Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
TALAAQ KE BAARE ME ALLAH SUBHANAHU WA TA'ALA KA HUKUM
Jo Log Apni Biwiyo'n Se (Ta'aluq Na Rakhne Ki) Qasmein Khaayein, Unke Liye Chaar Mahine Ki Muddat Hai, Phir Agar Woh Laut Aayein Toh Allah Ta'ala Bhi Bakhshne Wala Meharban Hai.
(Al Quran, Surah Al-Baqrah 2, Ayat 226)
Aur Agar Talaaq Ka Hi Qasad Kar Lein Toh Allah Ta'ala Sunne Wala, Jaanne Wala Hai.
(Al Quran,Surah Al-Baqrah 2, Ayat 227)
Talaaq Wali Auratein Apne Aap Ko Teen Haiz Tak Roke Rakhein, Unhein Halaal Nahin Ke Allah Ne Unke Raham Mein Jo Paida Kiya Ho Use Chhupaayein, Agar Unhein Allah Ta'ala Par Aur Qayamat Ke Din Par Imaan Ho, Unke Khwabind Us Muddat Mein Unhein Lauta Lene Ke Poore Haqdaar Hain Agar Unka Iraadah Islaah Ka Ho. Aur Aurato'n Ke Bhi Waise Hi Haq Hain Jaise Un Par Mardo'n Ke Hain Achchhayi Ke Saath. Haan Mardo'n Ko Aurato'n Par Fazeelat Hai Aur Allah Ta'ala Ghalib Hai Hikmat Wala Hai.
(Al Quran,Surah Al-Baqrah 2, Ayat 228)
Yeh Talaaqein Do Martaba Hain, Phir Yaa Toh Achchhayi Se Rokna Ya 'Umadgi Ke Saath Chhod Dena Hai Aur Tumhein Halaal Nahin Ke Tumne Unhein Jo De Diya Hai Us Mein Se Kuchh Bhi Lo, Haan Yeh Aur Baat Hai Ke Dono Ko Allah Ki Hadein Qaayem Na Rakh Sakne Ka Khauf Ho, Isliye Agar Tumhein Darr Ho Ke Yeh Dono'n Allah Ki Hadein Qaayem Na Rakh Sakeinge Toh Aurat Rihaayi Paane Ke Liye Kuchh De Daale, Us Mein Dono'n Par Gunaah Nahin Yeh Allah Ki Hudood Hain Khabardar In Se Aage Na Badhna Aur Jo Log Allah Ki Hudood Se Tajawiz Kar Jaayein Woh Zaalim Hain.
(Al Quran,Surah Al-Baqrah 2, Ayat 229)
Phir Agar Usko (Teesri Baar) Talaaq De De Toh Ab Uske Liye Halaal Nahin Jab Tak Ke Woh Aurat Uske Siwa Dusre Se Nikaah Na Kare, Phir Agar Woh Bhi Talaaq De De Toh Un Dono'n Ko Mel Jol Kar Lene Mein Koi Gunaah Nahin, Basharte Ke Yeh Jaan Lein Ke Allah Ki Hado'n Ko Qaayem Rakh Sakeinge, Yeh Allah Ta'ala Ki Hudood Hain Jinhein Woh Jaanne Walo'n Ke Liye Bayaan Farma Raha Hai.
(Al Quran,Surah Al-Baqrah 2, Ayat 230)
Jab Tum Aurato'n Ko Talaaq Do Aur Woh Apni 'Idat Khatam Karne Par Aayein Toh Ab Unhein Achchhi Tarah Basao, Yaa Bhalayi Ke Saath Alag Kar Do Aur Unhein Taqleef Pahunchane Ki Gharz Se Zulm Wa Zyadati Ke Liye Na Roko, Jo Shaks Aisa Kare Usne Apni Jaan Par Zulm Kiya. Tum Allah Ke Ehkaam Ko Hansi Khel Na Banao Aur Allah Ka Ehsaan Jo Tum Par Hai Yaad Karo Aur Jo Kuchh Kitaab Wa Hikmat Us Ne Naazil Farmayi Hai Jisse Tumhein Naseehat Kar Raha Hai, Use Bhi. Aur Allah Ta'ala Se Darte Raha Karo Aur Jaan Rakho Ke Allah Ta'ala Har Cheez Ko Jaanta Hai.
(Al Quran, Surah Al-Baqrah 2, Ayat 231)
Aur Jab Tum Apni Aurato'n Ko Talaaq Do Aur Woh Apni 'Idat Poori Kar Lein Toh Unhein Unke Khawindo'n Se Nikah Karne Se Na Roko Jab Ke Woh Aapas Mein Dastoor Ke Mutabiq Razamand Ho'n. Yeh Naseehat Unhein Ki Jaati Hai Jinhein Tum Mein Se Allah Ta'ala Par Aur Qayamat Ke Din Par Yaqeen Wa Imaan Ho, Us Mein Tumhari Behtareen Safayi Aur Paakeezgi Hai. Allah Ta'ala Jaanta Hai Aur Tum Nahin Jaante.
(Al Quran, Surah Al-Baqrah 2, Ayat 232)
Maayein Apni Aulaad Ko Do Saal Kaamil Doodh Pilaayein Jinka Iraadah Doodh Pilaane Ki Muddat Bilkul Poori Karne Ka Ho Aur Jinke Bachche Hain Unke Zimme Unka Roti Kapda Hai Jo Mutabiq Dastoor Ke Ho. Har Shaks Itni Hi Taqleef Diya Jaata Hai Jitni Us Ki Taaqat Ho. Maa Ko Us Ke Bachche Ki Wajah Se Ya Baap Ko Us Ki Aulaad Ki Wajah Se Koi Zarar Na Pahunchaya Jaaye. Waaris Par Bhi Usi Jaisi Zimmedari Hai, Phir Agar Dono'n (Ya'ani Maa Baap) Apni Razamandi Aur Baahmi Mashware Se Doodh Chhudana Chahein Toh Dono'n Par Kuchh Gunaah Nahin Aur Agar Tumhara Iraadah Apni Aulaad Ko Doodh Pilwane Ka Ho Toh Bhi Tum Par Koi Gunaah Nahin Jab Ke Tum Un Ko Mutabiq Dastoor Ke Jo Dena Ho Woh Un Ke Hawaale Kar Do, Allah Ta'ala Se Darte Raho Aur Jaante Raho Ke Allah Ta'ala Tumhare A'amal Ki Dekh Bhaal Kar Raha Hai.
(Al Quran, Surah Al-Baqrah 2, Ayat 233)
Tum Mein Se Jo Log Faut Ho Jaayein Aur Biwiya'n Chhod Jaayein, Woh Auratein Apne Aap Ko Chaar Mahine Aur Dus (Din) 'Idat Mein Rakhein, Phir Jab Muddat Khatam Kar Lein Toh Jo Achchhai Ke Saath Woh Apne Liye Karein Us Mein Tum Par Koi Gunaah Nahin Aur Allah Ta'ala Tumhare Har 'Amal Se Khabardar Hai.
(Al Quran, Surah Al-Baqrah 2, Ayat 234)
Tum Par Us Mein Koi Gunaah Nahin Ke Tum Isharatan Kanatan Un Aurato'n Se Nikaah Ki Baabit Kaho, Ya Apne Dil Mein Posheedah Iraadah Karo, Allah Ta'ala Ko 'Ilm Hai Ke Tum Zaroor Un Ko Yaad Karoge, Lekin Tum Un Se Posheedah Vaade Na Kar Lo Haan Yeh Aur Baat Hai Ke Tum Bhali Baat Bola Karo Aur Aqad Nikaah Jab Tak Ke 'Idat Khatam Na Ho Jaaye Pukhta Na Karo, Jaan Rakho Ke Allah Ta'ala Ko Tumhare Dilo'n Ki Baato'n Ka Bhi 'Ilm Hai, Tum Us Se Khauf Khaate Raha Karo Aur Yeh Bhi Jaan Rakho Ke Allah Ta'ala Bakhsheesh Aur Halim Waala Hai.
(Surah Al-Baqrah 2, Ayat 235)
Agar Tum Aurato'n Ko Baghair Haath Lagaaye Aur Baghair Muhar Muqarrar Kiye Talaaq De Do Toh Bhi Tum Par Koi Gunaah Nahin, Haan Unhein Kuchh Na Kuchh Faayedah Do. Jo Shahaal Apne Andaaz Se Aur Tangdast Apni Taaqat Ke Mutabiq Dastoor Ke Mutabiq Achchha Faayedah De. Bhalayi Karne Walo'n Par Yeh Laazim Hai.
(Al Quran, Surah Al-Baqrah 2, Ayat 236)
Aur Agar Tum Aurato'n Ko Us Se Pehle Talaaq De Do Ke Tum Ne Unhein Haath Lagaaya Ho Aur Tum Ne Unka Mahar Bhi Muqarrar Kar Diya Ho Toh Muqarrarah Mahar Ka Aadha Mahar De Do, Yeh Aur Baat Hai Ke Woh Khud Mu'aaf Kar Dein Yaa Woh Shaks Mu'aaf Kar De Jis Ke Haath Mein Nikaah Ki Girah Hai Tumhara Mu'aaf Kar Dena Taqwa Se Bahut Nazdeek Hai Aur Aapas Ki Fazeelat Aur Buzrugi Ko Faramosh Na Karo, Yaqeenan Allah Ta'ala Tumhare A'amal Ko Dekh Raha Hai.
(Surah Al-Baqrah 2, Ayat 237)
Namazo'n Ki Hifaazat Karo, Bilkhasoos Darmiyan Wali Namaz Ki Aur Allah Ta'ala Ke Liye Baa Adab Khade Raha Karo.
(Al Quran, Surah Al-Baqrah 2, Ayat 238)
Agar Tumhe Khauf Ho Toh Paidal Hi Sahi Ya Sawari Sahi, Haan Jab Aman Ho Jaaye Toh Allah Ka Zikr Karo Jis Tarah Ke Usne Tumhein Us Baat Ki Ta'aleem Di Jise Tum Nahin Jaante The.
(Al Quran, Surah Al-Baqrah 2, Ayat 239)
Jo Log Tum Mein Se Faut Ho Jaayein Aur Biwiya'n Chhod Jaayein Woh Wasiyat Kar Jaayein Ke Un Ki Biwiya'n Saal Bhar Tak Faayedah Uthaayein Unhein Koi Na Nikaale, Haan Agar Woh Khud Nikal Jaayein Toh Tum Par Us Mein Koi Gunaah Nahin Jo Woh Apne Liye Achchhayi Se Karein, Allah Ta'ala Ghalib Aur Hakeem Hai.
(Al Quran, Surah Al-Baqrah 2, Ayat 240)
Talaaq Waliyo'n Ko Achchhi Tarah Faayedah Dena Parhezgaaro'n Par Laazim Hai.
(Al Quran,Surah Al-Baqrah 2, Ayat 241)
Agar Tumhein Miya'n Biwi Ke Darmiyan Aapas Ki An'ban Ka Khauf Ho Toh Ek Mansaf Mard Walo'n Mein Se Aur Ek Aurat Ke Ghar Walo'n Mein Se Muqarrar Karo, Agar Yeh Dono'n Sulah Karana Chaheinge Toh Allah Dono'n Mein Milaap Kara Dega, Yaqeenan Allah Ta'ala Poore 'Ilm Wala Aur Poori Khabar Wala Hai.
(Al Quran, Surah An-Nisa 4, Ayat 35)
Aye Nabi! (Apni Ummat Se Kaho Ke) Jab Tum Apni Biwiyo'n Ko Talaaq Dena Chaho Toh Un Ki 'Idat (Ke Dono'n Ke Aagaaz) Mein Unhein Talaaq Do Aur 'Idat Ka Hisaab Rakho, Aur Allah Se Jo Tumhara Parwardigaar Hai Darte Raho, Na Tum Unhein Un Ke Gharo'n Se Nikaalo Aur Na Woh (Khud) Niklein Haan Yeh Aur Baat Hai Ke Woh Khuli Buraayi Kar Baithein, Yeh Allah Ki Muqarrar Kardah Hadein Hain, Jo Shaks Allah Ki Hado'n Se Aage Badh Jaaye Us Ne Yaqeenan Apne Upar Zulm Kiya, Tum Nahin Jaante Shaayad Us Ke Ba'ad Allah Ta'ala Koi Nayi Baat Paida Kar De.
(Al Quran, Surah At-Talaq 65, Ayat 1)
Pas Jab Yeh Auratein Apni 'Idat Poori Karne Ke Qareeb Pahunch Jaayein Toh Unhein Ya Toh Faayedah Ke Mutabiq Apne Nikaah Mein Rehne Do Yaa Dastoor Ke Mutabiq Unhein Alag Kar Do Aur Aapas Mein Se Do 'Aadil Shakso'n Ko Gawaah Kar Lo Aur Allah Ki Razamandi Ke Liye Theek Theek Gawaahi Do. Yahi Hai Woh Jis Ki Naseehat Use Ki Jaati Hai Jo Allah Par Aur Qayamat Ke Din Par Imaan Rakhta Ho Aur Jo Shaks Allah Se Darta Hai Allah Us Ke Liye Chhadkaare Ki Shakal Nikaal Deta Hai.
(Al Quran, Surah At-Talaq 65, Ayat 2)
Aur Use Aisi Jagah Se Rozi Deta Hai Jis Ka Use Gumaan Bhi Na Ho Aur Jo Shaks Allah Par Tawakul Karega Allah Use Kaafi Hoga. Allah Ta'ala Apna Kaam Poora Kar Ke Hi Rahega. Allah Ta'ala Ne Har Cheez Ka Ek Andazah Muparrar Kar Rakha Hai.
(Surah At-Talaq 65, Ayat 3)
Tumhari Aurato'n Mein Se Jo Auratein Haiz Se Naa Umeed Ho Gayi Ho'n, Agar Tumhein Shaba Ho Toh Un Ki 'Idat Teen Mahine Hai Aur Unki Bhi Jinhein Haiz Aana Shuru Hi Na Hua Ho Aur Haamla Aurato'n Ki 'Idat Un Ke Waz'a Hamal Hai Aur Jo Shaks Allah Ta'ala Se Darega Allah Us Ke (Har) Kaam Mein Aasaani Kardega.
(Al Quran, Surah At-Talaq 65, Ayat 4)
Yeh Allah Ka Hukm Hai Jo Us Ne Tumhari Taraf Utaara Hai Aur Jo Shaks Allah Se Darega Allah Us Ke Gunaah Mitaa Dega Aur Use Bada Bhaari Ajar Dega.
(Al Quran, Surah At-Talaq 65, Ayat 5)
Tum Apni Taaqat Ke Mutabiq Jahan Tum Rehte Ho Wahan Un (Talaaq Wali) Aurato'n Ko Rakho Aur Unhein Tang Karne Ke Liye Taqleef Na Pahunchao Aur Agar Woh Hamal Se Ho'n Toh Jab Tak Bachcha Paida Ho Le Unhein Kharch Dete Raha Karo Phir Agar Tumhare Kehne Se Wahi Doodh Pilaayein Toh Tum Unhein Un Ki Ajrat De Do Aur Baahmi Munaasib Taur Par Mashwarah Kar Liya Karo Aur Agar Tum Aapas Mein Kashmokash Karo Toh Us Ke Kehne Se Koi Aur Doodh Pilaayegi.