BIMARION SE NAFS KA BACHAO
Bismillahirrahmanirraheem
Ek Musalman
Ka Islami Taalimaat Aur Uske Qauli Wa Fa’aali Adaab Ka Paaband Hona Aur Har Roz
Use Apni Zindagi Ke Mukhtalif Ghoshon Me
Naafez Karna Khwaah Uska Taalluq Ibaadaat Se Ho Ya Akhlaaqiyaat Wa
Ijmaai’yaat Wagerah Se Aur Allah Ne Jin
Ibaadaat Wa Ita’aat Ka Huqm Diya Hai Unhe Baja Laana Aur Tamam Na’farmaanion
Aur Haraam Cheezon Se Bachna, Ye Tamam Cheezein Allah Ke Huqm Se Qalbi Sa’aadat Ke Zaamin Hain, Aur Nafs Ko
Tamaam Nafsiyaati , Roohani Aur Jismaani Marz Se Bacha Sakti Hain,
Isi Liye
Islam Ne Hamen Tamam Taalimat Aur Adaab, Duaon Aur Azkaar Ko Apnaane Ki Daawat
Di Hai Jab Ham Iski Muqammal Taur Par Paaband Ho Jaayenge Toh In Sha Allah
Nafsiyaati Bimaarion Se Hamari Hifaazat
Ke Liye Dhal Banenge, Aur Shaitaani Waswason Aur Zindagi Ke Mushkilaat Se
Bachao Karenge, Aur Is Duniya Me Musalman Ki Sa’aadat Aur Itminaan Wa Waqaar Ke
Saath Zindagi Ghuzaarne K Sabab Banenge
BAAZ AHAM
WAZAIF WA AZKAAR DARJ ZEL HAIN:
1- Tamam
Waajibaat Par Amal Karna, Khaas Taur Par Mardon Ke Liye Paanchon Waqt Ki
Namazein Ba’jamaat Itminaan Wa Khusu Ke Sath Ada Karna
2
- Tamam
Gunaah Wa Nafarmanion Se Door Rahna Aur Unse Tauba Karna Aur Tamam Chhote Bade
Gunaahon Se Bachna, Khaas Taur Par Is Zamaane Mejiska Bahut Se Log Irtekab
Karte Hain, Yani Gaane Aur Music Sunna , Film Aur Gande Draame Dekhna Jo Dil Me
Imaan Ko Kamzor Kar Dete Hain Aur Nifaaq
Paida Karte Hain, Au Raise Shakhs Par Jinnat Wa Shayateen Musallat Kar Dete
Hain
3
-
Pabandi
Ke Saath Roz Qur’an Kareem Ki Tilaawat Karna
4
-
Subah
Wa Sham Duaayen Padhna
“La Ilaha Ila Allah Wahdahu
La Sharika Lah, Lahu Al-Mulk Wa Lahu Al-Hamd, Wa Huwa `Ala Kulli Shay’in Qadir”
Ka 100 Martaba Wird Karna
( Nahin Hai Koi Mabood Barhaq Magar Allah, Wah
Akela Hai Aur Uska Koi Shareek Nahin Usi Ki Baadshahat Aur Usi Ke Liye Taareef
Hai Aur Wah Har Cheez Par Qaadir Hai )
5-
Ahwaal Wa Munasibaat
Ki Duaon Par Muhaafizat Karna: Maslan Ghar Me Daakhil
Hone Aur Nikalne Ki Dua Wagerah
6-
Mashoorah Duaon Ke Zariye Apni Hifaazat Ka Bando Bast Karna
Maslan,
(a)
Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Se Saabit Hai Ke Har Roz Jab
Bistar Par Jaate To Apni Dono Hathelion Ko Ikattha Karke Usme, Qul Huwallaho
Ahad, Qul Auzubirabbil Falaq, Qul Auzubirabbil Naas Padh Kar Phoonkte, Fir
Hasab Iste’taaat Apne Jjism Par Malte, Sar , Chehra Aur Jism K Agle Hisse Se
Shuru Karte Is Tarah 3 Baar Karte
(b)
Aap Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai Jisne
Din Ke Shuru Me Ya Raat Ki Ibteda Me Ye 3 Duayen Padhi “Bismillahil-Ladhi
La Yadurru Ma`As-Mihi Shai’un Fil-Ardi Wa La Fis-Sama’i, Wa Huwas-Sami`Ul-`Alim
Translation : Shuru
Karta Hoon Allah Ke Naam Se Jiske Naam Ke Saath Zameen Wa Aasmaan Ki Koi Cheez
Nuksaan Nahin Pahuncha Sakti Wah
Sunne Wa Jaanne Wala Hai
Toh Use Din Ya Raat Me Use Koi
Cheez Nuksaan Nahin Pahuncha Sakti (Musnad Ahmad, Ibn Majah)
(c)
Bacchon Ki Hifaazat Ke Liye Khaas Taur Par
Hazrat Hasan Wa Hussain Ko Mahfooz Karne
Ke Liye Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ye Dua Padhte “ أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لَامَّةٍ”
7-
Bismillah
Kahne Ka Khyaal Rakhna
1-
Aisi Ita’at Wa Ibaadaat Jo Dil Me Imaan Ko
Badhaati Aur Allah Taala Se Raabta Mazboot Karti Hai Unka Paaband Hona, Maslan
Sunan Wa Rawabit, Namaz E Witr Wa Chast, Namaz Tahajjud, Sadqah Wa Khairaat Aur
Nafli Roze Wageerah
2-
Ba’kasrat Dua Wa Astaghfaar Karna Aur
Mukhtalif Alfaaz Me Allah Ka Zikr Karna Aur Usi Se Apna Waqt Pur Karna
Nafs Ki Un Amraaz Se Hifaazat Ke
Ye Aham Tareeqe Hain, In Par Hamen Muhafizat Karni Chahiye, Apni Tamam Tar
Mashgooloyaat Wa Azar Ke Ba’wajood Inka Paaband Hona Chahiye Taaki Dili
Sa’aadat Aur Nafsiyaati Itminaan Wa Sukoon Hamen Haasil Rahe Aur Tamaam Zaahiri
Wa Baatini Amraaz Se Mahfooz Rahe
Nafsiyaati Amraaz Me Mubtela Hone
Ke Baad Unka Makhsoos Wa Mufeed Ilaaj Na Toh Modern Dawaon Aur Nafsiyaati
Dispensaries Ke Mu’aariz Hain Na Hi Unse Koi Cheez Mane Hai Aur Wah Hai Sharai
Jhaad Phhonk Ka Tareeqa
In Amraaz Se Bachao Ka Ye Dusra
Marhala Hai Jise Ham Aane Waale Post Me Bayan Karenge
#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi