nahi pesh Ki jaa sakti, sahih ke muqaable me aur na zaeef hadith ki buniyaad par koi aqeeda banaya ja sakta hai, zaef hadith wah hai jiska koi raawi jhoota ho yah uska hafiza khraab ho gaya ho,

isi tarah mauzu mangand riwayaton ko bhi daleel me nahi pesh kiya ja sakta hai,

muhaddiseen ne is baat ki tashrih kar di hai ke kis hadith ka kya darja hai, kaun sahih hai aur kaun zaef

talaaq salasa ke silsile me sabse aham riwayatein SAHIH MUSLIM shareef ki hai jinki sehat me qalaam ki gunjaish nahi,

sahih muslim ki riwayaton ka darja sehat me bukhari shareef ke barabar hai, isliye yah dono kitaben sahih bukhari wa sahih muslim ke naam se pukaara jaata hai,

islam me quran ke baad sahih bukhari aur sahih muslim ka martaba hai, bila ittefaaq muhaddiseen muslim shareef aur bukhari shareef me koi zaef hadith nahi hai,

sahih muslim me hai ke "teen talaaqen zamaana nabwi me aur khilafat siddique me aur ibtedaai do saal Khilaafat farooqui me ek hi shumaar ki jaati thi, phir hz umar ra ne farmaya:" logon ne is kaam me jisme inke liye aasaani thi ajlat shuru kar di hai.. Isliye accha hai ke unhe sab ko inpar jaari kar diye jaaye, chunanche jaari kar diya"


isi sahih muslim me hai :- hz abu al sahba ne hz ibn abbas ra se kaha : kiya aap ko maaloom nahi ke teen talaaqen huzoor(sws) ke zamaane me aur zamaana e siddiqui me aur teen saal tak zamana farooqui me ek kar di jaati thi?? Ibne abbas ne farmaya- haan!"

(muslim)

isi sahih muslim me hai ki-

" abu al sahba ra ne ibn abbas ra se farmaya-- laao jo tumhare paas ho, kya teen talaaqen huzoor(sws) ki zindagi me aur siddique akbar ra ki baadshaahat me ek hi na thi?? Ibn abbas ra ne farmaya-beshaq!, phir zamana umar ra me jabke logon ne pe darpe shuru kar diya to aapne in par jaari kar di"

(muslim)

yah to muslim shareef ki riwayaten thi ab khuch dusri riwayatein sune MURTARDARK HAKIM me hai ke

" ek sahaba kiram ra hz ibn abbas ra ke paas aaye aur kaha aapko maaloom hai ke teen talaaqen huzoor(sws) ke ahad me ek ki taraf lauta di jaati thi, aapne farmaya--haan!,"

(hakim, imam hakim ise sahih kahte hain)

musnad ahmad me hai ke:- " zamana abdul azeez ra ne apni biwi ko teen talaaqen ek hi majlis me di, phir bahut ghamgeen huwe, huzoor(sws) ne inse daryaft farmaya ke kis tarah tum ne talaaq di?? Unhone kaha main teen talaaqen de chuka, aapne farmaya ek hi majlis me? Kaha- haan!, aapne farmaya tumhe sirf ek ka ikhtiyaar tha, agar chaaho to ruju kar lo, chunanche unhone ruju kar liya,"

imam ahmad iski sanad ko sahih aur hasan batlaate hain,

imam tirmizi rh kahte hain ke iski sanad me koi kharaabi nahi



HZ UMAR RA KA HUQM SIYAASI(POLYTICAL) THA NA KE SHARAI:


Tamam ulema e islam sahih muslim ki hadith ki sehat ko tasleem karte hain lekin kuch ulema kahte hai ke Chunke hz umar ra ne ek majlis ki teen talaaq ko teen hi naafez kar diya isliye ham bhi teen hi ka fatawa den ge

Aur mubaah aur halaal cheezon ko taazeeran band kar diya tha,

" hz umar ra ke paas ek aurat laayi gayi jisne apne ghulaam se nikah kiya tha, hz umar ra ne in dono me tafreeq kara di, aur taazeeran aainda ke liye dosre khwaandon se nikaah is par haraam kar diya"

(kanzul ummal)


isi tarah- "hz huzaifa ra ne madyan me ek yahoodan se shaadi ki hz umar ra ne likha ke isko talaaq de do, yah musalman awraton ke liye bahut bada fitna hai, haalanke ahle kitab ki auraton se nikah karna nas qur'an se saabit hai"

(azaala al khafa'aa)


phir aakhir anjaam ya huwa ke hz umar ra ne jis amal ko rokne ke liye ye huqm nafez kiya tha, isme to qaamyaab na sake, balke usse dusri kharaabiyan paida ho gayi, jode bichhad gaye, ghar ujad gaye,,

jaisa is qism ki surat haal me aaj bhi ho raha hai,

ispar hz umar ra ko badi nadaamat(sharmindagi) hoi,

aur aap pukaar uthe -"ke mujhe itni nadaamat wa sharmindagi kisi aur

hamare arz yah hai ki hz umar ra ko yahan pesh karna munasib nahi, daur e nabawi ka faisla hamare liye qaabil e qubool aur kaafi hona chahiye,

hz umar ra ne jo kuch kiya wah ek maslehat wa waqt ka taqaaza tha na ke sharai maslah,

ek kaam jo mana tha khilaaf e sunnat tha, lekin agar kisi se ho jaaye to shariat ise pakadti na thi, jab logon ne ba kasrat ,be khauf hokar ise shuru kar diya to aapne bahaisiyat qanoon ya huqm farmaya ke main aainda se teen ko teen hi gin lunga, yah sirf isliye tha ke log ek saath teen talaaqen dene se baaz aa jaayen, warna phir teen saal tak yah huqm sharai jaari kyon na huwa?

Yah ek durrah farooqui tha jo unki saza ke liye tha na ya ke hz umar ra ne huqm sharai badal diya.... Naozubillah man zaalik


hz umar ra ne is waqeye talaaq ke elawaa bhi baaz aur Maamle me nahi hui jitni in teen baaton par hui ke maine ek majlis ki teen talaaqon ko teen nafez kar diya aur do baatien aapke muqammal alfaaz ye hain

" ma nadamata ala, shai'ee nadamati ala salasa in la akoona hurmata al talaaq, wala in la akoona inkahat al mawaali wa aala an la akoona qatlat al nawaih"

(akhrajah abu bakr ala ismail fi musnad umar, kazaafi ghaashiyah al lahfaan pg 181 matbua egypt)


kyonki jis gharz se aapne yah huqm siyaasi jaari kiya tha, wah haasil nahi huwa to aap naadam hue, isse bhi saaf zaahir hai ke yah hurmat ka fatawa aap ka ijtehaadi tha, huqm sharai na tha.......


ALLAH HAMEN HAQ BAAT SAMJHNE KI TAUFEEQ DE......AMEEN