NAFSIYAATI
BIMARIYAN AUR UNKA ILAAJ –(PART 1)
Bismillahirrahmanirraheem
Daur E Hazir
Me Maadi Zindagi Me Aisi Taraqqi Hui Jo Khyaal Aur Bayan Se Baher HaI aur Log
Usi Tahzeeb Aur Tamaddun Se Chimat Gaye Aksariyat Ki Yahi Maqsood Ban Gayi, Aur
Yahi Unke Ilm Ki Inteha Aur Sa’aadat Aur Shaqaawat Ki Masdar Hai, Isi Liye Log
Marte Aur Jeete Hain
Kufaar E
Mushrikeen Ke Liye Ye Koi Anokhi Cheez Nahin
Kyonki Wo Allah Aur Youm E Aakhirat Par Imaan Nahin Rakhte, Zindagi Me
Jaanwaron Ki Tarah Khaate Aur Lutf Andoz Hote Hain,Aur Jahannum Unka Thikaana
Hai, Taajjub Ki Is Baat Par Hai Ke Musalman Is Ghalat Ravish Ko Apnaaye Aur
Tedhe Raaste Par Chalen, Duniya Ki Shahwaat Aur Lazzaton Se Lag Jaayen Aur Uski
Faani Zeb Wa Zeenat Jama Karne Me
Muqaabla Karen, Use Apni Zindagi Ka Azeem Maqsad Bana Lein , Isi Ke Liye
Koshish Karen Aur Is Baat Ko Bhool Jayeen Ke Unki Paidaish Ek Azeem Paakeezah
Kirdaar Aur Azeem Maqsad Ke Liye Hui Hai, Aur Wah Allah Taala Ki Ibaadat Wa
Ita’at Hai, Uske Raaste Me Jihad Aur Uski Taraf Logon Ko Daawat Dena Hai,
Duniya Aur Uski Saari Shahwatein Aur Lazzatein Usi Maqsad Ko Saabit Karne Ke
Liye Waseela Hain
Insaan Ki
Jismaani Bimarion Ke Ilaaj Me Dawaon , Jadi Bootion Aur Operations Par Tawajjoh
Di, Aur Allah Par Imaan, Us Se Taalluq Aur Quraan Kareem Wa Zikr Wa Dua Ke
Zariye Ilaaj Ko Faraamosh Kar Diya Jisse Insaan Ko Maanewi Aur Nafsiyaati
Taaqat Milti Hai, Aur Jis Quwwat Se Insaan Khud Ko Bahut Se Nafsiyaati Aur
Jismaani Bimaarion Me Padne Se Bacha Sakta Hai, Ya Inme Padne Ke Baad Ba’asaani
Inse Nijaat Haasil Kar Sakta Hai,
Isiliye Aap
Dekhenge K Eek Musalman Jiske Andar Imaan Wa Taqwa Hota Hai Use Dili Sukoon
Rahta Hai. Khush Wa Khurram Aur Pur’ummeed Rahta Hai, Bhale Hi Uski Zindagi Me
Maadi Tangi Hor Kuch Mu’aasharati Mushkilaat Wagerah Se Do Chaar Ho, Jisse Koi
Shakhs Mahfooz Nahin Rahta
Dusri Jaanib
Aap Dekhenge Ke Jab Use Koi Bimaari Hoti
Hai Toh Sab Se Pahle Mashru Imaani Duaon Se Ilaaj Karta Hai Aur Kitab Wa Sunnat
Se Akhaz Karta Hai, Fir Allah Ki Halal Karda Deegar Tibbi Sahuliyaat Apnaata
Hai, Jinka Asar Wa Nafa Saabit Hai, In Dono Dawaon Ke Majmue Se Use Duniya Ki
Aafiyat Bhi, Alhamdulillah Haasil Hoti Hai Aur Aakhirat Me Ajar Bhi In Sha
Allah Milega
Isi Liye Ham
Musalman Imaani Taqwiyat Ke Intehaayi Haajatmand Hain Take Aman Wa Amaan Ki
Zindagi Ghuzaar Saken Aur Sa’aadat Wa Kalbi Itminaan Haasil Ho
Nafsiyaati
Bimaarion Se Bachne Aur Shifayaab Hone Ka Tareeqa Do Marhalon Se Ghuzarta Hai
1
-
Hifazat Aur Bacchao Ka Marhala, Ek Muslim Mard
O Aurat, Chhote Wa Bade Ke Liye Ye Intehaayi Aham Hai, Iske Liye Ham Sabko
Khwaahish Karna Chahiye Kyunki Ye Allah Ke Huqm Se Bahut Si Bimaarion Ke Difa
Aur Bachao Me Mu’aawin Hai Jaisa Ke Kaha Jaata
Hai “ Bachao Akhtiyaar Karna Ilaaj Se Bahtar Hai,
2
-
Ilaj
Hai, Yani Bimari Se Do Chaar Hone Ke Baad Use Khatam Karne Ke Liye Ilaaj Karna,
Aur Ye Sharai Jhaad Phoonk Aur Deegar Nafsiyaati Aur Tibbi Ilaajat Ke Zariye
In Dono
Marhalo Ki Tafseel Aap Ke Saamne Next Post Me Pesh Ki Jaayegi… In Sha Allah
#Umairsalafialhindi
blog: islamicleaks.com